Mai Kaisa Nazar aata hooN.. -
22nd October 2002, 11:03 AM
Apni maa ke sunder se
Bete jaisa nazar aata hooN,
Apne pita ke gaurav dhwaj
Jaisa nazar aata hooN,
Apni behen ke abhimaan or
Sam.maan jaisa nazar aata hooN,
Unki nazroN me mai apne kul ka
Chaand nazar aata hooN,
Apne chaahne waaloN ki mai
Muskaan jaisa nazar aata hooN,
AnjaanoN ke beech mai
Mehmaan jaisa nazar aata hooN,
Mushkil hai sabki raay bataana
Ke mai kisko kaisa nazar aata hooN,
Apni nazar me mai bhi mujhko
OroN sa aam Insaan nazar aata hooN.
Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.
- Chaand
|