Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 5th January 2006, 07:14 PM

Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.

GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#2)
anjaani awaaz
Registered User
anjaani awaaz is on a distinguished road
 
anjaani awaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 417
Join Date: Jan 2005
Location: Office 24x7
Rep Power: 20
6th January 2006, 12:29 PM

Praveen Ji,
Aapke naye saal ki nek khahishaat bahut khoob hai. Khaaskar yeh

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

It's true. It requires guts to fulfill ambitions. Thanks for sharing this with us.


^^^Shalini^^^
... jab se kisi ne
karli hai suraj ki chori
aao
chal ke suraj dhoondhein
aur na mile toh
kiran kiran phir jama karein hum
aur ik suraj naya banyein
-NM
  Send a message via Yahoo to anjaani awaaz  
Reply With Quote
nam parh kar hee
Old
  (#3)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
nam parh kar hee - 14th March 2006, 07:46 PM

nam parha ummeed thee achha kalam parhne ko milega wahee huya bahut pyree baten hain koyee sher kam nahee par ye do yaad rahenge kabhee kisee ko tumhara nam le ke sunayoonga wah ko kitnee baar kahoon pata nahee par jitnee baar likhoon kam lagegee
Anil

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
14th March 2006, 09:36 PM

Praveen Sahib...

itna nayaab heera kaise chupa reh gaya itne din...? dar asal hum zyada dard ki galiyon mein hi phera lagaate hain shayad isiliey...Anil ji ka shukriya jo unhone is heere ko dhuundne ki zehmat ki...

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

dil se mehsoos kiya ja sakta hai apke in ehsaason ko...behad khuubsurat!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
15th March 2006, 08:58 AM

parveen ji ye gazal maine padhi hai aapki pahile bhi ab fir se aaj ise padhkar achha laga tab kuch karan se is par reply nahi kar paayi thi

aapki ye kalam bhaut hi encourage karne wali lagi sahas aur sach ka anutha sangam
aap ki nayi post ke intezar mai

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#6)
shayar_abhishek
*~Dead Heart~*
shayar_abhishek has a spectacular aura aboutshayar_abhishek has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 616
Join Date: Sep 2005
Location: Nowhere
Rep Power: 20
3rd April 2006, 11:17 AM

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho


wah Praveen sir
bahut hi badhiya likha hai

shabdo ka kam prayog karke bahut kuchh samjha diya hai apne
ese hi likte rahiye or mehfil ko sajate rahiye
hum ese hi aapko padhte rahegenge or aapse sikhte rahenge

bye sir

have a nice day
keep smilng


****Nonu****
~*~ EK SHAYAR Anjaan~*~
  Send a message via Yahoo to shayar_abhishek  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 29th July 2015, 05:22 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.

GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena


Praveen ji

aapki yeh aik purani shayri par nazar gye to maiN padey bina reh na saki...etne sacche ehsaas.....dil ke khaas kareeb rhi yeh poetry.

yeh sher muje apne dil ke bahutttttttttt kareeb lga.

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

yu hi likhtey rhiye aur bazm mein aate rhiye.
regards


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
31st July 2015, 04:13 PM

Waaaaahhh! !!..bahut khoob kalam praveen ji...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
31st July 2015, 05:53 PM

wah bahut sunder Praveen jee daad.......


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st August 2015, 02:54 PM

waahhhhhhhhhhhh kyaa khoobsurat peshkash hai Saxena saahab.... nihaaytiii khoobsurat


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kuch aapna sa tatol rahi hai jindagi akhilesh gupta Shayri-e-Dard 2 11th July 2009 09:50 PM
kuch aapna sa tatol rahi hai jindagi akhilesh gupta Shayri-e-Dard 0 23rd November 2007 09:18 PM
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho prasaxena Shayri-e-Dard 45 23rd November 2007 08:44 PM
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho prasaxena Aapki Shayri 1 6th January 2006 01:12 PM
ped ke dekho ek derd Shayri-e-Dard 0 7th July 2004 04:10 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com