aadaab.
fana ke baad bhi mujhko sata raha hai koi,
nishaan-ae kabr bhi mere mita raha hi koi,
mere khuda mujhe thodi si zindgi de de,
udaas mere janazae se jaa raha hai koi,
gawah hai raat ti tareekhion ke sannattae,
meri kabr par aansu baha raha hai koi................
bahaaron ki khwaahish tujhae phir na hoti,
jigar ke daag agar main tujhae dikha sakta.................
bana ke mera nashe-man jala diya tunae,
meri wafa ka ye sila diya tunae,
bada udaas nazar bekaraar dil mera,
har ek charaag-e-tamanna bujha diya tunae,
zamana meri tabaahi par muskurayega,
bhare jahaan main mazaak bana diya tunae..............
qaraar lootne wale tu qaraar ko tarsae,
meri wafa ko mere aitbaar ko tarsae,
khuda kare tere dil ki kali kabhi na khile,
bahar aaye magar tu bahaar k tarsae,
tu royae raat ki tanhaai main uth-uth kar,
qaraar aaye magar tu qaraar ko tarsae,
khuda kare tera rangin shabaab dhal jaye,
teri shokh jawaani khumaar ko tarsae................
aaj khushiyon ki koi badhaai dega,
nikla hai chaand to dikhai dega,
ai mohobbbat karnae walo dekh ke mohobbat karna,
a aansu bhi gira to sunaai dega................
QASIM