Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kya Sachmuch..?
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Post Kya Sachmuch..? - 27th October 2004, 07:47 PM

Pyare dostoN ye ek koshish hai meri....khud ko hi kuchh sikhaane ki.....dekhoN ise parhkar kitna seekh paata hooN mai...

ek baar phir.....ye kisi bhi tarah ki writing tachnicalities ko nahi chhu paati so...sirf ek koshish hi samajhiyega ise kuchh kehne ki.

Kya Sachmuch

Kya sachmuch…tumhe ik kaandhe ki jaroorat hai
Rone or gidgidaane ke khaatir,

Kya sachmuch

Koi sahara chaahiye tumhe
In deewaaroN ke paar lagane ke khaatir

Kya sachmuch…

Tum abtak… ummeed me baithe ho ke
Koi aaega…shaayad koi aaega,
Tumhaare soonee si aaNkhoN ko
Naye khawaab dikhaane ke khaatir

Kya sachmuch…

Suno ‘Ey Dil’…ke ab
In dilaasoN se khud ko na behlaao,
Sirf ek kaandha chaahiye..gar tumko
To haazir hai wo bhi,

Ye na socho ke in deewaroN ke
Mai paar laga dooNga tumko,
Mumkin hai tum sunaate raho daastaan or
Ek mook darshak sa mujhko paao,

Behtar to yahi hoga ke
Tum mujhse bhi koi ummeed na lagaao,
Ho sakta hai aaj mai khilkhilauN tumko
Kal apne dard ka sabab..tum mujhko hi paao,

Tumhaari ye zulf khusk nazar aane lagi hai
AankhoN ke neeche lakeerieN
Or gehraane lagi haiN….
Inko sajaao….halka hi sahi
Kuchh kaajal lagaao
Apni zulfoN ko sanwaro…
Mai khush hooN ab ye pukaaro,

Ab dekho jara aaine me…
Kisne saNwara hai tumko…

Kya maine….

Nahi….

Ab jara muskuraao

Aaine jhooth nahi bolte….
Kisi or ko apna jeene ka maqsad na banaao,

Wo dekhoN, Ateet ab bhi waheeN pada hai
Usko pakdo nahi…us.se kuchh seekh liye jaao,

Mai kisi ko kuchh nahi de paata
Mujhe aaNsu pochhna bhi raas nahi aata,
Ek kaam karo….Ek aaina dikhado mujhko bhi
Gar kabhi mujhko bhi..tum udas or tadapta paao.

Chaand

'Wo' aksar muskuraata tha mujhpar
Mai Rota-Gidgidata tha uski chaukhat pe jaakar
Or har aane-jaane waala kuchh deta raha
Mere haalat par taras khaakar.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by Chaand; 27th October 2004 at 07:53 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th October 2004, 08:05 PM

mere chaand,

khud sikhe ya muje sikhaya ? fir socha ki hum kaha alag sochte thhe jo ab alag sikhe? tum jo sikh rahe ho muje bhi wahi to sikhna thha

kuch bhi kaho par chaand ki roshni sabhi k liye jaroory hai........

vij humesha kahta hai ........ chaand jaise sabhi ho to kitna achha..
ab kal yah padhega to or khush ho jaayega....

tumhari meena
   
Reply With Quote
HaaN shaayad
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
HaaN shaayad - 27th October 2004, 08:37 PM

HaaN Shaayad...Mai to ek bahaana hooN...ham sab ko ...Meena ji...kuchh to soch badalni hi padegi...Warna ye dard kam na hoga.

Wo sher hai na...

apna gam leke kaheeN or na jaya jaaye
ghar me bikhri hui cheezoN ko sajaya jaaye.

Aap sab samajhti haiN.....

or kya chaahiye ke dost bin kahe hi dostoN ko samajh jaaeiN.

Aapka Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
shakil-jaan
Registered User
shakil-jaan will become famous soon enough
 
shakil-jaan's Avatar
 
Offline
Posts: 155
Join Date: Sep 2004
Location: karachi
Rep Power: 20
28th October 2004, 03:13 AM

Salam

Na Dard RaheGa Na Zakhm RaheGa..Haan Wahi Rahega Jo Sacha Pyar KareGa ......Adab Arz Hai


Bhool Kar Zaat Tum Ko Yaad Kya
Baat Be Baat Tum Ko Yaad Kya
  Send a message via Yahoo to shakil-jaan  
Reply With Quote
Re: Kya Sachmuch..?
Old
  (#5)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Kya Sachmuch..? - 18th November 2004, 09:41 AM

Quote:
Originally posted by Chaand
Pyare dostoN ye ek koshish hai meri....khud ko hi kuchh sikhaane ki.....dekhoN ise parhkar kitna seekh paata hooN mai...

ek baar phir.....ye kisi bhi tarah ki writing tachnicalities ko nahi chhu paati so...sirf ek koshish hi samajhiyega ise kuchh kehne ki.

Kya Sachmuch

Kya sachmuch…tumhe ik kaandhe ki jaroorat hai
Rone or gidgidaane ke khaatir,

Kya sachmuch

Koi sahara chaahiye tumhe
In deewaaroN ke paar lagane ke khaatir

Kya sachmuch…

Tum abtak… ummeed me baithe ho ke
Koi aaega…shaayad koi aaega,
Tumhaare soonee si aaNkhoN ko
Naye khawaab dikhaane ke khaatir

Kya sachmuch…

Suno ‘Ey Dil’…ke ab
In dilaasoN se khud ko na behlaao,
Sirf ek kaandha chaahiye..gar tumko
To haazir hai wo bhi,

Ye na socho ke in deewaroN ke
Mai paar laga dooNga tumko,
Mumkin hai tum sunaate raho daastaan or
Ek mook darshak sa mujhko paao,

Behtar to yahi hoga ke
Tum mujhse bhi koi ummeed na lagaao,
Ho sakta hai aaj mai khilkhilauN tumko
Kal apne dard ka sabab..tum mujhko hi paao,

Tumhaari ye zulf khusk nazar aane lagi hai
AankhoN ke neeche lakeerieN
Or gehraane lagi haiN….
Inko sajaao….halka hi sahi
Kuchh kaajal lagaao
Apni zulfoN ko sanwaro…
Mai khush hooN ab ye pukaaro,

Ab dekho jara aaine me…
Kisne saNwara hai tumko…

Kya maine….

Nahi….

Ab jara muskuraao

Aaine jhooth nahi bolte….
Kisi or ko apna jeene ka maqsad na banaao,

Wo dekhoN, Ateet ab bhi waheeN pada hai
Usko pakdo nahi…us.se kuchh seekh liye jaao,

Mai kisi ko kuchh nahi de paata
Mujhe aaNsu pochhna bhi raas nahi aata,
Ek kaam karo….Ek aaina dikhado mujhko bhi
Gar kabhi mujhko bhi..tum udas or tadapta paao.

Chaand

'Wo' aksar muskuraata tha mujhpar
Mai Rota-Gidgidata tha uski chaukhat pe jaakar
Or har aane-jaane waala kuchh deta raha
Mere haalat par taras khaakar.


mere chaand,

ek baar fir......

.................................................. ......


hakikat se hathh mila lu to chalu..........


meena
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
18th November 2004, 06:33 PM

Sochta hooN...........


Har subhe kuchh seekhne ki ummeed se aata hooN
Har shaam...khaali haath laut jaata hooN,
Ye naakaami har roj ki bhi ....ek sabak sa ban jaati hai
Kam-s-kam naakaami ke saath bhi jeena to seekh jaata hooN.



Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th November 2004, 06:41 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Sochta hooN...........


Har subhe kuchh seekhne ki ummeed se aata hooN
Har shaam...khaali haath laut jaata hooN,
Ye naakaami har roj ki bhi ....ek sabak sa ban jaati hai
Kam-s-kam naakaami ke saath bhi jeena to seekh jaata hooN.




mere chaand,

jina sikhna itna aasan hota agar to kya baat thhi
is tarah nakaami ko galae laga paati to kya baat thhi

meena
   
Reply With Quote
Tarif karna zaroori hain keya? Kidding...
Old
  (#8)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Tarif karna zaroori hain keya? Kidding... - 24th November 2004, 07:34 PM

Ho sakta hai aaj mai khilkhilauN tumko
Kal apne dard ka sabab..tum mujhko hi paao,
Daar tou yehi rehta hain...

Kajal aur main*mumkin nahin hain! I just don't use it
Aaj bohot arsa baad yeaha aa kar bohot achha laga...(I know) Chaliye ab jab main aa hi gaayi houn tou kuch likhna bhi chahiye...

Ho sakein to mera ek kam karon
Shaam ka ek paher mere naam karon
Ho sakein to mera ek kam karon

Dil to pehli nazar mein tumhara hua
Tum ho jiite hue, main haara hua
Mere jazbaat ka ehtaram karon, ye geet...puri geet abhi tak mili nahin hain...(I was very much busy with my Maa, She is better now.)

I will be back soon.......khush rahiye ye Duwaon ke saath ijaazat chahoungi...Aapna khayaal rakhiyega...God bless you.

Keep smilling...


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Re: Tarif karna zaroori hain keya? Kidding...
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Tarif karna zaroori hain keya? Kidding... - 24th November 2004, 07:42 PM

I was very much busy with my Maa, She is better now.

meri shimul,

tumhari maa ab thhik hai yah jaan kar achha laga ....... yaha par is liye tumhe kah rahi hu kyun ki or koi thhikana tumhara mere paas nahi.... [ in box full, msn bhi nahi]

tumhari meena
   
Reply With Quote
I knew :)
Old
  (#10)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
I knew :) - 24th November 2004, 07:55 PM

Dear Meena, Yeaha par aapne likhha tou keya hua? Chaand Jee zaroor samjhenge I have deleted some of from pm...Will talk to you soon...Khush rahiye ye Duwaon ke saath ijaazat? Take care...God bless you.

Keep smilling...


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
26th November 2004, 04:32 PM

Ho sakta hai aaj mai khilkhilauN tumko
Kal apne dard ka sabab..tum mujhko hi paao,
Daar tou yehi rehta hain...

Kajal aur main*mumkin nahin hain! I just don't use it
Aaj bohot arsa baad yeaha aa kar bohot achha laga...(I know) Chaliye ab jab main aa hi gaayi houn tou kuch likhna bhi chahiye...

Ho sakein to mera ek kam karon
Shaam ka ek paher mere naam karon
Ho sakein to mera ek kam karon

Dil to pehli nazar mein tumhara hua
Tum ho jiite hue, main haara hua
Mere jazbaat ka ehtaram karon,


..................................................
.....................................

achchha laga Shimul tumhe yahaaN dekhkar.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com