aabru -
14th January 2015, 06:25 PM
aadab dosto,
peechle kafi dino se thoda masroof raha. aaj thoda waqt mila to socha apne jahan mein chala rahi kuch baaton ko share kar loon...
Lakh pardo.n mein hai magar sabko khabar hai
Uski aabru parr kiSsi gidhh si nazar hai
Kya khata uski kya gunah uska
Jo shikariyo se bhari uski ye dagar hai
Gali mein chhedte ladke Ghar mein dayro.n ke pahre
Sab sah kar bhi rahe khamosh Aankho ki kaise ye sharm hai
Na armaa.n hi sajoye na khwab hi ho.n poore
Uljhi hi khud mein uski ye kaisi umar hai
En mardoo.n ko kaun nooche.n kaun kahe kitne ghinone ho tum
Ijjat ko lutne waalo.n ki aakhir apni hi beti par nazar hai
mera kya hai main to deewana hu
kya bataoo tumko baare mein apne
mein to khud se hi begaana hu
...................vinaydahiya
|