|
|
|
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
***aPne uLjhE mUkaddaR ko kAisE maiN suLjHaauN*** -
10th September 2005, 06:43 PM
hi all..... .
frenz......kabhi kabhi hum samajh nahi paate ki kisi ko paane ke liye hum kis hadd tak guzar jaayein taaki us shakhs ka haseen saath hume naseeb ho jaye.......isi thought pe kuch shabd dil se nikle aur dekhte hi dekhte ek ghazal ban gayi.. i hope ki aap ko meri koshish pasand aayegi.......
*************************************************
Chehre par lakeer-e-ashq ko kaise main chhupaauN,
Badhaal hai is dil ka......kaise tumhe bataauN,
Dil pe naam likha hai saahil ki reth par nahi,
maut aane se pehLe tera naam kaise mitaauN,
likha karti hooN aksar in khaamosh nigahoN se,
kaagaz pe likhe jazbaat kaise tumhe padhaauN,
dil ki har ek dhadkaN sirf tumhare geet gaye,
pyar bhara ye fasaana,kaise tumhe sunaauN,
umeed tere aane ki kabki chhod chuki hooN,
main to samajh gayi,par is dil ko kaise samjhaauN,
dil na laga paaungi tere jaane ke baad phir se,
ae yaar!Khata-e-mohabbat ko kaise main dohraauN,
meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN,
Tu hi bata de dilbar,tera saath paane ki khaatir,
apne uljhe mukaddar ko kaise maiN suljhaauN..........
**************************************************
luv,
KaSaK........
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,172
Join Date: Mar 2005
Location: hyderabad
Rep Power: 22
|
10th September 2005, 06:47 PM
very nice kasak ji..
keep writin
take care
Karthik
Chaandni mere pyaar ki kyun uspar na rang laayi
Kyun bas kami hi meri ibaadat me usko nazar aayi
Thaa laakh bura sahi main. sacchi meri chaahat thi
Kyun meri bhaavnaon ko woh samajh nahi paayi...
Dekhna chahta hun..
Tere tasveer ko khwab banake dekhna chahta hun
Aur us khwab mein apne aap ko khona chahta hun
I envy the words, which took the form of my emotions
I love my poetry…
Which has turned the tears of pain in to the pearls of love…
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
10th September 2005, 06:53 PM
hi karthik ji.......
apko pasand aaya mujhe bahut khushi hui......
thanx a lot 4 replying......
TC..
luv,
KasaK......
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
|
|
"Taish meN hai Taish"
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
|
11th September 2005, 10:33 AM
sach kahoon to no words to express my feelings for this post of urs .ye bas dil si nikli hui ek aawaaz hai.aur aise aawaazon ko categorise nahi kiya jata.bas itna hi kahunga ki hum nidhal ho gaye aapka ye kalam padh kar.so bas yunhi likhte rahiye aap.khash taur pe ye lines bahut pasand aayi hume,
meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN,
Tu hi bata de dilbar,tera saath paane ki khaatir,
apne uljhe mukaddar ko kaise maiN suljhaauN..........
aapka LUCKY
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
11th September 2005, 01:41 PM
ghayal sahab......aapki reply ke liye teh-e-dil se shukriya.......
bas dil se nikli awaaz kab alfaaz ban jaye pata nahi chalta......aap samajh sakte hain.......bas aap aise hi padhte rahiye.......
aur aur aur reply karna mat bhooliyega......
luv ya,
KasaK........
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
Re: ***aPne uLjhE mUkaddaR ko kAisE maiN suLjHaauN*** -
12th September 2005, 12:20 AM
Quote:
Originally posted by kasak
dil na laga paaungi tere jaane ke baad phir se,
ae yaar!Khata-e-mohabbat ko kaise main dohraauN,
meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN,
|
Kasak
yuN to poora kalaam hi kamaal tha par ye sher to bas dil main utre hi nahi dil ghayal bhi kar gaye .. kahin na kahin khud ka hi aks paya inme ...
aapka apna
kunal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 29
|
Re: ***aPne uLjhE mUkaddaR ko kAisE maiN suLjHaauN*** -
12th September 2005, 09:57 AM
Chehre par lakeer-e-ashq ko kaise main chhupaauN,
Badhaal hai is dil ka......kaise tumhe bataauN,
Dil pe naam likha hai saahil ki reth par nahi,
maut aane se pehLe tera naam kaise mitaauN,
umeed tere aane ki kabki chhod chuki hooN,
main to samajh gayi,par is dil ko kaise samjhaauN,
dil na laga paaungi tere jaane ke baad phir se,
ae yaar!Khata-e-mohabbat ko kaise main dohraauN,
meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN,
kasak sahiba
bahoioot khooob!!!! dard ko jubaan bana kar ek behtreeen gazal pesh ki hai aapne....har sher bmuqamal aur behtreen hai....magar yeh chand sher jaise dil mein utar gaye...ek achi rachna ke liye meri dil se nikli daad kuboool kijiye.apna khayal rakhiye
-MANOJ
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 15
Join Date: Aug 2005
Location: woh mod par jahan hum tanha khade hai
Rep Power: 0
|
12th September 2005, 04:55 PM
Hello Kasak,
once again, great job done. marvellous
bahut hi badhiya likhti ho aap. ab to jaise main aapki fan ho gayi hoon.
umeed tere aane ki kabki chhod chuki hooN,
main to samajh gayi,par is dil ko kaise samjhaauN,
bahut khub likha hai
dil na laga paaungi tere jaane ke baad phir se,
ae yaar!Khata-e-mohabbat ko kaise main dohraauN,
behtareen!!!!
do keep writing
God Bless U
Sonu
Itne karib aaye ke dur ho gaye,
Itne hanse ki rone ko majbur ho gaye,
Aur aansuon ko apana mukaddar bana liya,
tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
~~~~~~Sonu~~~~~~
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
Re: Re: ***aPne uLjhE mUkaddaR ko kAisE maiN suLjHaauN*** -
12th September 2005, 10:07 PM
Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Kasak
yuN to poora kalaam hi kamaal tha par ye sher to bas dil main utre hi nahi dil ghayal bhi kar gaye .. kahin na kahin khud ka hi aks paya inme ...
aapka apna
kunal
|
kunal bhaiya....bas yun samajhiye ki dil se nikli awaaz ko kaagaz pe utaara hai......jazbaat alfaaz ban gaye hain.....pata hi nahi chala......waise ye sher to mujhe bhi bahut pasand aaya.....
'meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN'
hehehe........bahut achcha laga ki aap ka reply mujhe aaya.....gr8tly obliged.......thanx so much......
keep smiling.......
ur sis,
KaSaK......
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
Re: Re: ***aPne uLjhE mUkaddaR ko kAisE maiN suLjHaauN*** -
12th September 2005, 10:12 PM
Quote:
Originally posted by manoj kureel
Chehre par lakeer-e-ashq ko kaise main chhupaauN,
Badhaal hai is dil ka......kaise tumhe bataauN,
Dil pe naam likha hai saahil ki reth par nahi,
maut aane se pehLe tera naam kaise mitaauN,
umeed tere aane ki kabki chhod chuki hooN,
main to samajh gayi,par is dil ko kaise samjhaauN,
dil na laga paaungi tere jaane ke baad phir se,
ae yaar!Khata-e-mohabbat ko kaise main dohraauN,
meri aankhen chahe dekh lein duniya ki tabaahi,
par tujhe gair ki baahon me kaise dekh paauN,
kasak sahiba
bahoioot khooob!!!! dard ko jubaan bana kar ek behtreeen gazal pesh ki hai aapne....har sher bmuqamal aur behtreen hai....magar yeh chand sher jaise dil mein utar gaye...ek achi rachna ke liye meri dil se nikli daad kuboool kijiye.apna khayal rakhiye
-MANOJ
|
manoj bhaiya.........
aaj apka reply dekha to laga ki hum bhi shayad umda shayaron k category me aa gaye hain.......hehehe.......jaisa ki pulkit bhaiya ne bataya dat u are one of the best writers over here.......mere liye isse zyada khushi ki baat aur kya ho sakti hai ki us shakhs ne mujh naacheez ko reply kara.......aur wo bhi itne achche tareeke se........
apki daad sar aankhon par........
thank u frm the bottom core of my heart.....
urs,
KasaK......
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
|
|
Pieces of me!
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 26
|
12th September 2005, 10:15 PM
hi again sonu.......
u knw.....aap humeshaa kuch zyada hi taareef kr dete ho yaar.....
thank u so much.......bas fan hone ki koi zaroorat nahi hai.....fan to unka hua jata hai jinse kuch seekhne ko mile......mujhe to abhi khud bahut bahut seekhna hai.......
bas aapka saath chahti hoon......
thank u so much......
luv u,
KaSaK......
~A tease in heart~
Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|