Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN - 7th September 2008, 07:29 PM

Kaif Bhopali saahab ki likhi huii ek mashhoor Ghazal pesh kar rahaa hoo.n. mujhe behad pasand hai yeh Ghazal, yeh Ghazal baaqi Ghzalo.n se waqaii haT kar hai,kyu.n ki is Ghazal ka andaz-e-bayaa.n kaafi alag hai.. aap ko Ghazal yaqiinan pasand aayegii yeh umeed hai..

************************************
haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN

(karam-farmaaiyaaN : favors)

zindagii shaayed isii kaa naam hai
duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

(paikar : appearance; zebaaiyaaN : gracefulness; raanaaiyaaN : beauty)

zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

“Kaif” paida kar samandar kii tarah
vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

(vus’ateN : expanse)

Kaif Bhopali

Last edited by Mayank; 8th September 2008 at 09:01 AM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
8th September 2008, 12:03 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Kaif Bhopali saahab ki likhi huii ek mashhoor Ghazal pesh kar rahaa hoo.n. mujhe behad pasand hai yeh Ghazal, yeh Ghazal baaqi Ghzalo.n se waqaii haT kar hai,kyu.n ki is Ghazal ka andaz-e-bayaa.n kaafi alag hai.. aap ko Ghazal yaqiinan pasand aayegii yeh umeed hai..

************************************
haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN

(karam-farmaaiyaaN : favors)

zindagii shaayed isii kaa naam hai
duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

(paikar : appearance; zebaaiyaaN : gracefulness; raanaaiyaaN : beauty)

zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

“Kaif” paida kar samandar kii tarah
vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

(vus’ateN : expanse)

Kaif Bhopali
Waaah.... kyaa khoob bayaani hai janaab bhopali ki... Makhtaa ghazab ka hai.... dil se daad kubool karna is nagine ko chun laane ke liye....


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
MiRzA GhAlIb > Haaye Haaye zishan107 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 14th July 2008 07:48 AM
Haaye Tanhaai Nazish Shayri-e-Dard 0 26th June 2008 05:52 PM
Haaye Haaye karan q Anjuman-e-Shayri 4 3rd March 2005 09:24 PM
is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho... Pulkit_gupta Shayri-e-Ishq 16 5th November 2003 10:49 AM
haaye ishq kaifi Shayri-e-Ishq 0 3rd September 2003 06:52 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com