Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dil Ki Kalam Se
Old
  (#1)
SANDEEP VERMA
Registered User
SANDEEP VERMA is on a distinguished road
 
SANDEEP VERMA's Avatar
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Oct 2006
Rep Power: 0
Dil Ki Kalam Se - 6th October 2006, 04:06 PM

NIGHT IS LONGER THAN "DAY" FOR THOSE WHO "DREAMS"
& DAY IS LONGER THAN "NIGHT" FOR THOSE WHO MAKE THEIR
"DREAMS" MAKES TRUE.............

I WISH U A LONGER DAY FOR ALL OF MY FRIENDS


HELLO FRIENDS,

MY NAME IS SANDEEP,
SANDEEP VERMA FROM PANIPAT ( HARYANA )

DOSTON MAINE APNI IS CHOTI SE UMAR ME BAHUT KUCH SIKHA HAI OR BAHUT SE YAAR- DOST BHI BANAYE HAI. MERI AADAT HAI DOST BANNE KI. MUJHSE JO BHI "BANDA" APNE DIL KI BAAT SHAYER KARTA YA PHIR JISSE MAIN APNI BAAT SHAYER KARTA, WO "BANDA" MERE LIYE BADA HI AJEEJ HO JATA. MAIN USKI HAR TARAH KI HELP KARNE KI KOSHISH KARTA.

PAR JAB US BANDE KA KAAM NIKLE JAATA TO WO MUJHSE DOOR JAANE KI KOSHISH KARTA. LEKIN MAIN USKO ROKNE KI BHARPUR KOSHISH KARTA. PAR HAATH KUCH BHI NAHI LAGA. YE SITUTION MERE SAAMNE KAI BAAR AAYI. OR MAIN HAR BAAR YAHI GALTI KARTA.

EK DIN MUJHE MERA EK "AJEEJ DOST" MILA. USNE BATAYA KE TUJHE APNI YAARI NIBHANI HAI TO US " GOD" SE NIBHA, JO KI SABKA FRIEND HAI, US KHUDA SE DOSTI KAR JO BINA KISI MATLAB KE TERE SE DOSTI KAREGA, TERI HAR MUSHKIL KO AASAN KAREGA, TUJE NEK RAAH PAR LE JAAIGA, DOSTI KARNI HAI TO US BHAGWAN SE KAR JO SAB-KUCH JANTA HAI, JO TUJE TERI MUSHKILON ME HELP KAREGA. BAKI DOST TO MATLABI HOTE HAIN, JAHAN APNA MATLAB NIKLA PAKAD LI PATLE GALE. ISLIYE A- MERE PYARE DOST TU USKI SARAN ME JA OR BOLO, " HELLO FRIENDS " WO AAPKA DOST BANKAR BINA KISI MATLAB KE TUMHARA SAATH DEGA.

MAINE USI PAL SE "GOD" KO APNA FRIEND, GIRLFRIEND, OR SACHA SAATHI BANA LIYA. OR AAP MANO YA NA MANO K USI PAL SE MERI DUNIA HI BADAL GAI. MUJE KISI KE BHI JAANE KA KOI GILA NAHI HOTA. KYONKI "BABA JI" MERE SAATH HAIN, HARPAL MERE PAAS HAIN, OR YAKIN NA AAYE TO " GOD KO APNA FRIEND BANAKAR, USSE BATEN KAR K USE MAHSOOS KARNE KARO. BABA JI AAPKI SAHAYATA JAROOR KARENHE...........


GOD BLASE YOU MY DEAR FRIENDS.............
  Send a message via Yahoo to SANDEEP VERMA  
Reply With Quote
Old
  (#2)
veryog
Registered User
veryog will become famous soon enoughveryog will become famous soon enough
 
veryog's Avatar
 
Offline
Posts: 81
Join Date: May 2006
Location: Faridabad
Rep Power: 19
6th October 2006, 05:29 PM

heyyyy sandeep

Impressive yaar

tumne bahot accha kaha hai

per tumse ek baat kahna chahunga har dost eksa nahi hota. nahi bhagwaan sab ke liye eksa hota hai..

maine bhagwan se bhi dosti ki thi per usmain bhi main akela hee raha. ho sakta hai shayad jaise tum ho vaisa tumhe koi dost hee nahi mila eysa mere saath bhi hua hai yaar

jaruri to nahi jo tum chahte ho vo tumhe tumhare dosto se mile per dosto banate raho dost

dosto ke bina Zindgi hee nahi hai aur jab Zindgi nahi to Bhagwaan bhi nahi hai.......


anyway agar kuch bura laga ho to sorrry

Zindgi rahi to fir milenge

but keep smiling my frnd

--------yogi-------------


~~~~~~Yogi~~~~~

"Vo shaam bhi intzaar ki thi
Ye shaam bhi intzaar ki hai
aaj bhi akela hu main
bas ek nazar tere pyaar ki hai"


.............veryog..........
  Send a message via Yahoo to veryog  
Reply With Quote
DIL KI KALAM SE
Old
  (#3)
SANDEEP VERMA
Registered User
SANDEEP VERMA is on a distinguished road
 
SANDEEP VERMA's Avatar
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Oct 2006
Rep Power: 0
DIL KI KALAM SE - 6th October 2006, 06:08 PM

HI VERYOG.......

BURA MAT MAANNA PAR SHAYAD AAPNE DIL SE "GOD" KO NAHI JANA. JIS TARAH SE HUM APNE DOST CHUNNE KE LIYE KAI TARAH KI PARIKSHAW LATE HAI. OR PHIR DESIDE KARTE HAI K WO BANDA HAMARI DOSTI K KABIL HAI BHI YA NAHI. THIK ISI TARAH SE " GOD" BHI APNA DOST BANNE K LIYE KAI TARAH KI PARIKSHAW LATE HAIN. UNKI IS BAAT KO MERE ANDAJ SE SAMJO..


IF GOD ANSWERS UR PRAYERS," HE IS INCREASING UR FAITH."

IF HE DELAYS," HE IS INCREASING UR PATIENCE."

IF HE DOESN'T ANSWERS," HE KNOWS U CAN HANDLE............"


OR RAHI BAAT "KHUDA" KI TO WO TO SABKE SAATH EK JAISA HI REACT KARTA HAI. BUS DAKHNE KA APNA- APNA NAJRIA HOTA HAI.
WO JO BHI KARTA HAI, ACHHE K LIYE KARTA HAI, SHAYAD ISME BHI TUMHARI KOI BHALAYE HO, JO TUMHE SHAYAD NAJAR NAHI AA RAHI. ISLIYE E- MERE PYARE SE DOST US "KHUDA" PAR APNA VISHWASH BANA KAR RAKHO, USE DAILY K DAILY APNE SAARE DIN KI BAATEN BATAO. JO TUMHRE SAATH ACHHA HUA H, USKE LIYE USKO "THANK U " BOLO OR JO TUMNE GALAT KIYA, USKE LIYE USKO "SORRY" BOLO. OR PHIR SE RASTA NA BHATAKNE KA AASHIRWAD MANGON. DEKHNA BAS KUCH HI DINO ME TUMHRE SAARE SHIKWE- GILLE KIS TARAH SE DOOR HOTE HAIN.

BUS BAAT HAI "VISHVAS" KI

GOOD LUCK.............


JO AANSU NA HOTE AANKHON ME,
TO AANKHEN ITNI KHOOBSURAT NA HOTI.......

JO DARD NA HOTA DIL MEIN TO,
KHUSHI KI KEEMAT PATA HI NA HOTI......

JO BEWAFAI NA KI HOTI "WAQT" NE,
TO WAFA KI KABHI CHAHAT HI NA HOTI.....

AGAR MAANGNE SE PURI HO JAATI HAR DUA,
TO US " KHUDA" KI KABHI CHAHAT HI NA HOTI..............


KUCH SAMJHE MY FRIEND........

PHIR BHI AGAR TUMHE KOI DIKKAT AAYE TO TUM MUJE MAIL KAR SAKTE HO YA PHONE KAR SAKTE HO. MY MOBILE NO. IS 9812687495.....

GOOD LUCK MY DEAR FRIEND.........
GOD BLESS U.........
  Send a message via Yahoo to SANDEEP VERMA  
Reply With Quote
Old
  (#4)
veryog
Registered User
veryog will become famous soon enoughveryog will become famous soon enough
 
veryog's Avatar
 
Offline
Posts: 81
Join Date: May 2006
Location: Faridabad
Rep Power: 19
7th October 2006, 02:01 PM

hello sadeep

tumne jo bhi kaha kaafi had tak sahi laga

i know god is every thing for our life but main god ko bahot acchi tarah jaanta hu. mera god se aaj ka nahi 9 yrs purana rista hai..

ek time tha jab main morning aur evening dono time temple jaata tha.. sochta tha shayad kabhi na kabhi jo main chahunga mujhe milega...per jab mera har kaam main dil toota gaya to maine use yaad karna hi chood diya. main jaanta hu ho sakta hai shayad mera exam le raha ho per yaar exam ki bhi ek limit hoti hai.. Socho 9 Yrs...........bas ab jo nahi hai uske liye bhi khush hu aur jo hai uske liye bhi khus hu...

per tumhe agar lagta hai ke god can be ur best frnd then keep continue wid him..

but maine use alvida kah diya hai..


but on an average ur right my frnd so keep continue ur frndship wid ur GOD..

But Remember

A good frnd can be The GOD but God can't be a Good Frnd.............

bye and Keep singing the Song of Love and live the every second of life

bye


~~~~~~Yogi~~~~~

"Vo shaam bhi intzaar ki thi
Ye shaam bhi intzaar ki hai
aaj bhi akela hu main
bas ek nazar tere pyaar ki hai"


.............veryog..........
  Send a message via Yahoo to veryog  
Reply With Quote
Old
  (#5)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
7th October 2006, 03:18 PM

dear friend sandeep and yogi......

maine tum dono ki bate.n padi.n...... accha laga ek ki aastha or ek ki faa.ns padkar.......... dosto dono hi god ko apne apne nazariye se dekha hai... ek dost bankar us uper wale per viswas karta hai to doosra us god se koi rista hi nahi rakhta........ god se mera bhi ek rishta hai dosto.n aur wo rishta hai mere viswas ka......... mera manna hai ki bhagwan kabhi kisi ke sath koi bura nahi karta..... wo kuch bura kar hi nahi sakta......... wo apne banaye bando ke sath bura kar bhi kaise sakta hai... kai bar maine is pahloo per bade gour se socha hai.... aur maine paya her baar ki nahi mere sath jo hua hai shayad usse bhibura ho sakta tha agar god mere sath na hota..... aur fir us kshad mera viswas us khuda, god, ya bhagwan jo bhi kaho aur bad jata hai..... main jab bhi kisi problem main fansa hoo.n maine apni problem ko us uper wale per chod diya aur jab jab maine apne aap ko uske supudra kiya maine paya meri us samasya ka hal badi aasani se us uper wale ne nikal dilya.......... aur meri problem ka solution bhi esa nikla jisse better ho hi nahi sakata tha.............. ye mera viswas hai......
dear yogi uper wale per viswas rakho kabhi wo kisi ka bura nahi karta mere yaar........ wo to hame kai bar samjatha hai signal bhi deta hai hum hi nasamajh hote hain jo uske singnals ko samajh nahi pate.........kabhi jab tumhare sath kuch bura ho to jara sa soch ke dekho uuse bhi bura kuch ho sakta tha ya nahi...........
her baar tum us parmatma ko dhanyabad sene se khud ko rok nahi paoge..........................

wanki jo kaha mera apna anubhav hai.......bura laga ho to muaaf karna.........
apna khyal rakhana dosto

aap dono ka dost
dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#6)
moon
Guest
 
Posts: n/a
7th October 2006, 05:53 PM

main dilip ki baton se ittefaq kerti hoon jo in ka manna hai main bhi aesay hi yaqeen rakhti hoon khuda per mujhay yaqeen hai k jo hota hai sab achay k liye hota hai aur ye aazmaye hoi baat hai ke hum jab pareshan hon ya humain koi raasta sujhaye na de raha ho hum khuda per her faisla chorr den to itna sukoon milta hai aur us problem ka hal bhi khuda khood batata hai mujhay yaqeen hai ke aik din veryog ji aap ko khud yaqeen ho jaye ga is baat per rahi no saal se azmaish ki baat to aik baat jo main maanti hoon apnay mazhab k lihaz se woh ye hai k azmaish khuda utni hi leta hai jitni insaan main berdasht ho aur us azmaish ka nateeja buhut acha nikalta hai m sure inshallah do saalon main aap ki azmaish bhi khatam hogi aur aap ko itna acha sila milay ga ke aap khud khuda per yaqen kerain gay
   
Reply With Quote
Dil Ki Kalam Se
Old
  (#7)
SANDEEP VERMA
Registered User
SANDEEP VERMA is on a distinguished road
 
SANDEEP VERMA's Avatar
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Oct 2006
Rep Power: 0
Dil Ki Kalam Se - 12th October 2006, 06:57 PM

Hi Yogi,
Tumhari Shayri Padi, Bahut Hi Achi Hai, Par Is Shayri Me Ek Payar Ka Dard Hai.main Us Dard Ki Wajah Janna Chata Hun,
Or Saath Me Mere 3 Swalon Ke Jawab Bhi....

1. What Is Life?
2. What Is Love?
3. What Is Friendship?


Or Jo Bhi Hamara Payara Sa Dost Mere In Sawalon Ko Pade, Plz.... Mere In Sawalon K Jawab Jaroor De.....
  Send a message via Yahoo to SANDEEP VERMA  
Reply With Quote
Old
  (#8)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
12th October 2006, 07:18 PM

khuda ko dost bana lun magar yeh darr hai
masroof khudaon ko kab muflison ki fiqar hai

tanha raahon mein akele hi chalna acha hai
kaarwan mein chalne wale khate thokar hai

umeed hi na rakho wafa nibhane ki tum..
milna-bichadna to insaan ka muqaddar hai

-MANOJ KUREEL


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Veer
Registered User
Veer is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 0
20th December 2006, 02:08 PM

yaar this is nothing new to me. itne saalon se yeh hi to dekhta aa raha hoon ke log matlabi hote hain. kaam niklne ke baad tu kaun aur main kaun karne lagte hain. hate them all, jinki itni ghatiya soch hai.

tc
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dil Ki Kalam Se SANDEEP VERMA Shayri-e-Dard 2 6th October 2006 05:03 PM
Dil Ki Kalam Se SANDEEP VERMA Shayri-e-Dard 0 6th October 2006 04:14 PM
kalam! gulabjamun_4_u Shayri-e-Ishq 0 4th January 2005 11:57 AM
Kalam !!!!! Monal Shayri-e-Ishq 0 19th October 2004 09:56 PM
Kalam nutkhut Shayri-e-Dard 1 14th August 2004 08:12 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com