Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
"Ishq ke Adab"
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
"Ishq ke Adab" - 15th November 2009, 08:23 PM

Mehfil-e-Ishq ke haazriin ko Salaam,

YuuN to pyaar aur inqaar, wafa aur jafa, ye sab ek hi siqqe ke do pehlu haiN magar baaz dafaa humaari ana ye bardaasht nahi kar paati ke humeN thukraaya gaya hai. Iski sabse ba.Di wajah hoti hai humaare pyaar ke falsafe ki buniyaad hi ghalat hona. Paana hii pyaar nahii hota. Jisme uski khushi usiime humaari khushi honi chahiye. Ye meri zaati rai hai, baaki aap sab ke beshqimati rai ka muntazir rahuNgaa.

Ishq ki shaan rakh, dard-e-dil ka kisi se gilaa na kar,
HaNs sar-e-aam aur tanhaaii meiN us_se milaa na kar.

Ke chot dil ki yaad dilaatii rahe mohabbat ki abas,
WafaaoN ke sile meiN mile zakhmoN ko silaa na kar.
(abas=futility=be-faidegi)

Jab woh sar-e-mehfil de raqiib ko nigahoN se bosa,
Kar khayaal apne maazi ka aur muskuraa, hilaa na kar.

Kar guzraa jo tuu ishq meiN, use khairaat samajh,
MaaNg kar mile woh pyaar nahi, ummid-e-silaa na kar.

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.

Apna Khayal rakhiyega,
Khush Rahiye,
Aadaab.
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
15th November 2009, 08:47 PM

Bohat khoob shyam ji......aapki yeh ghazal dil ko chu gayi....har lafz apna sa lagaa mujhe...pata nahi kyuN, ....aaj aapki yeh ghazal padhker bohat accha lag raha hai mujhe....

bilkul sahi kaha hai aapne,paana hi pyar nahi hai.....

Aaapki is ghazal se maiN bohat mutasir huyi huuN,bohat jald isi mazmoon per maiN bhi kuch likhungi........topic bohat acchi hai.......


Jab woh sar-e-mehfil de raqiib ko nigahoN se bosa,
Kar khayaal apne maazi ka aur muskuraa, hilaa na kar.

Kar guzraa jo tuu ishq meiN, use khairaat samajh,
MaaNg kar mile woh pyaar nahi, ummid-e-silaa na kar.

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.


YEH 4 SHER BEHAD ACCHE LAGE MUJHE................YUHI LIKHTE RAHIYE....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
15th November 2009, 09:08 PM

Shyam Ji...Aadaab......aapne kuch aisa likh diya ki.....mere paas taarif ke liye shabd nahi hai.........bas itna kahunga........bahut khub ! very nice creation.....superB....

phir bhi aakhir ke do sher toh main bhul hi nahi paa raha...

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.

itna khubsurat likhne ke liye.....dil se daad....hazir hai....

khush rahiye...
duaaon ke saath...




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#4)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
15th November 2009, 10:40 PM

shyamji,
behatarin panktiya hai.....
hamari bhi daad kabool kare...
izazut & shabba khair


amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me


(When i received You in my heart everything changed for me)
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#5)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
16th November 2009, 12:51 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Bohat khoob shyam ji......aapki yeh ghazal dil ko chu gayi....har lafz apna sa lagaa mujhe...pata nahi kyuN, ....aaj aapki yeh ghazal padhker bohat accha lag raha hai mujhe....

bilkul sahi kaha hai aapne,paana hi pyar nahi hai.....

Aaapki is ghazal se maiN bohat mutasir huyi huuN,bohat jald isi mazmoon per maiN bhi kuch likhungi........topic bohat acchi hai.......


Jab woh sar-e-mehfil de raqiib ko nigahoN se bosa,
Kar khayaal apne maazi ka aur muskuraa, hilaa na kar.

Kar guzraa jo tuu ishq meiN, use khairaat samajh,
MaaNg kar mile woh pyaar nahi, ummid-e-silaa na kar.

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.


YEH 4 SHER BEHAD ACCHE LAGE MUJHE................YUHI LIKHTE RAHIYE....
Zainy Ji Aadaab,

Aap humare kalaam se mutacir huiiN jaan kar achha laga. Jab pa.dhne wale ko sukuuN mile aur uski soch par asar kare tab koi kalaam apni manzil tak pahoNchta hai. Meri tehriir ko mmaqaam tak pahuNchane ke liye shukriya. Isi zamiin par aapke kalaam ka intezar rahega.

Aadaab,
Khush Rahiye,
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
16th November 2009, 04:01 PM

Shayam sahab aadaab.............

Aapi gazal per nazar gayi aur aapki rai se main bhi ittefakh rakhata huN.........
Mohobbat paane ke liye nahi, kii jati, nibhane ke iye ki jati hai..........

Per aapke gazal ke sher dekhe to dil mein kuch khayal aaya so tafsiraa karne ki soch liya, agar aapki Ijazat ho to baad mein iska tafsira karunga......

Fil waqt to hoghlighted sher behad sahiN aur dil ko chu gaye....

likhate rahiye
Khush rahiye
Khuda Hafez.........


Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Mehfil-e-Ishq ke haazriin ko Salaam,

YuuN to pyaar aur inqaar, wafa aur jafa, ye sab ek hi siqqe ke do pehlu haiN magar baaz dafaa humaari ana ye bardaasht nahi kar paati ke humeN thukraaya gaya hai. Iski sabse ba.Di wajah hoti hai humaare pyaar ke falsafe ki buniyaad hi ghalat hona. Paana hii pyaar nahii hota. Jisme uski khushi usiime humaari khushi honi chahiye. Ye meri zaati rai hai, baaki aap sab ke beshqimati rai ka muntazir rahuNgaa.

Ishq ki shaan rakh, dard-e-dil ka kisi se gilaa na kar,
HaNs sar-e-aam aur tanhaaii meiN us_se milaa na kar.

Ke chot dil ki yaad dilaatii rahe mohabbat ki abas,
WafaaoN ke sile meiN mile zakhmoN ko silaa na kar.
(abas=futility=be-faidegi)

Jab woh sar-e-mehfil de raqiib ko nigahoN se bosa,
Kar khayaal apne maazi ka aur muskuraa, hilaa na kar.

Kar guzraa jo tuu ishq meiN, use khairaat samajh,
MaaNg kar mile woh pyaar nahi, ummid-e-silaa na kar.

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.

Apna Khayal rakhiyega,
Khush Rahiye,
Aadaab.
Naadaan


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#7)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
19th November 2009, 05:34 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Shyam Ji...Aadaab......aapne kuch aisa likh diya ki.....mere paas taarif ke liye shabd nahi hai.........bas itna kahunga........bahut khub ! very nice creation.....superB....

phir bhi aakhir ke do sher toh main bhul hi nahi paa raha...

Ishq to ibaadat hai janab koi tijaarat ka khel nahii,
Agar kahiiN woh ghamzada ho to dua kar, khilaa na kar.

Kya hua jo gham diyaa usne terii chaahat ke badle,
Tuu sirf muafi de, use dard dene ka shuru silsilaa na kar.

itna khubsurat likhne ke liye.....dil se daad....hazir hai....

khush rahiye...
duaaon ke saath...

Naresh Bhai Namaste,

Izzat afzai ke liye aap ka shukarguzar huuN. Aainda bhi koshish rahegi ke aap dostoN ke jazbaatoN aur diloN ko chuu sakuuN. Aap ke waqt ke liye fir se shukriya.

Saath banaye rakhiyega,
Namaskar,
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com