Ye nigahein kahin bhi jaayen,
in nigahon mei har taraf tu hai.
ek samandar hai aankh mei shayad,
khara khara tabhi to aansoo hai.
zindagi aag zindagi paani,
zindagi chaoon zindagi loo hai.
kaun kehta hai ke tu nahin hai ab,
mere andar to aaj bhi tu hai.