Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
"Fark Zara Sa"- Ek aur chhoti si ghazal aapki nazrr kar raha hoon zara gaur dijiyega!
Old
  (#1)
parthh
Parthh
parthh will become famous soon enoughparthh will become famous soon enough
 
parthh's Avatar
 
Offline
Posts: 23
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 0
Smile "Fark Zara Sa"- Ek aur chhoti si ghazal aapki nazrr kar raha hoon zara gaur dijiyega! - 3rd May 2009, 04:29 PM

Fark Zara Sa- Ye ek aur chhoti si ghazal pesh-e-khidmat hai. Ye ghazal thode zyada gaur se padhiyega kyonki Fark Zara Sa hi hai....zara gaur farmaiyega...

Pehla She'r Pesh Karta Hoon

YakeeN Woh Mujh Pe Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai,
YakeeN Woh Mujh Mein Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Woh Hamaare Charche Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai,
Hum Unke Charche MeiN Hua Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Woh Dawa-e-Mohabbat KareiN, Ye Ek Baat Hai,
Woh Mohabbat Daawe Se Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Mujhe Halaa'T Fakeer Bana De, Ye Ek Baat Hai,
Fakeeri Mujhko Bhaa Jaaye, Ye Ek Baat Hai.

Qaafiya Ghazal Se Na Jude, Ye Ek Baat Hai,
Ghazal Phir Bhi Bann Jaaye, Ye Ek Baat Hai.

Takhalluss Apna "Gohar" RakheiN, Ye Ek Baat Hai,
"Gohar" Hi Bann JaayeiN, Ye Ek Baat Hai.


Gohar
Parth- The Polar Bear.


Apne HarfooN Ko Chupa Chupa Ke Rakhta HooN,
Itna Bhi Acha Shayar Nahi Ke Bika KarooN MeiN...

http://parth-committment.blogspot.com/
  Send a message via Yahoo to parthh  
Reply With Quote
Old
  (#2)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
5th May 2009, 01:26 PM

janaab aapkii koshish behad dilchasp lagii !

wakeyii fark zara sa hi rah gaya ..

ghazal Qaafia , radeef ki paaband hotii hai ! aur pehle sher se hi aapne radeef
Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai, tay kar diya tha ... ghazal meiN kabhi bhi radeef nahi badalta hai ! aap iss pe ghaur farmaayenge to Qalaam aur khoobsoorat banega aur ghazal kahne meiN bhi maza aayega !

bakii ... aapki fikR mujhe pasand aayi !

daad ke saath !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
PREM_LOVE
Registered User
PREM_LOVE is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 38
Join Date: Mar 2009
Location: AHMEDABAD
Rep Power: 0
5th May 2009, 02:46 PM

YakeeN Woh Mujh Pe Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai,
YakeeN Woh Mujh Mein Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Woh Hamaare Charche Kiya Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai,
Hum Unke Charche MeiN Hua Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Woh Dawa-e-Mohabbat KareiN, Ye Ek Baat Hai,
Woh Mohabbat Daawe Se Karte HaiN, Ye Ek Baat Hai.

Mujhe Halaa'T Fakeer Bana De, Ye Ek Baat Hai,
Fakeeri Mujhko Bhaa Jaaye, Ye Ek Baat Hai.

Qaafiya Ghazal Se Na Jude, Ye Ek Baat Hai,
Ghazal Phir Bhi Bann Jaaye, Ye Ek Baat Hai.

Takhalluss Apna "Gohar" RakheiN, Ye Ek Baat Hai,
"Gohar" Hi Bann JaayeiN, Ye Ek Baat Hai.




AAP KI GAJAL PADH KAR HAM WAH WAH KAREN YE EK BAT HAI
HAREK SHABD WAH WAH KAR KE PADHEN YE OR EK BAT HAI.....


BAHOOOOOOOOTTTTTT HI BADHIYA HAI KEEP IT UP


Mat pucho kis kis ne mara laat mere janaje par...............
wo sabhi samil the mere mehboob k mehman namaji par.
+91-9978-1111-61
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
zara zara paas aake naresh_mehra110 Doston Ki SMS Shayri 0 2nd May 2009 03:54 PM
"KHUSI AUR GAM KE AANSU ME FARK HOTA HAI..........."a shayri for her....with u always Dhaval Shayri-e-Ishq 8 29th October 2006 05:37 PM
**Zara zara si baatein.."Javed Akhtar"** Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 2 29th January 2006 09:42 PM
Sun Zara Soniye Sun Zara - LUCKY farhana Hindi/Urdu Lyrics 0 28th October 2005 05:06 AM
chor kar na ja mujh ko soch le zara phir bhi "Aman" Nida Siidiqui Shayri-e-Dard 1 21st May 2003 03:18 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com