Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai....Ghazal
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai....Ghazal - 18th October 2006, 10:33 AM

aadaab yaaraan-e-mehfil

ek mukhtsar si Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN

mula'iiza kijiye :



jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai
aaNsuuyoN ka kaafilaa daaman bahaa le jaaye hai



badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
maut bhi mujhko gale'y milne se ab qatraaye hai



baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

baadal-e-deeda-e-tar = bheegi aaNkhoN ka baadal



viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

viiraani-e-lamhaat = khaalipan , sababb = reason, kaaran



ab chalo "maikash", tumhaare saamne dekho, *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

kazaa = maut



apni ta'suuraat se zaruur nawaazeiN


shukriya
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 23rd October 2006 at 08:43 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 18th October 2006, 11:03 AM

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai

janaab sandhu saab ....appki gazal ki kaise tareef karu ...lafaz bewafa huye jate hai,sab yahi kehte haI ki hum me wo taseer nahi jo hum aftaab ko diya dikha sake.....yeh do share to bass puchiye mat....kai daffa parh chukka hoon....nazar ki or rouh ki tisnagi barti hee ja rahi hai.....bhut umda likhte ho app....khuda appki kalam ko or taqat atta kare.....rab rakha......raj.....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th October 2006, 11:03 AM

Maikash Sahib...

Aaj arse baad yahan aana hua...aur aapki ghazal padh kar jo lutf mila...use bayaan karna mushqil hai...iss kalaam ko tau dil thaam ke hi padhna padhega...yeh jo aapne aansuon ke kaafile ka zikr kiya hai...aur phir usme daaman ke beh jaane ki tasveer kheinchi hai...wo nazzron ko ek ajeeb sa dard, phir sukoon deti si nazar aayee...

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

ab iss sher kee tau kya tareef ho...bus dil ke qareeb, bahut qareeb aakar ruk jaata hai...jaise zehen mein jo aah uthati hai...wo gale se neeche hi nahin utarti...shayad meri uutpataang baatein aapko bewajah lag rahi hon...magar sach tau yeh hai...ki jaise mere hi ehsaason ko kisi ne ek khuubsurat kalaam ke zariye pesh kar diya ho...bahut bahut shukriya janaab...yoonhi iss bazm ko nawaazte rahiye...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
18th October 2006, 11:34 AM


baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai


Kayamat ho gayi ...... jahan mein din bhar gunjhta rahenge ye teen sher.... Subhan Allah!!!!!!!!!!
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#5)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
18th October 2006, 12:17 PM

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

WAH...!! BAHOOT SUNDER..."DARD" PAR "WAH"...!!!


zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai


baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

BAHOOT KHOOD SIR..!!


ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

UFF....!....KYA BAAT HAI...!!!

MAIKASH BHAI SAHEB
NAMASHKAR
aapko padhna hamesha hi seene mein tufaan macha jata hai...!! padhne wala dil kisi katre ki tarah kho jata hai aapki daria-e-gazal ki rawani mein..aap ek manjhe hue san_tarash hai jo apni kalam ki chenni se jazbaaton ke pathar ko taraash kar khubsurat gazal ka roop dete hai...!!
meri mubaaraqbaad aur daad aapke kadmon mein haazir hai...!!
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
18th October 2006, 12:28 PM

dost maikash ji

yaar aapki ye gazal ne dard bhara var kiya is dil pe

sach me bahot hi behtarin se aasaar ke sathaapne is gazal ko dil se pesh kiya hai
aapko is gazal ke liye tahe dil se main daad deta hu
bas aap uhi likhte jaye aapki peshkas se is mehfil ki raunak aur badh jati hai k

khus rahiye mere dost

jai shree krishna

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
18th October 2006, 03:21 PM

wah sir ji bahot khoob.....dard ko kya sundar lafzon se navaza hai........bahot khuub.......

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

ye do sher bahot pyare hai...........bahot pasand aye ye sher.............dard to saaf jhalkta hai apke kalaam me..........kuch aur nahi kahungi.....bass meri daad kabuull kar lijiyega. nahi ki to..........hmmmmmm

grazie

aapki dost
pooja


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
18th October 2006, 03:37 PM

jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai
aaNsuuyoN ka kaafilaa daaman bahaa le jaaye hai

***aksar anshoo hamein gum se nizat dilate hai.dil halka ho jata hai.***



badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

****wah kya baat hai, bahut khub****



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai

***apne bahut hi dil ko chone wali baat kah di yahn.maut ka intzaar ????***



baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

***badal barsata hai tabhi to ek sunhari kiran milti hai dekhni ko.***



viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

***ye samjhna samjhana kabhi khatam nahi hota hai janaw.****



ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

***ab ye baat to hamein abhi nahi lagi apki. sher acha hai but apka agar dil se nikla sher hai to apke dil ki khawahish ko badal do. ham dost hai yahn sab jine ke liye.****

bahut khub likha hai apne again.
yuhi achi gazal hamein padate rahiye.
sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
23rd October 2006, 09:29 AM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai

janaab sandhu saab ....appki gazal ki kaise tareef karu ...lafaz bewafa huye jate hai,sab yahi kehte haI ki hum me wo taseer nahi jo hum aftaab ko diya dikha sake.....yeh do share to bass puchiye mat....kai daffa parh chukka hoon....nazar ki or rouh ki tisnagi barti hee ja rahi hai.....bhut umda likhte ho app....khuda appki kalam ko or taqat atta kare.....rab rakha......raj.....
bhai rajveer saahab aap "zarre'y" ko aaftaab keh rahe haiN aur mujhe sharmiNdaa kar rahe haiN, yeh aapki dariyaa'dilii hai jo voh maqaam ataa kar rahe haiN jiske qaabil maiN nahiiN huuN

aapne jo ash'aar pasaNd farmaaye uske liye bohat shukriya, ummiid hai aap aage bhi aise hi hausla badhaate raheNge


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#10)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
23rd October 2006, 09:37 AM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Maikash Sahib...

Aaj arse baad yahan aana hua...aur aapki ghazal padh kar jo lutf mila...use bayaan karna mushqil hai...iss kalaam ko tau dil thaam ke hi padhna padhega...yeh jo aapne aansuon ke kaafile ka zikr kiya hai...aur phir usme daaman ke beh jaane ki tasveer kheinchi hai...wo nazzron ko ek ajeeb sa dard, phir sukoon deti si nazar aayee...

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

ab iss sher kee tau kya tareef ho...bus dil ke qareeb, bahut qareeb aakar ruk jaata hai...jaise zehen mein jo aah uthati hai...wo gale se neeche hi nahin utarti...shayad meri uutpataang baatein aapko bewajah lag rahi hon...magar sach tau yeh hai...ki jaise mere hi ehsaason ko kisi ne ek khuubsurat kalaam ke zariye pesh kar diya ho...bahut bahut shukriya janaab...yoonhi iss bazm ko nawaazte rahiye...


aadaab aur namaste paras jee

aapne jis aNdaaz se Ghazal ki pazi'raii ki hai, mujhe behadd sukuun milaa ke mehnat zaaya na gayii, bohat shukriya


aapke tabsire ke jawaab meiN ek she'r haazir hai :

aalam-e-badhavaasi meiN
jaane kya kar gaye hote
gar na hote kaGhaz-o-qalam
to hum log mar gaye hote


lijiye aapki ba'daulat ek aur she'r ho gaya, koshish karuuNga Ghazal ho jaaye


aapka tah-e-dil se shukurguzaar huuN

aati rahaa kareiN


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
23rd October 2006, 09:39 AM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post

baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai


Kayamat ho gayi ...... jahan mein din bhar gunjhta rahenge ye teen sher.... Subhan Allah!!!!!!!!!!


chaliye miyaaN hamari tukbaNdii aapke kisi kaam to aayi


shukriya
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th October 2006, 06:14 AM

Quote:
Originally Posted by manoj kureel View Post
badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

WAH...!! BAHOOT SUNDER..."DARD" PAR "WAH"...!!!


zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai


baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

BAHOOT KHOOD SIR..!!


ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

UFF....!....KYA BAAT HAI...!!!

MAIKASH BHAI SAHEB
NAMASHKAR
aapko padhna hamesha hi seene mein tufaan macha jata hai...!! padhne wala dil kisi katre ki tarah kho jata hai aapki daria-e-gazal ki rawani mein..aap ek manjhe hue san_tarash hai jo apni kalam ki chenni se jazbaaton ke pathar ko taraash kar khubsurat gazal ka roop dete hai...!!
meri mubaaraqbaad aur daad aapke kadmon mein haazir hai...!!
-MANOJ


Manoj saahab, namaste....bhai aapne jis aNdaaz meiN Ghazal ki paziiraii ki hai mujhe "shukriya" jaise lafz istemaal karte hue badii sharmiNdagii ho rahi hai.......aapki muravvat karz hai mujh par, khaadim ka vohi mashoor-e-zamaana "shukriya" tp kam-az-kam Tikaa hi lijiye




maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th October 2006, 06:22 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
dost maikash ji

yaar aapki ye gazal ne dard bhara var kiya is dil pe

sach me bahot hi behtarin se aasaar ke sathaapne is gazal ko dil se pesh kiya hai
aapko is gazal ke liye tahe dil se main daad deta hu
bas aap uhi likhte jaye aapki peshkas se is mehfil ki raunak aur badh jati hai k

khus rahiye mere dost

jai shree krishna

aapka dost
dhaval


aapki daad sar-maaThe miyaaN....bohat shukriya


aapke lafz "raunak" se mujhe apna ek she'r yaad aaya, mula'iiza kijiye :


voh gaya to saath saari raunakeiN bhi le gayaa
ab to maiN huuN aur hai meri Ghazal ki talKhiyaaN



mashkoor-o-mamnoon huuN miyaaN aapka


maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th October 2006, 06:26 AM

Quote:
Originally Posted by pooja4588 View Post
wah sir ji bahot khoob.....dard ko kya sundar lafzon se navaza hai........bahot khuub.......

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

ye do sher bahot pyare hai...........bahot pasand aye ye sher.............dard to saaf jhalkta hai apke kalaam me..........kuch aur nahi kahungi.....bass meri daad kabuull kar lijiyega. nahi ki to..........hmmmmmm

grazie

aapki dost
pooja


aapki daad qabuul hai mohtarma, na lkarne ka to sawaal hi nahiiN hai !!
aapne jo do ash'aar khusuusan pasaNd farmaaye uske liye mera shukriya qabuul farmaaiye



maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th October 2006, 09:22 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab yaaraan-e-mehfil

ek mukhtsar si Ghazal mehfil ki nazar kar raha huuN

mula'iiza kijiye :



jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai
aaNsuuyoN ka kaafilaa daaman bahaa le jaaye hai



badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
maut bhi mujhko gale'y milne se ab qatraaye hai



baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

baadal-e-deeda-e-tar = bheegi aaNkhoN ka baadal



viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

viiraani-e-lamhaat = khaalipan , sababb = reason, kaaran



ab chalo "maikash", tumhaare saamne dekho, *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

kazaa = maut



apni ta'suuraat se zaruur nawaazeiN


shukriya
maikash

maikash ji namaskar...!

kaya kahu aapne to dil ki baat kah di................!

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

puri rachna kabiley tareef hai, par yeh share dil ko chu gaya........!

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

bahut khoob, yu hi likhtey rahiye.

aapki dost


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
7th November 2006, 07:01 AM

Quote:
Originally Posted by sakhi1909 View Post
jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai
aaNsuuyoN ka kaafilaa daaman bahaa le jaaye hai

***aksar anshoo hamein gum se nizat dilate hai.dil halka ho jata hai.***


zaroori nahiiN hai, kisi ka dil "nahiiN bhi" halka hota


badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

****wah kya baat hai, bahut khub****


aadaab arz hai



zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
ab gale milne se mujhko maut bhi qatraaye hai

***apne bahut hi dil ko chone wali baat kah di yahn.maut ka intzaar ????***


shukriya


baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

***badal barsata hai tabhi to ek sunhari kiran milti hai dekhni ko.***

yeh jo baadal haiN, inke barasne se "koi" kiran dekhne ko nahiiN milti, kuch dekhne ko milta hai to voh hai ashqon ki qataar, hai to afsos ki baat , lekin hai, kya kareiN !

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

***ye samjhna samjhana kabhi khatam nahi hota hai janaw.****

durust farmaaya aapne

ab chalo "maikash" tumhaare saamne dekho *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai

***ab ye baat to hamein abhi nahi lagi apki. sher acha hai but apka agar dil se nikla sher hai to apke dil ki khawahish ko badal do. ham dost hai yahn sab jine ke liye.****

aapke is bayaan par kuch nahiiN kahuNga .....


bahut khub likha hai apne again.
yuhi achi gazal hamein padate rahiye.

bohat shukriya

sakhi

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
7th November 2006, 07:04 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
maikash ji namaskar...!

kaya kahu aapne to dil ki baat kah di................!

aap kuch bhi mat kahiye, chalega

badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai

puri rachna kabiley tareef hai, par yeh share dil ko chu gaya........!

bohat shukriya

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai

bahut khoob, yu hi likhtey rahiye.

aapka huqm sar-maathe

aapki dost


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 01:55 PM

MaikaSh saahaab,

SSA

Bohat khuubsuurat Ghazal kahii hai aap ne.. aap ki Ghazal to puuri sajaawat ke saath apna jalwa dikha rahi hai..

Har Sher itne dilkaSh bayaaN kiye haiN aap ne, kii zabaan se sirf daad hi daad nikal rahi hai.. Har Sher meiN saadgii ka Khuubsuurat raNg ke saath gehre Khayaalaat ko khuub bayaaN kiya hai.


Quote:
jab Gham-e-yaaraaN tabiyat par karam farmaaye hai
aaNsuuyoN ka kaafilaa daaman bahaa le jaaye hai


Bohat Khoob!


Quote:
badh chuka hai ab Gham-e-dauraaN se ta'lluq is qadar
ro'iiye na ek din to jee bohat ghabraaye hai.

waah! kya dilkash Andaaz e bayaaN hai...

Quote:
zulm voh dhaaye haiN mujh par ziNdagii ne dosto
maut bhi mujhko gale'y milne se ab qatraaye hai

baadal-e-deeda-e-tar* ki puuchiye na kya kaheiN
jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai

viiraani-e-lamhaat* meiN unse bichadne ka *sababb
dil ko samjhaate haiN hum aur dil hameN samjhaaye hai


YeH Sher bhi bohat khoob rahe.. Har Sher dil par asar kar raha hai aur ek Khushi mehsoos ho rahi hai paRh kar...

Quote:
ab chalo "maikash", tumhaare saamne dekho, *kazaa
ban ke dulhan surkh joRey meiN khadii sharmaaye hai


YeH SHer ka pahla misra meiN ravaani ke aitbaar se kuchhh atkan si mehsoos ho rahi hai(dekho kazaa ), Aap bhi ek baar Ghaur keejiyega, ho sakta hai kii mujhe hi aisa lag raha ho.. Magar Sher ka Khayaal Khuub hai..

ek nihaayat hi dilkaSh Ghazal pe ess naacheez kii mubaarak-baad qubool keejiyegaa.. yuuN hi liKhate raheN...

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#19)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 10:11 AM

Quote:
Originally Posted by Anjana Rahi View Post
MaikaSh saahaab,

SSA

Bohat khuubsuurat Ghazal kahii hai aap ne.. aap ki Ghazal to puuri sajaawat ke saath apna jalwa dikha rahi hai..


aapka husn-e-nazar hai saahab

Har Sher itne dilkaSh bayaaN kiye haiN aap ne, kii zabaan se sirf daad hi daad nikal rahi hai.. Har Sher meiN saadgii ka Khuubsuurat raNg ke saath gehre Khayaalaat ko khuub bayaaN kiya hai.



bohat shukriya miyaaN, jaise ke maine pehle bhi aapse arz kiya hai ke aapki daad khaas maayine rakhti hai, mujhe behadd khushi hai ke aapko Ghazal pasaNd aayi



Bohat Khoob!



shukriya


waah! kya dilkash Andaaz e bayaaN hai...

inayat hai aapki miyaaN




YeH Sher bhi bohat khoob rahe.. Har Sher dil par asar kar raha hai aur ek Khushi mehsoos ho rahi hai paRh kar...


miyaaN sunaa to tha ke "zaalim zamaane waale" aaj dekh bhi liya, mere dard pe "khush" ho rahe haiN hazrat

mazaaq bar-taraf , shukurguzaar huuN aapka





[B][COLOR="Blue"]YeH SHer ka pahla misra meiN ravaani ke aitbaar se kuchhh atkan si mehsoos ho rahi hai(dekho kazaa ), Aap bhi ek baar Ghaur keejiyega, ho sakta hai kii mujhe hi aisa lag raha ho.. Magar Sher ka Khayaal Khuub hai..


ho sakta hai ke aapka shaq sahii ho, aapki sahuuliiyat ke liye arkaan de raha huuN (aNdaazan)

beh'r hai : ramal musaman mahzoof

arkaan haiN : failaatun - failaatun - failaatun - faailun

note kijiye ke aakhiri arkaan meiN "failaan" baratne ki bhi ijaazat hai aur shayad aapka aitraaz isii baat par hai, waqt mile to ga'ur farmaa lijiye, mere Ghalat hone ki guNzaayish zyada hai kyoNke maiN jo tarqeeb beh'r parakhne ke liye istemaal meiN laata huuN voh sau-fee-sadii be-ai'b nahiiN hai isiliye mujhe aapki nishaan'dehii se koii aitraaz nahiiN balke iske liye maiN aapka ehsaanmaNd yaqeenan huuN

is Ghazal meiN jis misre se maiN beh'r ke lihaaz se mut'mayin nahiiN huuN voh yeh hai :

jab barasne par aa jaaye to barastaa jaaye hai






ek nihaayat hi dilkaSh Ghazal pe ess naacheez kii mubaarak-baad qubool keejiyegaa.. yuuN hi liKhate raheN...


aapki mubarakbaad sar-aaNkhoN par saahab



Mayank

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
AashiqooN Ki Hai Tabiyat Na-saaz...!! Hassan Shayri-e-Dard 13 4th December 2010 09:55 AM
Ghazal: gham ko bechne ka hunar nahi aaya... Pradhyuman Shayri-e-Dard 13 5th June 2010 12:40 PM
dil pe jo tere Gham ki inaayat nahiiN hoti......Ghazal maikasH Shayri-e-Dard 12 7th May 2007 07:58 AM
Kuch Tabiyat Hi Mili Aisi DreamHealer Ghazal Section 0 24th December 2006 10:23 PM
tabiyat udaas hai....aik Ghazal maikasH Shayri-e-Dard 19 29th August 2004 10:07 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com