Quote:
Originally Posted by chetan1nonly
Gam mujhko mile sabke mukaddar se jiyada,
Dariya me huaa paani samundar se jiyada !
Deta hai khuda faad ke chhappar eh suna hai,
Maanga na kabhi maine to chhappar se jiyada !
Ham jisko khuda maan ke sazde me jhuke the,
Patthar tha o aur kuchh na tha patthar se jiyada !
Lagte hain kabhi khaar bhi resham se mulayam,
Chubhte hain kabhi phool bhi nashtar se jiyada !
Har shai hai bahut door mere hath hain chhote,
Aur paon hain lambe mere chadar se jiyada !
Iss daur se ummed karun bhi to karun kya,
Dega bhi to kya dega ye eek dar se jiyada !!
|
aasdab chetanji, bahut khoob aaj apko pehli baar pada padkar acha laga aap kafi acha likhte he, apke har sher me alag khasiyat he. ese hi likhte rahiye...
bye dost