Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad - 26th July 2014, 04:13 PM

hasratoN ko kab qaraar aataa silaa* paane ke baad
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad

wo siyah* gesoo wo taabindaa jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad

jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad

hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad

kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad

is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad

chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad

sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad

imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad

hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad

kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad

deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


- zarraa


*
silaa = result
siyah = black
tabindaa =shining
jabeeN = forehead
ayaaN = evident
shaane = shoulder
mustaaq = eager
nairaNg = enchantment
paimaaish = measurement
baadaa = wine
wus'at = extent
shorish = disturbance
khalwat =privacy
yaksaaN = identical
maanind = like
abr = cloud


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
26th July 2014, 07:40 PM

aadaab !!!

ajj ki meHfil appke naam , beHad umda peshkash hai appki , dil se daad qabool fermaaien
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th July 2014, 09:02 PM

hasratoN ko kab qaraar aataa silaa* paane ke baad
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad


Loot liyaa mahfil ko yaaraan aapka matlaa mubaarak......


wo siyah* gesoo wo taabindaa jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad



Kamaal kaa sher hai mere yaar bas kamaal.............



jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad


waaahhhhhhhhhhhhh............ behad asardaaar sher hai bhai kyaa kahne


hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad


ye sher nahii ek mojezaa hai mere bhai.............


kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad


khoob sher hai waahhhh................


is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad

chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad


kyaa kahon kyaa na kahoon mujhko samajh aata nahii,
aapke aashaar zindaa kar de mar jaane ke baad.....




sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad


aap yaqeen na maanenge shaayad magar ek sawaal mere zahen me goonj raha tha pichle kuch dino se, aur maine ufaq saahab se iska zikr bhii kiyaa thaa ke kahiin agar saaqi ke muannass ki koii misaal mil jaatii .... bahot ulajhne ke baad bhii hame koii suurat nazar nahii ati thii.... magar aapne ye sher pesh kar ke merii saarii takleefen door kar si bhai.... bahot bahot shukriyaa jo aapne ye sher kah diyaa bhai...

aur waaahhhh kyaa khoob likhaa hai




imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad

hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad


lafz nahii mil rahe mujhe kaise tareef kar doon main in aashar ki mere bhaii....
kaisee kaisee manzarkashii pesh karte hain aap.... wo ap[ne ap me kamaal hai...




kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad

deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


ye kalaam shaayd aapka mere dil tak utar gayaa hai....na jaane kitnii baar padh gayaa ise, aur tab jaakar badee himmat karke khud ko jawaab dene ko taiyaar kiyaa hai maine....... aapke kalam se lafz nahii motii nikalte hain bhai.... ho zore kalam aur ur aur zyaada.......


- zarraa

Shaad...



Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
loveu saini
Registered User
loveu saini will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 26
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 0
27th July 2014, 12:00 PM

bohat khub zarraa ji bohat khub lajawab








LOVEU SAINI
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up 27th July 2014, 12:09 PM

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


Wahhh wahhhh Zarraa saheb...

Kamal ka kamal hai bas.. awesome creation!

MaQta bohat ziada pasand aaya...

Reps added.

Aise hi mehfil ki rounaq bhad'ha k rakhiye ga,,

DuaooN k saath,,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
27th July 2014, 08:31 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
aadaab !!!

ajj ki meHfil appke naam , beHad umda peshkash hai appki , dil se daad qabool fermaaien
aadaab Mujib sahab

ji meherbaanee aap ki ... tah e dil se shukrguzaar hoon aap ka ...


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 28th July 2014, 08:23 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
hasratoN ko kab qaraar aataa silaa* paane ke baad
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad

wo siyah* gesoo wo taabindaa jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad

jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad

hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad

kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad

is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad

chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad

sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad

imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad

hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad

kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad

deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


- zarraa


*
silaa = result
siyah = black
tabindaa =shining
jabeeN = forehead
ayaaN = evident
shaane = shoulder
mustaaq = eager
nairaNg = enchantment
paimaaish = measurement
baadaa = wine
wus'at = extent
shorish = disturbance
khalwat =privacy
yaksaaN = identical
maanind = like
abr = cloud

wah zarraa bhai bahut khoob har sher lajwaab........radhe radhe



Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
29th July 2014, 07:55 PM

Bhai....tum is daur Ke shaair nahi ho......tumhari shaairi padkar mujhe Urdu shaairi Ka classical era yaad aataa hai.......aur kyaa maqta likha hai ......jiyo
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
29th July 2014, 10:39 PM

Shaad ... mere bhai mere yaar .... kaise qarz utaaroon in mohabbaton ka ... lekin aap ke is behisaab pyaar aur shafqat ka qarzdaar rehne mein hi dil ko sukoon milta hai .... aap ke dil mein hi is qadar rehem aur ikhlaas bhara hai ki naacheez ki is koshish ko us mein jagah mil gayi hai .... aur jise aap ke dil mein jagah mil jaaye wo maamooli hote hue bhi khaas ho jaati hai ... aap ki hausla afzaayee aur qadradaanee ki panaah mein koshish aur justajoo jaaree rakhne ki himmat milti hai ... aap ko dil ki gehraaiyon se shukriya aur dil ki sabhi duaein aap ko .... zarraa



Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
hasratoN ko kab qaraar aataa silaa* paane ke baad
shamma jaltee hi raha kartee hai parwaane ke baad


Loot liyaa mahfil ko yaaraan aapka matlaa mubaarak......


wo siyah* gesoo wo taabindaa jabeeN* wo surkh lab
tere sab jalwe ayaaN* hote mere jaane ke baad



Kamaal kaa sher hai mere yaar bas kamaal.............



jaaN nisaaree ki mohabbat meiN n de meree misaal
ishq koyee kyooN karega mere afsaane ke baad


waaahhhhhhhhhhhhh............ behad asardaaar sher hai bhai kyaa kahne


hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad


ye sher nahii ek mojezaa hai mere bhai.............


kis tarah mushtaaq*-e-nairaNg*-e-wafa hooN har dafaa
naam par ahd-e-wafa ke maiN daghaa khaane ke baad


khoob sher hai waahhhh................


is se achchha tha guzartee shaam shaam-e-hijr si
shab ko hum par kya naheeN guzree tere jaane ke baad

chhorh kar mujh ko sar-e-reh yaar mere chal diye
koyee mayykhaane ke pehle koyee mayykhaane ke baad


kyaa kahon kyaa na kahoon mujhko samajh aata nahii,
aapke aashaar zindaa kar de mar jaane ke baad.....




sirf kar paimaaish*-e-baadaa* hi is se rind tu
wus'at*-e-gham naap mat ek ek paimaane ke baad

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad


aap yaqeen na maanenge shaayad magar ek sawaal mere zahen me goonj raha tha pichle kuch dino se, aur maine ufaq saahab se iska zikr bhii kiyaa thaa ke kahiin agar saaqi ke muannass ki koii misaal mil jaatii .... bahot ulajhne ke baad bhii hame koii suurat nazar nahii ati thii.... magar aapne ye sher pesh kar ke merii saarii takleefen door kar si bhai.... bahot bahot shukriyaa jo aapne ye sher kah diyaa bhai...

aur waaahhhh kyaa khoob likhaa hai




imtehaaN gar aur hoN to un ka bhi de do pataa
aasraa koyee to ho had se guzar jaane ke baad

hum ne socha tha ke ye hungaama-e-mehfil hai par
kam n ye shorish* huwee khalwat* meiN bhi aane ke baad


lafz nahii mil rahe mujhe kaise tareef kar doon main in aashar ki mere bhaii....
kaisee kaisee manzarkashii pesh karte hain aap.... wo ap[ne ap me kamaal hai...




kaash ye hota sitamgar ko kiya hota muaaf
bardh gaya dard aur hum-dardoN ke samjhaane ke baad

deed meiN yaksaaN* gham-e-jaanaaN gham-e-dauraaN meree
farq kya rehta gham-e-insaaN ko apnaane ke baad

"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


ye kalaam shaayd aapka mere dil tak utar gayaa hai....na jaane kitnii baar padh gayaa ise, aur tab jaakar badee himmat karke khud ko jawaab dene ko taiyaar kiyaa hai maine....... aapke kalam se lafz nahii motii nikalte hain bhai.... ho zore kalam aur ur aur zyaada.......


- zarraa

Shaad...



maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
29th July 2014, 11:24 PM

[QUOTE=sameer'shaad';463375]

jaam tu sab ko hi degee dekhna saaqee hai bas
kis ko tu phusla ke degee kis ko tarsaane ke baad


aap yaqeen na maanenge shaayad magar ek sawaal mere zahen me goonj raha tha pichle kuch dino se, aur maine ufaq saahab se iska zikr bhii kiyaa thaa ke kahiin agar saaqi ke muannass ki koii misaal mil jaatii .... bahot ulajhne ke baad bhii hame koii suurat nazar nahii ati thii.... magar aapne ye sher pesh kar ke merii saarii takleefen door kar si bhai.... bahot bahot shukriyaa jo aapne ye sher kah diyaa bhai...

aur waaahhhh kyaa khoob likhaa hai

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

ye ek bahaut hi achchha sawaal uthaaya hai aap ne Shaad bhai ... mujhe bhi is ke baare meiN mukammal taur par ilm naheeN tha, bas maiN ne khud hi assume kar liya tha ki lafz "saaqi" ko feminine gender meiN kaha jaana chaahiye.

aap ka aur Ufaq bhai ka discussion to main ne follow naheen kiya hai ... par aap donon ne individually mujh se is mudde ka zikr kiya hai...

waise aap ne sahi kaha ki zyaadatar aashaar meiN "saaqi" ke gender ki misaal naheen milti hai ...


lekin abhi abhi ustaad shora ke 2 aashaar meri nazar mein aaye hain jis mein "saaqi" ka gender masculine lag raha hai, jaisa ki Ufaq bhai ka opinion hai .... main aashaar neeche quote kar raha hoon...dekhiye aap ko kya interpretation lag raha hai ...


tere sheeshe meiN mayy baaki naheeN hai
bata kya tu MERA SAAQI naheeN hai
- Iqbal


pila de ok se SAAQI jo hum se nafrat hai
piyala gar naheeN DETA n de sharaab to de
- Ghalib

is hisaab se mere sher mein correction ki zaroorat parhegi ... to ise is tarah se change karne ka soch raha hoon ..

jaam to dena sabhi ko hai tujhe saaqi magar
kis ko tu phusla ke dega kis ko tarsaane ke baad
-zarraa

main ne socha ki mujh se jo galti huwee hai use sudhaar loon aur readers ke saath share kar loon taaki unhein galat misaal n mile meri wajah se.

main bahaut shukrguzaar hoon, Shaad bhai aap ka aur Ufaq bhai ka, ki aap doston ke zariye mujhe kuchh seekhne ko mila

Duaon ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 29th July 2014 at 11:31 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
29th July 2014, 11:34 PM

Ek missal. Aur

saaqi mujhe tarsa Ke pilaata hai mai e naab
Ik baar bahut si nahi har baar zaraa sii


Daagh dehalvi
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
30th July 2014, 09:45 AM

I am speechless.......................
sirf do lafz bolne kii koshish karoonga, "BEYOND EXCELLENCE"... shaayad yeh bhii kam ho, Zarrasaab.. toh muaafee chaahunga



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
30th July 2014, 10:21 AM

Zarra sahib...speechless performance.....ek ek aashar jaise moti hain..jinhe main baar baar apni maala me pirona chahta hu.....hats off to u.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#14)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th July 2014, 10:14 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Zarrarji apki ye ghazal sabse pehle maine padhi lekin comment nahin kr saki coz i ws speechless....dobara padhi again speechless...ab teesri bar padhne k baad himmat kr pai hun is behad umdaa ghazal ki shaan me kuch keh sakun....har ek ashaar apne ap me hi misaal hain.....padhte waqt aise laga kisi behad mashahoor shayar ko padh rahi hun...ap to bht hi aala darje ke shayar hain Zarraji :respect: 14 verse padhne k baad bhi man nhi bhara, intehaii behtareen qalaam pesh kiya hai aapne dilse dheron dheron daad....shabd kam pad rahe hain tareef keliye muaf karna zarraji thikse dil ki kaifiyat bayaan nhi kr parahi.....m ur fan nw

N@zneen ji ... aapne jo itne khuloos aur dariyadili se daad farmaayee hai, us ka sahi se shukriya ada kar paane ke liye alfaaz ki kami si mehsoos ho rahi hai. Bas aap jaise saathiyon aur qadradaanon ka hi karam aur hausla afzaayee hai ki koshish jaari rehti hai. Tah e dil se aap ka mashqoor ... duaon ke saath ... Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
1st August 2014, 08:35 PM

Quote:
Originally Posted by loveu saini View Post
bohat khub zarraa ji bohat khub lajawab








LOVEU SAINI

Bahaut bahaut Shukriya Saini ji


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Masoom Pyar
Registered User
Masoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 519
Join Date: Dec 2013
Rep Power: 0
2nd August 2014, 02:24 PM

Waah Waaah Waah Waah Waah Waaah Waaaaahhhhhhhhh................................... !!!!
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
3rd August 2014, 02:46 AM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
"zarraa" is aalam meiN hai hastee teree *maanind*-e-abr*
ik siyah* dhabbaa falak par hai baras jaane ke baad


Wahhh wahhhh Zarraa saheb...

Kamal ka kamal hai bas.. awesome creation!

MaQta bohat ziada pasand aaya...

Reps added.

Aise hi mehfil ki rounaq bhad'ha k rakhiye ga,,

DuaooN k saath,,
Hassan bhai, is ghazal ko dil meiN jagah dene ka aur is mohabbat bhari pazeeraayee ka bahaut bahaut shukriya. And thanks for reps too. Aap ka saath bahaut keemtee hai mere liye. Take care !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
6th August 2014, 11:29 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
wah zarraa bhai bahut khoob har sher lajwaab........radhe radhe

Meherbaani Ishk sahab ... bahaut bahaut shukriya


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
9th August 2014, 01:39 AM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Bhai....tum is daur Ke shaair nahi ho......tumhari shaairi padkar mujhe Urdu shaairi Ka classical era yaad aataa hai.......aur kyaa maqta likha hai ......jiyo
Ufaq bhai, aap ke aashaar aur aap ke shayari par comments ki hi tarah aap ki daad bhi bahaut insightful, deep, authentic aur unique hai. Tah e dil se mashqoor hoon aap ka bhai! Dheron duaein !


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th August 2014, 11:26 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
I am speechless.......................
sirf do lafz bolne kii koshish karoonga, "BEYOND EXCELLENCE"... shaayad yeh bhii kam ho, Zarrasaab.. toh muaafee chaahunga
Aadeil bhai ... aap ki is mohabbat bhari daad se mera dil bhar aaya. Gale laga kar shukriya aap ko !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
15th August 2014, 12:01 AM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
Zarra sahib...speechless performance.....ek ek aashar jaise moti hain..jinhe main baar baar apni maala me pirona chahta hu.....hats off to u.
Aru ji .... heartfelt thanks to your very kind words. Means a lot to me. Is koshish ko dil mein jagah dene ka dher saara shukriya !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
18th August 2014, 07:57 PM

Quote:
Originally Posted by Masoom Pyar View Post
Waah Waaah Waah Waah Waah Waaah Waaaaahhhhhhhhh................................... !!!!
Bahaut bahaut bahaut bahaut bahaut shukriya Masoom Pyar ji ...................


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
23rd August 2014, 12:49 PM

Zarra ji...............ahsaas behad khoobsurat lge.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#24)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
24th August 2014, 04:56 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Zarra ji...............ahsaas behad khoobsurat lge.
Aap ka bahaut bahaut shukriya Sunita ji !


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th August 2014, 05:06 AM

Bhai zarra,

miyaaN pehle to aadab tasleem farmaaiiye

duuje maiN ufaq bhai ki baat se sau-fee-sadi muttafiq hooN ke saahab aap kisi aur hi sadi ke sho'ra haiN, in dinoN KahaaN dikhaayi paDti hai yeh alfaaz ki adaakaari?

hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad

yeh ashaar aapne mere saamne padha hota to maiN tab taq "muqarrar" ki guhaar lagaata jab tak zabaaN bejaan na ho jaati

aur maqta aalaa huaa hai, dheroN daad aur mubarakbaad ke haqdaar haiN aap

yeh Ghazal aur aapki baaqi Ghazaliyaat bhi maiN kayi baar padh chuka hooN, abhi kal hi chuTiiyoN se lauTa hooN to pehle aapka haq aur apna farz adaa kar raha hooN

abhi mulaqaat hoti rahegi, jeete rahiye

Allah kare, zor-e-qalam, "aur ziyaada"

Khuda Hafiz


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#26)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
30th August 2014, 10:29 AM

Masha Allah bohat khoob zarraa sahab

Behad umda ghazal hai. .

......




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#27)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
17th October 2014, 01:33 AM

Meri nazroN se kaise bach gaya ye .. samajh nahi aa raha .. aapke alfaazoN ki tareef karne ke liye bhi jigar ka hona zaroori hai.. khaak bande ki itni haisiyat hi nahi .. aap bas mere alfaazoN main dabe jazbaatoN ko samajhte hue meri tareef kabool kareN ..

Khyaal rakheN apna

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#28)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
18th October 2014, 12:24 AM


Zarra jee Aadaab... !

Waah waah waah waah janab ... kuch aur zubaaN se nikalte nahi nikal rahaa hai ... behad umdaaH aur behad laajawaab gazal kahi hai janab ...

Kis sher ko behar kahuN kis sher ko umdaa kahuN kisko Aalaa ... har sher beintehaaN khoob aur mayaari hai ... aik aik kafiye ko laa jawaab khayaal ataa kiya hai janab ...
Is khoob aur Aalaa kalaam par meri bus dili daad kabul kijiye ...
In chaNd lafzoN ke siva maiN aur kuch nahi kah sakta janab is umdaa kalaam ke aage...

Likhte rahiye ... bazm ko apni umdaaH peshkashoN se nawaazte rahiye ....
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#29)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
24th October 2014, 06:30 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Bhai zarra,

miyaaN pehle to aadab tasleem farmaaiiye

duuje maiN ufaq bhai ki baat se sau-fee-sadi muttafiq hooN ke saahab aap kisi aur hi sadi ke sho'ra haiN, in dinoN KahaaN dikhaayi paDti hai yeh alfaaz ki adaakaari?

hum n gar is ko kataate to kahaaN rakhte ise
kya thikaana bhi raha sar ka tere shaane* ke baad

yeh ashaar aapne mere saamne padha hota to maiN tab taq "muqarrar" ki guhaar lagaata jab tak zabaaN bejaan na ho jaati

aur maqta aalaa huaa hai, dheroN daad aur mubarakbaad ke haqdaar haiN aap

yeh Ghazal aur aapki baaqi Ghazaliyaat bhi maiN kayi baar padh chuka hooN, abhi kal hi chuTiiyoN se lauTa hooN to pehle aapka haq aur apna farz adaa kar raha hooN

abhi mulaqaat hoti rahegi, jeete rahiye

Allah kare, zor-e-qalam, "aur ziyaada"

Khuda Hafiz
Maikash sahab ... aadaab... Ye meri khushkismati ki aap jaise behtareen shayar aur maahir-e-sukhan ke dil mein mujhe aur meri is koshish ko thodi si jagah mil saki hai. Waaqayee aap se ye hausla afzaayee pa kar iraadon ko hausla milta hai. Bilkul yahi ummeed hai ki mulaakaaton ka silsila chalta rahega. Aap ka tah e dil se shukriya ada karta hoon. Meri jaanib de aap ko dheron daad... Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
26th October 2014, 03:17 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Masha Allah bohat khoob zarraa sahab

Behad umda ghazal hai. .

......
Aap ka bahaut bahaut shukriya Zainy ji


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
26th October 2014, 09:52 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Meri nazroN se kaise bach gaya ye .. samajh nahi aa raha .. aapke alfaazoN ki tareef karne ke liye bhi jigar ka hona zaroori hai.. khaak bande ki itni haisiyat hi nahi .. aap bas mere alfaazoN main dabe jazbaatoN ko samajhte hue meri tareef kabool kareN ..

Khyaal rakheN apna

Kunaal
Tashreef laane ka bahaut bahaut shukriya Kunal sahab. Aap ki daad ki bahaut ahmiyat hai mere liye.


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com