Quote:
Originally Posted by anish_ekshayar
Dosto
aaj kuchh dil ke bejuban jajbaato ne fir se alfajo kee shakl ikhtiyar kar lee hai to unhi alfajo ko aapke samne pesh kar raha hun
Tujko ab sochta hun mai to mujhko lagta hai !
Ke jaise mere andar aasma sulagta hai !
Mujhe aksar tera chahra dikhai deta hai ..
Kahin bhi jab koi bachha udaas milta hai !
Mai kya karun tujhe bhulana bhi nahi aasan ..
Tera saaya sa mere saath saath chalta hai !
Dil mai jab bhi koi armaan sa machalta hai ..
Aansuon ke saath aankhon se bah nikalta hai !
Mai falak hun ‘anish’ tamam tare jakhm hain mere..
Aaftab dil hai mera roj yun hee jalta hai !
|
anish ji aap ki yeh puraani kavita padh kar sach men bahut achaa laga. aap ne bahut khoob apne jazbato ka bayan kiya hai ap ki ghazal men.mujhe bahut pasand aaya,aate rahiyega janab
aise hii likhate rahiyega
regards
manu