Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Khuda Azeez yaa Woh?
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
Khuda Azeez yaa Woh? - 31st August 2009, 06:44 PM

Bazm-e-mehfil ko Aadaab,
Haazir huuN ek nayi ghazal ke saath. Iski beh'r hai 1222,1222,2212,122. Is beh'r ka koi geet ya ghazal meri nazar meiN nahi hai magar jaisa ki Manish (Zidd) sahab ne samjhaaya tha, maine ise tarannum me baNdhne ki aur fir taktii ki koshish ki hai. Ilm danoN se guzaarish hai ki aap sab apni tabsiraat se zaruur nawaazeN.


-1-2-----2—2/-1—2--2---2/2--2-1--2/--1—2---2
Ba.De mauqe pe aayaa mere arz ka jawaab hai
-1--2-----2—2/1—2----2----2/2—-2---1---2/--1—--2----2
Ik haaN ke intezaar mein uski, dhal chukaa shabaab hai

-1--2---2--2/1-2----2--2/---2--2--1-2/--1—2-----2
Rahii naa aag ab naa hii garmii bachii badan meiN
-1--2---2--2/1---2--2--2/---2--2-1--2/--1—-2---2
Bachaa to sirf guzishtaa yaadoN kaa sailaab hai

-1--2---2--2/1--2--2--2/--2---2--1---2/-1—2----2
Waqte aakhiir kiyaa tasliim mujh bad naseeb ko
-1--2---2---2/--1----2--2-2/-2--2---1--2/-1—-2---2
Milaa bhi woh ke jab apnii haalat kuch kharaab hai

-1--2---2--2/-1---2--2----2/--2--2--1--2/--1-2-2
Umar guzrii hai talkhiiyoN aur kaaNtoN ke biich
-1--2---2---2/--1---2----2---2/---2-2--1--2/--1--2---2
Magar har zakhm kaa marham banii ik pak kitaab hai

-1---2---2---2/-1----2--2---2/2---2--1--2/---1---2----2
hai jannat yaa ke dozakh merii maut par, naseeb meiN
-1---2----2--2/-1---2---2--2/-2--2--1---2/--1---2----2
Ye woh jaane magar, apnii jholii me bhii sawaab hai

-1—2--2----2/-1--2---2------2/---2----2---12/1--2----2
SawaaloN kii ka.Dii meiN puuchaa woh azeez yaa main
-1—-2----2--2/-1---2---2----2/---2---2-1---2/-1---2----2
NazareN jhukii ki jhuukii haiN “naadaan” laajawaab hai


Ba.De mauqe pe aayaa meri talab ka jawaab hai,
Ik haaN ke intezaar mein uski, dhal chukaa shabaab hai.

Rahii naa aag ab, naa hii garmii bachii badan meiN,
Bachaa to sirf guzishtaa yaadoN kaa sailaab hai.

Waqte aakhiir kiyaa tasliim mujh bad naseeb ko,
Milaa bhi woh ke jab, apnii haalat kuch kharaab hai.

Umar guzrii hai talkhiiyoN aur kaaNtoN ke biich,
Magar har zakhm kaa marham, banii ik pak kitaab hai.

Hai jannat yaa ke dozakh merii maut par, naseeb meiN,
Ye woh jaane magar, apnii jholii me bhii sawaab hai.

SawaaloN kii ka.Dii meiN puuchaa woh azeez yaa main?
NazareN jhukii ki jhuukii haiN, “naadaan” laajawaab hai.


Ummiid hai aap sabko pasand aayegi.
Shukriya
Shyam


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला

Last edited by naadaan; 31st August 2009 at 06:46 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
3rd September 2009, 06:44 AM

shyam ji....kaise hai aap.....bahut behtreen ghazal likhi hai aapne....

yeh do sher mujhe khaas lage......

Waqte aakhiir kiyaa tasliim mujh bad naseeb ko,
Milaa bhi woh ke jab, apnii haalat kuch kharaab hai.


Umar guzrii hai talkhiiyoN aur kaaNtoN ke biich,
Magar har zakhm kaa marham, banii ik pak kitaab hai.

aise hi likhte rahiye.....khush rahiye....

daad kabul farmaaye....




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
5th September 2009, 11:21 AM

Shyam ji.......................sabhi sher acche lage, par yeh 3 sher khaas rahe.

Ba.De mauqe pe aayaa meri talab ka jawaab hai,
Ik haaN ke intezaar mein uski, dhal chukaa shabaab hai.

Rahii naa aag ab, naa hii garmii bachii badan meiN,
Bachaa to sirf guzishtaa yaadoN kaa sailaab hai.

Waqte aakhiir kiyaa tasliim mujh bad naseeb ko,
Milaa bhi woh ke jab, apnii haalat kuch kharaab hai.



likhtey rahiye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
5th September 2009, 12:56 PM

Sunita Ji aur Naresh Sahab Namashkar,

Aap dono ka shukriya ke aapne naachiiz ka kalaam pa.Dhne aur hausla afzaai ke liye waqt nikala. Saath banaye rakhiye. Aap members ke protsahan se kalam aur sashakt hogi.

Dhanyavad,
Shyam


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com