Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ek Ghazal aur kuch tanha ash'aar.....
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
ek Ghazal aur kuch tanha ash'aar..... - 14th October 2006, 06:39 AM

aadaab dosto

ek bohat puraani Ghazal aur kuch GhazleN jo abhi shuruu ki haiN unke kuch tanha ash'aar post kar raha huuN ummiid hai aapko qaabil e ga'ur lageNgey

mulaiizaa kijiye :-

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

Khaab mujh ko dikhaaye kyuuN tuuney
dil agar toD ke hii jaanaa thaa

is liye KhilwatoN meiN maiN royaa
kyuNkey mehfil meiN muskuraanaa thaa

dushmanoN ne diyaa naa gar dhokaa
jaa ke yaaroN ko aazmaanaa thaa!

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

.................................................. .............

kuch duniya ke zulm-o-sitam ne, tuufaan uthaa rakha hai
kuch teri tammannaoN ne, deewaana banaa rakha hai

vaada yeh na mujhse maaNgo, maiN tumko bhulaa duuN jaanaaN
kahiiN phool ne bhi khushbu ko, apne se judaa rakha hai

.................................................. ...............

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

.................................................. ................

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

ab miyaaN in meiN se ko'ii Ghazal kabhi muqammal ho gayi ( jiska chance bohat kam hai ) to zaruur post karuNgaa

apne ta'suraat se nawaziiyega

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
14th October 2006, 09:25 AM

maikash ji kem chho????

aaj subha subha aate h aapki is peshkas pe nazar padi
mujhe padh ke aaj sach me bahot achha laga aaj ki ye aapki peshkas apka andaz pasand aaya

aur mujhe puri peshkas pasand aayi

magar aapki peshkas ki kuch line mujhe zyadatar pasand aayi

jaise ki

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

maikash ji bas uhi aap likhte rahiye

khus rahiye ......
this is for you..

wo khusnasib hongi jo aapko dhundh paye,
jaise ke toofan kinare pe aake tham jaye,
aap likhte ho kafi achha dost "maikash"
khuda aapko manzil tak zarur pahuchaye

JAI SHREE KARISHNA

aapka dost
dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
14th October 2006, 03:59 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

vaada yeh na mujhse maaNgo, maiN tumko bhulaa duuN jaanaaN
kahiiN phool ne bhi khushbu ko, apne se judaa rakha hai
.................................................. ...............

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai
.................................................. ...............
bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal
.................................................. ...............
kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

.................................................. ................

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

maikash
janab maikash saheb
aadab arz hai
janab kya baat hai aapke sabhi gazals ke aagaz mujhe lagta hai behad khubsurat hai.n or har ek sher per ek bahut pyari si gazal likhi ja sakti hai...
jisme se ye sher to janab bus poochiye mat kya kahne iska...............
''bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal"

janab is aagaz ke sath gazal likhi jaye to janab kya baat ho..........
main dua karoonga ki aapki koi na koi gazal in aagazo ke sath jaroor anzam tak pahunche...................
mubarkabad kabool kijiyega janab

shukriya

ek begana sa dost
dilip

" Dilip " -Ek Adhoora khwab

Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
14th October 2006, 04:23 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto

ek bohat puraani Ghazal aur kuch GhazleN jo abhi shuruu ki haiN unke kuch tanha ash'aar post kar raha huuN ummiid hai aapko qaabil e ga'ur lageNgey

mulaiizaa kijiye :-

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

Khaab mujh ko dikhaaye kyuuN tuuney
dil agar toD ke hii jaanaa thaa

is liye KhilwatoN meiN maiN royaa
kyuNkey mehfil meiN muskuraanaa thaa

dushmanoN ne diyaa naa gar dhokaa
jaa ke yaaroN ko aazmaanaa thaa!

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

.................................................. .............

kuch duniya ke zulm-o-sitam ne, tuufaan uthaa rakha hai
kuch teri tammannaoN ne, deewaana banaa rakha hai

vaada yeh na mujhse maaNgo, maiN tumko bhulaa duuN jaanaaN
kahiiN phool ne bhi khushbu ko, apne se judaa rakha hai

.................................................. ...............

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai

.................................................. ...............

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

.................................................. ...............

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

.................................................. ................

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

.................................................. ................

ab miyaaN in meiN se ko'ii Ghazal kabhi muqammal ho gayi ( jiska chance bohat kam hai ) to zaruur post karuNgaa

apne ta'suraat se nawaziiyega

shukriya
maikash

sir aadaab,,

babhut hi umda aasaar pesh kiye hain aapne.saare aasaar dil ko choone wale aur bahut hi aasaan lafzon me likhe hue.aur main aapka shurkiya v ada karna chahunga.kyunki aapke in aasaaron ne mujhe ek bahut hi pyara sa ahcha khayal diya hai.umeed karta hun ki aap aage v yunhi mhfil ko sajate rahenge hum jaise khaakh naseeno ko liye................

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
15th October 2006, 06:46 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
maikash ji kem chho????

aaj subha subha aate h aapki is peshkas pe nazar padi
mujhe padh ke aaj sach me bahot achha laga aaj ki ye aapki peshkas apka andaz pasand aaya

aur mujhe puri peshkas pasand aayi

magar aapki peshkas ki kuch line mujhe zyadatar pasand aayi

jaise ki

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

maikash ji bas uhi aap likhte rahiye

khus rahiye ......
this is for you..

wo khusnasib hongi jo aapko dhundh paye,
jaise ke toofan kinare pe aake tham jaye,
aap likhte ho kafi achha dost "maikash"
khuda aapko manzil tak zarur pahuchaye

JAI SHREE KARISHNA

aapka dost
dhaval

namaste bhai

aapko meri yeh adnaa si peshkash is qadar bhaayi mujhe bohat khushi hai, bohat shukriya.........aur jo baNdh aapne khasuusan pasaNd farmaaya uske liye shukriya alag se tasleem farmaaiiye

aapne jo she'r ataa kiya voh bohat pasaNd aaya......!!

ab miyaaN maNzil milne ke liye kisi maNzil ka wajuud hona bhi to zaruuri hai......maiN to ek aise safar meiN huuN jis meiN safar ke ilaawa kuch hai hi nahiiN......

aapko ek aNdar ki baat bataata huuN ,aapne aksar GhazloN ya nazmoN meiN shayiiroN ko yeh kehte suna hoga ke "gam ki aadat ho gayi hai" , yeh baat sau-fee-sadii sach hai , kuch logoN ko dard sehne ki is qadar aadat ho jaati hai ke khushi ka ehsaas kabhi ho bhi jaaye to ajeeb sa lagta hai....is baat ko shayaad meri ik taaza Ghazal ka yeh she'r behtar bayaan kar sakta hai......abhi pichhle hafte hi shuru ki hai....she'r mulaizaa kijiye

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

aapki muravvat ka ehsaanmaNd huuN

maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Khwahish
Registered User
Khwahish is on a distinguished road
 
Khwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 57
Join Date: Sep 2006
Rep Power: 18
16th October 2006, 11:59 AM

maikash apne achha likha hai sare lafz-e-bayan pasand aye hame
apka ye kalam tarrif ke kabil

khuda hafiz

khwahish--Ek safar teri Zindagi ka...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
16th October 2006, 06:00 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto

ek bohat puraani Ghazal aur kuch GhazleN jo abhi shuruu ki haiN unke kuch tanha ash'aar post kar raha huuN ummiid hai aapko qaabil e ga'ur lageNgey

mulaiizaa kijiye :-

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

Khaab mujh ko dikhaaye kyuuN tuuney
dil agar toD ke hii jaanaa thaa

is liye KhilwatoN meiN maiN royaa
kyuNkey mehfil meiN muskuraanaa thaa

dushmanoN ne diyaa naa gar dhokaa
jaa ke yaaroN ko aazmaanaa thaa!

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

.................................................. .............

kuch duniya ke zulm-o-sitam ne, tuufaan uthaa rakha hai
kuch teri tammannaoN ne, deewaana banaa rakha hai

vaada yeh na mujhse maaNgo, maiN tumko bhulaa duuN jaanaaN
kahiiN phool ne bhi khushbu ko, apne se judaa rakha hai

.................................................. ...............

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai

.................................................. ...............

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

.................................................. ...............

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

.................................................. ................

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

.................................................. ................

ab miyaaN in meiN se ko'ii Ghazal kabhi muqammal ho gayi ( jiska chance bohat kam hai ) to zaruur post karuNgaa

apne ta'suraat se nawaziiyega

shukriya
maikash
Maikash saheb,...

Bahoot hi sunder andaaz se Maikash saheb aapne apni ghazal pesh kiye...aapke kehne ka andaz hamein bahoot pasand aya.....

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

Bahoot khoob janaab...ik-ik lafz beher ko sunder bana rahi hai....Daad kabool keejiye janaab....Harash
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#8)
moon
Guest
 
Posts: n/a
16th October 2006, 11:59 PM

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai

wah maikash ji tamam ashar achay lagay aur khas tor per ye wala keep writing
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
17th October 2006, 10:18 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto

ek bohat puraani Ghazal aur kuch GhazleN jo abhi shuruu ki haiN unke kuch tanha ash'aar post kar raha huuN ummiid hai aapko qaabil e ga'ur lageNgey

mulaiizaa kijiye :-

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

Khaab mujh ko dikhaaye kyuuN tuuney
dil agar toD ke hii jaanaa thaa

is liye KhilwatoN meiN maiN royaa
kyuNkey mehfil meiN muskuraanaa thaa

dushmanoN ne diyaa naa gar dhokaa
jaa ke yaaroN ko aazmaanaa thaa!

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

.................................................. .............

kuch duniya ke zulm-o-sitam ne, tuufaan uthaa rakha hai
kuch teri tammannaoN ne, deewaana banaa rakha hai

vaada yeh na mujhse maaNgo, maiN tumko bhulaa duuN jaanaaN
kahiiN phool ne bhi khushbu ko, apne se judaa rakha hai

.................................................. ...............

vo ladki kal talaq jo tarq-e-ta'lluq se bahut khush thi
na jaane kyoN lage hai ab bhi hamse pyaar karti hai

.................................................. ...............

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

.................................................. ...............

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

.................................................. ...................

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

.................................................. ................

ab miyaaN in meiN se ko'ii Ghazal kabhi muqammal ho gayi ( jiska chance bohat kam hai ) to zaruur post karuNgaa

apne ta'suraat se nawaziiyega

shukriya
maikash
maikash ji namaskar........!

aaj aapne dil kush kar diya, etne sarrey sher ek saath kah kar.

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

bilkul sahi kaha aapne, sacchi main to takreeban aapne dil ki baat jo kisi se nahi kah pati woh sher mai.n kah deti hu, dil halka ho jata hai.

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

aisa hi kuch haal-e-dil edhar bhi hai.................!

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

bahut khoob........!

bahut padsand aaye aapke yeh post umeed hai app jaldi hi yeh sarri gazals puri kar lenygey. aur hum tak pahunchangey.

yu hi likhtey rahiye.

aapki dost

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#10)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
17th October 2006, 11:04 AM

Kya kahe Maikash sahab... padh ke dang rah jane ke siva kuch nahi kar sakta.... SubhanAllah.... ek se ek badh kar .. ek se ek jabar dast .... Par aaj mein ek jabar dast gustaaki kar raha hu ... mujhe aapke in tukdoi mein hur ek bahut pasand aaya... par ek sher mujhe thoda sa nakaam laga...

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

kaaran ye hai ki ... uper wala sher (humko to rahbar....) ki khubsurati itni jyada hai ki ... ye us pravaah mein kuch fikha lag jata hai .... jo sundarta aur sanjidagi ... uper wale mein hai .. na jane kyo ismen nahi hai .....

Khata ke liye maafi chahta hu ... par aapko mein us najar se padhta hu .. jaise kisi naami shayar ko padhta hu .... to masla ye hai ki jab kisi hasti ko padha jaye ... to najar mein badlaav aa jata hai ... agar ye sher mein apni kalam se niakalta to shayad mujhe bahut pasand aata .... apni apni hudein hai... meri hud tak ye mukammal hai ... aapko nahi ....
Iske alaava hur sher dil ko chuu jata hai .... dil-o-dimag ka taraajoo.. bilkul barabar hai....
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
hi
Old
  (#11)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 17th October 2006, 11:05 AM

janaab sandhu saab thanu rajveer de pyaar bhari sat sri akaal ji....main kadde kadde soachda hunda c ki aakhir ki oh kihre gal hai jo sanu sab to alag banondi hai...ajj thuadee post parh ke mere sare bharm door ho gaye....oh ne sade khyalaat te unha nu byaan karan ka tareeka....thuadee post parhi bhut gaur naal parhi...kai daffa parhi....hor patta nahi kini daffa parahnga...sacchi bhut umda gazal te bhut dilkash share kahe ne tusee...thuadee gazal da makta te janaab bass lajawaab hai....

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

besakhta he muh vicho wah wah nikal janda hai parh ke.....jini daffa v parda haan ik daffa hor paran de chhahat paida ho jandee hai.....bhut khub meri dilo daad kabool karna janaab....thuade naal phone te gal karna v bhut acha lagga...

khud ko byaa karna kahan sabhi ko aata hai,
yeh hunnar to bass 'maikash' appko aata hai....

dil to hum bhee rakhte hai seene main magar,
dharkan ki manind dharkna to appko aata hai.....

yeh koshish appke naam .......rab rakha.......rajveer.......

un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#12)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:23 AM

Quote:
Originally Posted by dilip200 View Post
janab maikash saheb
aadab arz hai
janab kya baat hai aapke sabhi gazals ke aagaz mujhe lagta hai behad khubsurat hai.n or har ek sher per ek bahut pyari si gazal likhi ja sakti hai...
jisme se ye sher to janab bus poochiye mat kya kahne iska...............
''bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal"

janab is aagaz ke sath gazal likhi jaye to janab kya baat ho..........
main dua karoonga ki aapki koi na koi gazal in aagazo ke sath jaroor anzam tak pahunche...................
mubarkabad kabool kijiyega janab

shukriya

ek begana sa dost
dilip

janaab aapki muhabbat hai jo itni izzat baKhste haiN varna maiN kis qaabil huuN, aapki daad aur mubarakbaad tasleem aur jo she'r aapne khusuusan pasaNd farmaaya uske liye shukriya qabuul kijiye

maiN puuri koshish karuuNga ka aapke manpasaNd she'r ke saath Ghazal muqammal karuuN

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:25 AM

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
sir aadaab,,

babhut hi umda aasaar pesh kiye hain aapne.saare aasaar dil ko choone wale aur bahut hi aasaan lafzon me likhe hue.aur main aapka shurkiya v ada karna chahunga.kyunki aapke in aasaaron ne mujhe ek bahut hi pyara sa ahcha khayal diya hai.umeed karta hun ki aap aage v yunhi mhfil ko sajate rahenge hum jaise khaakh naseeno ko liye................
kalaam pe apni pasaNdiidagi ki mohar ataa farmaane ke liye mera shukriya qabuul farmaayeN saahab, aur ummiid hai ke aapko jo khayaal aaya hai us par aap ek purasar Ghazal likheiNge aur mehfil ki nazar kareiNge

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:26 AM

Quote:
Originally Posted by Khwahish View Post
maikash apne achha likha hai sare lafz-e-bayan pasand aye hame
apka ye kalam tarrif ke kabil

khuda hafiz

mujhe khushii hai ke aapko ash'aar pasaNd aaye, kalaam ko qaabil-e-ga'ur samajhne ke liye shukriya qabuul kijiye

maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:29 AM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Maikash saheb,...

Bahoot hi sunder andaaz se Maikash saheb aapne apni ghazal pesh kiye...aapke kehne ka andaz hamein bahoot pasand aya.....

kyoN tamaasha sa banaaya jaaye
dard dil meiN hi chhupaaya jaaye

aaj yaaroN ke beech baithe haiN
mas'alaa dil ka uthaaya jaaye

Bahoot khoob janaab...ik-ik lafz beher ko sunder bana rahi hai....Daad kabool keejiye janaab....Harash

aapki daad sar-aaNkhoN par Harash saahab,aap khud ek bohat achche shayar haiN aur aapse daad ke saath-saath taNqiid-o-tabadlaa-e-khayaal ki bhi tavvaqo hai , ummiid hai aap kabhi kabhi waqt nikaal kar khaaksaar ke kalaam par taNqiidi nigaah bhi daaleNge

bohat shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:32 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
maikash ji namaskar........!

aaj aapne dil kush kar diya, etne sarrey sher ek saath kah kar.

haal-e-dil aap ko sunaanaa thaa
she'r kahnaa to ik bahaanaa thaa

bilkul sahi kaha aapne, sacchi main to takreeban aapne dil ki baat jo kisi se nahi kah pati woh sher mai.n kah deti hu, dil halka ho jata hai.

bedilii se tishnagii tadpaa rahi hai aaj kal
hadd se ziyada yaad unki aa rahi hai aaj kal

aisa hi kuch haal-e-dil edhar bhi hai.................!

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

bahut khoob........!

bahut padsand aaye aapke yeh post umeed hai app jaldi hi yeh sarri gazals puri kar lenygey. aur hum tak pahunchangey.

yu hi likhtey rahiye.

aapki dost
Sunita jee

Sat Sri Akaal

aji aap jaise dostoN ki khushi meiN hi meri khushi hai, aapko ash'aar pasaNd aaye to samajhiye meri mehnat zaaya na gayii

koshish karuuNga ke koi na koi Ghazal muqammal ho jaaye aur phir zaruur post karuuNga

aapki zarra-nawaazi ka shukurguzaar huuN

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 07:47 AM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
Kya kahe Maikash sahab... padh ke dang rah jane ke siva kuch nahi kar sakta.... SubhanAllah.... ek se ek badh kar .. ek se ek jabar dast .... Par aaj mein ek jabar dast gustaaki kar raha hu ... mujhe aapke in tukdoi mein hur ek bahut pasand aaya... par ek sher mujhe thoda sa nakaam laga...

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

kaaran ye hai ki ... uper wala sher (humko to rahbar....) ki khubsurati itni jyada hai ki ... ye us pravaah mein kuch fikha lag jata hai .... jo sundarta aur sanjidagi ... uper wale mein hai .. na jane kyo ismen nahi hai .....

Khata ke liye maafi chahta hu ... par aapko mein us najar se padhta hu .. jaise kisi naami shayar ko padhta hu .... to masla ye hai ki jab kisi hasti ko padha jaye ... to najar mein badlaav aa jata hai ... agar ye sher mein apni kalam se niakalta to shayad mujhe bahut pasand aata .... apni apni hudein hai... meri hud tak ye mukammal hai ... aapko nahi ....
Iske alaava hur sher dil ko chuu jata hai .... dil-o-dimag ka taraajoo.. bilkul barabar hai....
Dheeraj saahab, bhai aapne khush kar diya, rasmii waah waah se haT kar aapne apna tabsira ataa kiya aur miyaaN isey Ghalati aur gustaakhi to harGhiz mat kahiye,taalib-e-ilm huuN aur mere liye tabadlaa-e-khayaal aur behas bohat mayine rakhte haiN kyoNke aise meiN bohat kuch seekhne ko milta hai

mujhe afsos hai ke aapko ye sh'er pasaNd nahiiN aaya,wajah shaayad maiN jaanta huuN.....aapko shayad lafz-e-"daftar" ne is she'r ke mayyar par unglii uThaane ke liye majbuur kiya, ye apne apne takkhayul ki baat hai saahab, urdu shayri meiN pichhle kluch arsey se aise kayi lafzoN ka istemaal hua hai jo rasmii shayri se zara alag haiN... jaise ki cigerrette,daftar,telephone waghera.....naye sun'ne waaloN ko ye ajeeb lagta hai lekin yaqeen kijiye lafz sahi lehje meiN bartaa jaaye to uska lutf do'baalaa ho jaata hai

hamaare yahaaN paas meiN hi ek bohat ache buzurg shayar rehte haiN mujhe unko milne ka ittefaaq kuch hafte pehle hi hua, kuch roz pehle maine unko kuch GhazleN aur kuch ash'aar sunaaye to yaqeen kijiye unhone sabse zyadaa isi she'r pe meri peeth thapthapaayi........lekin is ka matlab ye nahiiN ke aap ko bhi ye she'r utna hi purasar lage jitna unko lagaa ya jitna mujhe iss se lagaav hai.......

agar aap mujhe tafseel se bataate ke aapko kaun si baat is she'r meiN zyada khaTkii to shaayad maiN bhi aapko tafseel se wajaahat kar paata

baaqi ash'aar ke liye aapne jo daad ataa farmaayi uske liye mera purkhuluus shukriya qabuul kijiye aur ummiid hai ke aap aage bhi mujhe raasta dikaahte raheNge aur maiN apni taraf se puuri koshish karuuNga ke aapki ummiidoN pe kharaa utar paauN

bohat shukriya

maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
18th October 2006, 08:50 AM

Janab Maikash Sahab...... Sat Sri Akal......

Maan ki aapke likhe kaafi sher, ghazalein....bahut pasand aayin....magar ek sher aisa hai jo maine kayi baar mehfilon mein sunaya hai.... aur kaafi shaqs bhi jaante hain...khaaskar Meena didi aur Pulkit...... ki vo sher humesha mujhe har qalaam se accha laga.............

Chand saanse'iN hain uda le jaayegi......
is.se jayada maut aur kya le jaayegi.......

Rabb raakha...........

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
18th October 2006, 09:23 AM

Maikash shahab..........

Aapke signature ke sher ki hi baat kar raha hoon........ aur is baare mein meri aapse pehle baat nahi hui hai................ aur aapne naam galat likh diya hai....

Mera naam Aman hai............

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI

Last edited by maikasH; 18th October 2006 at 09:55 AM..
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
18th October 2006, 09:41 AM

oh......... Janab Maikash sahab.....

aap galat samjhe....... maine humesha aapka naam lekar hi is sher ka istemaal kiya hai........

main to bus yeh kehna chahta tha ki mujhe ye sher sabse aacha lagta hai.... chaahe aaj taq maine jitni bhi ghazlein padi hain......

aur ek misra jo mujhe humesha aacha laga vo hai Khan Banjara ji ka likha....

"aise baitha tha meri mayiaat se duur koi shaqs
jaise kehta ho mera tumpe koi lamha udhaar tha.."

aapke signature kar sher aur Khan bhai ka likha sher mujhe har qlaam se jayada pasand aaya........ aur main yahi kehna chahta tha.......

Muafi chahonga agar aapko dukh pahunchaya ho to....

Aapka apna.............

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#21)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 09:55 AM

Quote:
Originally Posted by Aman_rahi View Post
oh......... Janab Maikash sahab.....

aap galat samjhe....... maine humesha aapka naam lekar hi is sher ka istemaal kiya hai........

main to bus yeh kehna chahta tha ki mujhe ye sher sabse aacha lagta hai.... chaahe aaj taq maine jitni bhi ghazlein padi hain......

aur ek misra jo mujhe humesha aacha laga vo hai Khan Banjara ji ka likha....

"aise baitha tha meri mayiaat se duur koi shaqs
jaise kehta ho mera tumpe koi lamha udhaar tha.."

aapke signature kar sher aur Khan bhai ka likha sher mujhe har qlaam se jayada pasand aaya........ aur main yahi kehna chahta tha.......

Muafi chahonga agar aapko dukh pahunchaya ho to....

Aapka apna.............
bhai maiN behadd sharmiNdaa huuN ke maine aapko mayank saahab samjha ....dil se muaafi maaNg raha huuN........darasal unse meri is baabat baat hui thi aur unka userID bhi aapse milta julta hai, aap donoN se baat karte hue mujhe iska behadd khayaal rakhna padta hai,

ba-sad-mazrat salaam qabuul kijiye

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#22)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th October 2006, 10:07 AM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
janaab sandhu saab thanu rajveer de pyaar bhari sat sri akaal ji....main kadde kadde soachda hunda c ki aakhir ki oh kihre gal hai jo sanu sab to alag banondi hai...ajj thuadee post parh ke mere sare bharm door ho gaye....oh ne sade khyalaat te unha nu byaan karan ka tareeka....thuadee post parhi bhut gaur naal parhi...kai daffa parhi....hor patta nahi kini daffa parahnga...sacchi bhut umda gazal te bhut dilkash share kahe ne tusee...thuadee gazal da makta te janaab bass lajawaab hai....

ham ne tabh bhii wafaayeiN kii "maikash"
bewafaaoN kaa jab zamaanaa thaa

besakhta he muh vicho wah wah nikal janda hai parh ke.....jini daffa v parda haan ik daffa hor paran de chhahat paida ho jandee hai.....bhut khub meri dilo daad kabool karna janaab....thuade naal phone te gal karna v bhut acha lagga...

khud ko byaa karna kahan sabhi ko aata hai,
yeh hunnar to bass 'maikash' appko aata hai....

dil to hum bhee rakhte hai seene main magar,
dharkan ki manind dharkna to appko aata hai.....

yeh koshish appke naam .......rab rakha.......rajveer.......

vadde veer SSA

tuhada khat padh ke badi khushi hui, eh meri khushkismatii hai ke tusi mainu kise laayaq samajhde hoN, maiN apne walloN puuri koshish kardaaN haaN ke Ghazal da mayyar na diggey, ek Ghazal likkhan nu kayi hafte lag jaande ne par jadoN tuhade jehe qadrdaanaaN de eho jehe pyaar bhare khat milde han ta bada sakoon milda hai, enj jaapda hai ke jehdi mehnat keeti si oh kaodiiyaaN de bhaa nai gayi

tuhaadiyaaN mohabbataaN da shukurguzaar haaN

fateh
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 18th October 2006 at 10:11 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#23)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
18th October 2006, 10:53 AM

voh khushnaseeb hai jisey tera pataa milaa
humko to raahbar milaa na raasta milaa

dekha hai jisne bhi mera seena TaTol kar
pehlu meiN dil ke dard ka daftar khulaa milaa

Shukriya Maikash sahab .... !!!! apne meri nabj pakad li .... bilkul bajah farma rahe hai ... aaj Urdu poetry 2 hisso mein banti hai .. ek taraf we shayar mohtaram hai jo ek RASMI shaili, jo sadiyon se chalti aayi hai ,se jude hue hai .... aur dusre wo jo is shaili mien kuch kranti lana chahte hai aur jo bhasha ki ek rupta ko chhod ke ... jo naturality hai ... jise hum hindi ,Urdu aur kuch angreji shabdo ka mixture kahte hai ,ka istamaal karte hai ... jaise ki janab Bashir Badar sahab... yakinan dono hi shailiyan mujhe ajij hai .....

yaha bat kuch yun hui ..ki ye jo do sher apne kahe hai ... ek hi gazal k do hath ban sakte hai ....... aur jo pehla sher tha wo Rasmi shaili ko follow kar raha hai .... aur jo dusra sher hai wo naye doraah ki shaili ko follow karta hai ..... to yahi par mujhe pravaah samajh nahi aaya........

haalan ki bahut kam hi jan pata hu ... par aapse isi bahane kuch sikh lu .. to fayda mera hi hai !! ... aur yakinan ye do sher mein kahta ..to mujhe ye bahut pasand aate.....kyoki ... meine us aasma ko nahi chhua abhi tak .. jaha aapka sihaasan hai .....

Shukriya... Aur diwali ki mubarak baad .... shayad ab diwali k bad hi aana ho !!!
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#24)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
18th October 2006, 11:23 AM

Aur haan ... Shukriya hai aapka jo meri najm pe aaye ..(Log Poochte hai... )
!!!! bahut acha laga bade miyan..... haan shabd badi hi paini najar se pakde hai ...socha phir aapko mashrufiyat gher le aur waha aana na ho ... to yahi reply kiye deta hu ...
Be-paak to bilkul hi galat hai ..... meine ye post daal diya uske baad hi mujhe ahsaas ho chala tha... aur edit session bhi xpire ho chuka tha.to phir se ise correct nahi kar saka... maafi chahta hun... khair I admit the mistake... and thx a lot for pointing out.....

Acha ye jo dusra shabd hai takallufi .... mere khayal se ye thik baithta hai .... shayad grammatical tarike se galata bhi ho, mujhe ilm nahi ... par ye mere padhne mein kai baar aaya hai ....
Abhi misaal k taur pe to Ahmad Faraj Sahab ki ek Najm hi yaad aa rahi hai ...jo mere paas unke collection mein padi hai ...
to najm ka wo tukda kuch yun hai !!!

na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

online bhi khoja to ye do link mile hai .... padhiye jara.... bahut hi pyari najm hai .... maja aayega aapko ....

http://www.hallagulla.com/urdu/ahmed...hai-96017.html
http://manishkmr.blogspot.com/2006/0...ali-si-ek.html

Aur shukriya sahab ki ..... ki kuch aisa kiya hai ... dil khush ho gaya..... aate rahe aur dost ko sudharte bhi rahe ... sikhate bhi rahe......
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ash'aar maikasH Shayri-e-Dard 3 7th May 2007 01:08 PM
do ash'aar.... maikasH Shayri-e-Dard 17 17th January 2007 06:21 AM
Jigar Moradabadi ke chand ash'aar Daanish_ Hyd Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 15th January 2006 03:40 AM
tanha si ho gayi hoon mein sab kuch hote hue ruhani Shayri-e-Dard 21 24th February 2005 09:24 AM
Kuch is tarah tanha kat raha hai yeh safar mitushi Aapki Shayri 1 3rd April 2004 02:20 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com