Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 9 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#41)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th March 2013, 03:27 PM

Oh my God!....

Zidd sahab aapne tou mujhe Amar kar diya.......

Izzat afzaai ka tah e dil se shukriyah...

This article is yet another a masterpiece....

Hats off to your analysis........

And thanks a ton.........

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#42)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
14th March 2013, 03:30 PM

aree re re ,ye kya ho gaya.....

article ek ek section to chooth hi gaya...vo dusre page par tha word file ke...outlines ki tarah....

zainyji...aap kindly article ke end me bold me likh dijiye..

....TO BE CONTINUED
   
Reply With Quote
Old
  (#43)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th March 2013, 04:43 PM

Masha Allah... Masha Allaah......

What a masterpiece you have created Zidd saahab..... aaj socha tha kuch bhi karke ise padh hi loon bas isi waaste kaam dhaam jaldi niptaa ke padhne baithe to abhi poora karke hi damm liye...

Waahhh kya likhte hain aap.. jaise koi writer... aur kyaa observation hai aapki,... sach kahen to hamaari koi bisat hi nahi ke aise kaam ke liye hum aapki tareef kar sakeN...

jis khoobsurtii se aapne male and female version of describe kiya hai wo kaabile tareef se bhi badh ke hai.....

aage bhi aapke articles ka hame intzaar rahegaa.... likhte rahen.... and plzz thodaa saral language use kijiye... bahot bhejaa lagaana padtaa hai samjhne me......

anways thanks for sharing these info with us..... take care

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#44)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
15th March 2013, 07:57 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Oh my God!....

Zidd sahab aapne tou mujhe Amar kar diya.......

Izzat afzaai ka tah e dil se shukriyah...

This article is yet another a masterpiece....

Hats off to your analysis........

And thanks a ton.........
zainyji...ye baat sahi ki ghazal ke ek topic ke context me aap amar hon sakti hai.....

aur maine aapko koi izzat nahi di hai....you are actually sitting on that position......kyuki us internet position me aane ke liye kya kya requisites hai vo dekhiye,,,aap khud samjh jayengi.

1] it should be a prime site
2] shayara should follow the technicalities
3] writing style should be gender specific k, kike you have
4] the subject should be male expressly..direct or indirect.

ab bataiye ,who is your competitor? ....internet age has started barely 15 years back and masses have taken to it only 4-8 years back....

to pioneer me aap ki ginti nahi hogi?

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#45)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
15th March 2013, 08:16 PM

wow!.....................................

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#46)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
16th March 2013, 12:27 AM

kuch zyaada nahi chaDhaa diyaa gayaa.......................... lol

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#47)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
16th March 2013, 12:31 AM

ahu ahu!!....yeh jalne ki bu kahaan se aa rahi hai................)

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Hindi Translation...BY AHMAD HYDERABADI
Old
  (#48)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Hindi Translation...BY AHMAD HYDERABADI - 1st April 2013, 01:17 AM

Ayk aadmi jo ayk aurat say muhabbat karta haye wo ghaazil hai ghazal ka likhnay wala. Shaastriya/classikee Arbi ghazloan mayn, mard bola kartay aur aurtayn sunteen. Muhabbat he sabhi ghazlaon ka kendriya vishaye/markazi mauzoo haye.

Yay mauzoo/vishaye qaayam raha bawajood iskay ki arab vaidh/hakeemaon nay pyar ko ayk bhayanak zahni marz jo ki insaan kay wajood ko mita sakta haye qaraar diya tha!

Ghazal ki shastriya paribhasha ab ik thappa/ kahavat bankar rahgayee haye. Chook ka ilzam na lagay sirf isiliyay mayn yay bhi bataa doon ki rivaayati Arabi muaynaon mayn ghazal ki paribhasha/ta'reef " Mehboob say baat karna" haye!

Yay ghaur talab haye ki yay paribhasha/defintion/ta'reef khud he mahila ghazal laykhak kay khayaal/idea ko pratikul/buhat na-khushgawaar bana daytee haye, kyoon ki mahila laykhak/kavi ka apnay mehboob say baat karna- yay khayaal un madhya-yugeen (medieval) jaagirdaarana/samanti logaon kee samajh kay baahar tha.

Yay seedha virodhabhaas hoga un Arbaon kay liyay yay tasavvur bhi karna ki ayk aurat ki nazar, jismayn aurat ki pasand/khwaahish ki vastu ayk mard ho. Iskay liyay badee himmat aur ayk vidrohi/baaghi lakeer ki zaroorat hogi mardaon mayn aysay manzar kay baray mayn sonchay kay liyay bhi, us zamanay kay adaab o akhlaakh kay daayraon mayn ijaazat milnay kay liyay.

Oopar ka ka manzar ghayr mumkin honay ki wajah say, hum-jins-parasti/lesbianism kay sangeen ilzaam kay khauf kay kaaran, agar koee "naari ayk naari say baat karay" yay khayaal he kaafi tha kisi bhi aakankshi/khwaahishmand kavitri/shaayraa Ko daraanay kay liyay.

.................................................. .................................................. ........................

Vidambana yay haye ki jo "Raqeeb" ka aam romaani vishaye haye, ayk pratispardha premi/ muqaabil aashik, yaa yay zyada sahi hoga mayray ayjaad kiyay shabd "Lover-in-law" kay tarjumay kay anusaar" ayk sadaa duhraata tatva haye ayk ghazal kay rivayati/paramparik saanchay mayn.

Halaanki yay mahilaon ko sashakt karta haye, ya aysa nazar nazar tou aata haye, laykin yay mohak vishaye sirf shayri tak he seemit rah gaaya kabi haqeeqat na bana.

Aysa he ayk vishaye haye 'Saaqi' ya bar girl, Isko kayee vishayshtaayayn dee gayeen hayn. Jaam vaahak( jaam

alambardaar) koee saadaa hastee nahee jiska kaam table par bairagee

karna ho.

Us ko raaz saunpay jaatay hayn( humraaz )

Wo ayk saathi haye.

Wo ayk dilaasa daynay wali haye.

Uska paas andaaz hona chaahiyay.

Wo ayk aam madhushaala ki vayshya nahee haye.

Har raaz ayaan ho jaaye agar to raaz kaha phir raaz raha

Sab ek agar ho maikhaane me kya saaqi ka andaaz raha.

Wo sabsay zyaada qaabil haye aashiq aur raqeeb rakhnay kay liyay. agar koeee shaastriya ghazal mayn koee hasti haye jisay ghazal likhnay kee ijaazat dee jaate tou wo yay sarvvyaapak jagdeeshwar( sadaa maujood, hamaysha nazar aatee) saaqi hoti. wo sabsay zyada wazay davaydaar haye mashooq honay ki, kyunke wo parday mayn nahee hoti . Wo ayk waahid hasti haye jo ghazal likhnay kay qaabil haye. wo us waqt ka andaaz e bayaan thee. Bayhad mumkin haye ki 'Raqeeb' ka tasavvur/concept 'saaqi' say he payda hua.

Gyaarveeh sadee mayn Persia par Arabaon kee fatah kay baad Farsi zubaan par Arabi asar hua, sabsay aham ghazal ki qism par.

Is adabee saqaafataon (cultures) kay par-paragan (milaap) ka ayk badaa nateeja "Mashooq" kay tasavvur mayn badlaav huaa.

.................................................. .................................................. .......

.................................................. .................................................. ......

Faarsi zubaan ki khaasiyat aur vyaakaran ki wajah say, jahaan kriya-ant ling nahee badalta, 'mashooq' ka ling anishchit ban gaya. Ayk zubaan kay moad nay ayk shayli badal dee!

Isiliyay ab mashooq ayk naari ya ayk straynd (zanaani) purush ho sakta haye. Yay tasavvur itna ayyash (lampat) ban gaya thaa ki iska (mashooq ka) matlab ayk bachcha jiskay zaahiri mardaana khaasiyatayn jaysay chehray pay baal, katee awaaz waghaira,honay say pahlay bhi ho sakta tha. Laykin jo bhi tasavvur ho, mard ki nazar musalsil (sthir) rahee,buhat kam, agar, kisee mahila laykhak ko jagah dee gayee thee. Naari ki nazar ka tasavvur nishaydh (mamnooa) thaa is saanskritik parishashya mayn (mahaul mayn in short)

Jaysay samaaj mayn azaadi aayee, kuch mahila ghazal laykhak ahmiyat mayn aayeen dunya mayn.

Simin behbehani(B. 1927, Iran) nay 'mard' mashooq ko wazay kiya aur naari nazar ka parichaye karwaaya. Laykin urdu ghazal bawajood kuch mashhoor mahila shayaraon kay is saanchay ko toad nahee sakee. halaankay yay ghaur talab haye ki Parveen shakir nay isay suspasht-taa say toadnay ki koshish kee. Misaal kay taur par, yay shayr, saari ghazal ki tarha, ghayr janinbdaar e sanafi (ling tatasth) haye.

Mahila lakshan buhat sukhsham tareekay say ubharta haye, halaankay koee ling vishisht( maqsoos sanaf) fae'l (kriya) ya sarvnaam iste'maal nahee kiya gaya haye is vishaye kay liyay.

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah

ang ang apanaa usii rut meN mahakataa dekhuuN

.................................................. ...........................................

Sirf muhavray ki wajah say he zanaani haath ka pataa chalta haye.

Classiki(shastriya) zanaani wujuuhaat e khoobsoorti ka yahaan " is ang ang me" mayn iste'maal hua haye. Halaanki yay zanaani muhaavra badee sukshamtaa say istemaal kiya gaya haye, aur aam aakasmik khsrayta ( casual listener) say chhoot bhi jaayayga( yaaniki iski nazar say chook jaayayga), isnay saahityik varg kay kaan zaroor khaday kardiyay hongay.

Oopar kay vipreet,

yahaan mahila laykhak spashtvaadi haye. Vyaakaran mahila laykhak ko zaahir karta haye

Shayar yahaan saaf taur par mard mashook ki khushee manaataa haye, balki ayk khaas shayr mayn ( Bold mayn mark kiya hua) shayar bayhad khush haye is baat par aur chchhal ka prayog karta haye parcharta kay aylaan e jung mayn.

"Sach" shabd ki sammanjanak baraabari ki haye "kahna" shabd say

"Jhooth" shabd ki barabari ki haye akasmik "bool’na" shabd say.

KaMaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To AazMaungi,

Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supard Karke Use Chandni Ke Haathon Mein,

Main Apne Ghar Ke Andheron Mein Laut Aaungi,

Badan Ke Qarb Ko Wo Bhi SaMajh Na Payega

Main Dil Mein Ro'ungi, Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke Rifaaqat Ke Sare Lutf Gaye,

Main Kisse Rooth Sakungi Kise Manaungi,

Wo Jhuth Bolega Aur Lajawab Kar Dega,

Main Sach Kahungi Phir Bhi Haar Jaungi,

Jawaaz Dhund Raha Tha Nayi Mohabbaton Ka,

Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhool Jaungi.....parveen shakir

Is oopar di huee ghazal mayn Prveen Shakir ji khulay aam saamnay aati hayn, laykin aysee misaalayn bayhad nayaab/durlabh hayn.

Yay bayhad mumkin haye ki wo mahila laykhah jinhonay is saanchay ko todnay ki koshish kee inko saahityik aupchaarik daayraon mayn jagah nahee dee gayee.

Anaupchaarik daayray jaysay kolkata kay "adday" aur mukhtalif jagah jagah paayay jaanay walay coffee ghar mardaon kay maqaam hotay hayn aam taur par. Mahilaon kay paas anaupchaarik circles kabhi nahee thay taaki khayaalaat, mauzoooaat, aur zanaani maqsoos andaaz , jahaan ugg-paatay. Isiliyay mahila adabee shaqsiyat ko bhee shastriya saanchay mayn dhalna zaroori thaa, agar adabee koshisaono mayn hissa layna ho to unko mard bannaa hee padta thaa.

Phir aaya internet, mahaan paropkaari logaon ka muktidaata, khaas taur par mahilaaon ka.

SHayri kay forums phal-phoolnay lagay. Mahilaayayn jo ki adabee koshihaon kay liyay baahar nahee ja saktee theen, is mauqay ko pratishoadh say jhapayt liyaa.

Forums for shayri mushroomed. Kisii ko koee masla nahee thaa, ghar kay baday mahilaon ko internet par dayk up-haas dikhaatay laykin phir bhi unhayn gatividhiyaon mayn mulawwis honay daytay, kyunkee iska matlab yay thaa ke mahilaayn baahar nahee nikal rahee hayn adabee prtaikriyaaon kay liyay.

Is cheez nay mahilaaon ka saamna karwaaya niyamvaad(techinacilities) say, ki unhonay ghazal likhni shuru kardee.

Zamaanao puraani ustaad-shahgird ki parampara toot gayee. Wo mahilaayayn, jinko ghazal kay itihaas ka ilm nahee thaa, aur khushqismatee say ghazal ki bareekiyaon( mamnooa cheezon) say anjaan theen- inhonay naari ki nazar ka ijaad kiya ghazalaon mayn, jinmayn mard mahboob tha yaankiki "mashooq" thaa.

Itihaas kay payda honay ki shakti ka ehsaas vartamaan par khoya hota haye hamayshaa(i.e. vartmaan mayn nazar nahee aataa). Internet abhi apnay bachpan mayn haye, aur yay vidwaanaon nay sthaapit kardiya haye ki yay yug abhi aur 500 saal chlayga ( kisi bhi roop mayn hardware ya software)

Aaj say 200 saal baad jab anusandhaan karnaywalay (researchers) jab ghazlaon mayn zanaani nazariya parhayngay, internet kay zamaane mayn, yay bayhad mumkin haye ki Zainy* jaysee shayra aur kayee aur bhi, jo ki apni ghazlon may naari ki nazar jo mard "mahboob" ko moort roop daytee haye , iskay yay ugrdoot(forerunner) hayn , inko bhaavi peedhi mayn maarg-nirmaataon jaan yaad rakhaygee, aur unkay maujoodaa mard shayaraon ko bhuladiya jaayayga jaysay paydal chaltay shayar.

Samaaji wa mazhabi tangee kay kaaran mahilaayayn apnay aapko adabi daayraon say baahar hee rakheen. Urdu ghazal mardaon ka garh ban gayaa.

Urdu ghazal mughlai daur mayn parishkrit kalaa ban gayee, jab isnay buhat hadd tak sthaapit Persian adabee paramparaa say udhaar liya, jo ki khud mutaasir thee Arabi CHchand-shaastr alankaar shaastr say.

Jahaan tak Perso-Arab saahityik paramparaa ki baat haye, yay baat aaraam say kah saktay hayn ki, aksar hissaon mayn chchand-shaastr Arbaon nay muhayya karaya aur alankaar shaastr Persians nay.

Yay ayk khud mayn saahityik madhyam thaa. Yay sampann mishran takraaya Delhi ki khadi-boli say aur Delhi kay baahari ilaaqay jaysay Matura, Hindon, Meerut waghayra say, jisnay ayk zubaan ko janam diyaa jiska naam tha Rekhta aur uski up-shaylee rekhti.

Is rekhta nay Bhartiya bhaasha ka dhaancha udhaar liya yaaniki vaakya-rachna, sthaaniya kriya (muqaami fae'l) aur sarvnaam(pronouns) kay saath, Persian alfaaz kay saath khaaskar sangyaayn/ism(nouns).

Kyunkee sarvnaam sthaaniya thay aur Bhartiya sarvnaam aur kriya-ant vishisht lingi hayn, par Persian/Farsi sarvnaam ling-tatasth(neutral) thay, ayk badee samsyaa khadee hogayee.

Mahboob ko kis tarha muqatib kiya jaayay. Us waqt yay zaroor ayk badaa aur bhramit/confusing ban gaya hoga. Dheeray dheeray yay rivayat ban gayee ki mahboob ko nar/muzakkar muqatib kiya jaayay, aham wajah yay ki:

1. Tatasth/Puruling kriya ant nayay vishay janam daynay ko jhayl sakta haye sharaab aur naari par shayri say hatkar. Yay rahasyapoorn/gupt aur doosray vishayaon/mauzooaon ko shaamil karnay ki ijaazat dayta hai.

2. Atiranjit(mubaalegha)/Videshi(ghayr mulki)/Kaamottayjit/Shahwaniyatangayz alaamaat mahboob mahboob ko intesaab karna/ ropan karna katcha/aparishkrit aur anaadhi samjha jaata us madhy-yugi mahaul mayn. Aspasht nivaydan ya phir ayk purush nivaydan is laraznay ko hata dayga.

Yay saahityik/adabee wujuhaat theen, yay phir say ghaur talab haye ki naari kay nazariyay ko ayk soach tak bhi ataa nahee ki gayee thee. Wahaan bas koee mahila shayar hee nahee theeen.

In sahityik/adabee wujuhaat sanyukt huay is haqeeqat kay saath ki 'birha' jo ki ayk qism haye '

Abhilasha kay geet' ki mahboob kay liyay braj mayn, jo ki parampargat hoi-polloi yaniki muqaami loag gaaya kartay thay, hamaysha stree ling/mawannas mayn hee thaa.

'Birha' gaatay samaye purush gaayak naari sambodhan apnalayta. Wo

zanaani shaqsiyat maan layta aur zanaana ban jaata.

Yay qism rekhti(rekhta say bhinn) nay apna lee, jisnay aagay nautanki say 'birha' ka parichaye karwaya aur mardaon kay 'birha' gaatay samaye zanaani kapday pahannay say.

Is cheez nay raj kartay aala mughalai tabqay ki samvaydansheelta ko chidhaa diya. Yay saamajik wajah ban gayee ki ghazalaon mayn mahboob(kyunkee yay ma'roof adabee qism thee), ki muzakkar/puruling raha jaayay, seedha muqablay mayn rahnay kee 'birha' say.

Mughal Hindustan isi adabee raah par chaltaa rahaa aur aurat ko mard muqatib karnay kee.

Aur dunya sabar say intezaar kartee rahee zanaanaa shakespeare kay nikalnay ki. Aysa nahee tha ki dunya ko pataa thaa ki aysa waqt bhi aayaygaa.

Kisee ko pataa nahee thaa ki wo jo kabhee nahee huaa, is sadee kay aakhree das saaloan mayn hoga.

Kisii bhi khwaahishmand mahila laykhak ko koee protsaahan nahee mila Angrayzaon kay aanay say.

Sach tou yay ki agar kisi tarah say koee aspasht-taa baaqeee thee tou wo bhee saaf kardeee gayeee.

Maulana Hali aur Azaad ki jodi nay ghazal ki qism ka up-haas kiya/hansee udaai ki yay khayaalaat ko banavati wujuhaat say roak lagatee haye. Unki raaye mayn maujooda mazamoon dakhyaanoosee thay apnay aurat aur sharaab kay prakran/vichar mayn aur usee liyay khaali thay muayneekhayz khayaalaat say aur nayay zamaanay kay qaabil nahee...

Wo maghribi shayri say bayhad mutaasir /prabhaavik thay aur uski khayalaat aur bayaantee ki wazay samavishti (inclusiveness) say.

Is jodi nay shayri kay sidhhprayog ko akaar daynay ki koshish ki aur yay raaye rakhtay thay ki ghaza asaliyat mayn zanaanaa ( zananee) haye fitratee taur par, aur

aur sirf baahari taur par mardaanaa haye qitaab karnay mayn, isiliyay ya kisi ba-maani guftguu kay laayaq nahee

Un logaon nay urdu shayri ko samaajik sudhaar ka zimma saunpa aur naytiktaa/akhlaakhiyaat phaylaanay kaa saadhan, aur isiliyay saahitya/adab ki safaai karnay kay liyay ghazal ko thukraayay aur nazm ki tarafdaari ki.

Unhonay mukammal ling-nishpakshta prastaavit ki, aur maang kee ki mahboob, gar koee, ki zubaan kay kushaltapoorvak upyog say aspasht rakhay.

Unhonay anagrah kiya ki mahboob kay liyay teesray vyakti sarvnaam ka he prayog kiya jaayay aur chaahtay thay kee jo stree-ling ho wo bahuvachan ho,taakay us prakaar say ling kuch hadd tak chipa rahay.

Vichaar tha ghazal ko yaun kalpana say shuddh karna, kyunkee isay patansheel maanaa thaa.

Ameer Farsi-Arab paramparaayayn, apni khayalaat mayn pichday vargee theen aur saahityik sudhaar kay liyay ayk baadhaa/rukaavat theeen.

Haali aagay aur chaahtay thay ki ghazal badlee jaayay aur iskay dhaanchay aysa ho jismay ayk shayr kay do azaad misray ayk akaylee musalsal kahaani banay do paktiyaon ki, angrezi Sonnet ki tarha, koee taajjub nahee ki unkay sahkarmiyaon nay unka mazaak udaayaa.

Pahlay ghazal ayk nisaai/ Zanaani jashn hua kartee thee, mardaani paribhaasha kay saath. Ab maang ut-thee ki ghazal say pooray jazbaat aur zanaani mazmoon nik'aal liyay jaayayn.

Kuch waqt kay liyay ghazal ki qism nay saaray niji/vyaktigat vishayshtaayayn/lakshan kho diyay, ghazal na na sirf ling kho diya balki saath mayn shaastriya boli bhi aur uski keemti bayaani bhee. Is say maan thee ki yay saamajik mudday par sahee baythay, isnay mardaangi ka prachaar kiya, unkay falsafay kay mutabiq isay saamaajik sudhaar ka hissa banaatay huay.

Is tarha ayk uchh-uddayshyit kaarya nay Bhartiya saahityik daayraon mayn phoont daal dee. Ghazal aur uskay saath nazm say ayk sandaysh pahunchany ka kaam liya gaya naa ki ayk shaayri khayaal (pahunchaany) ka.

Haali aur Azaad ki jodi ki waseeyat Iqbal nay qabiliyat say aagay barhaai. Bhartiya swatantra sangharsh kay baaghi daur mayn, is tarha kay ghayr-anuroopi khaylaat ko kuch maanyataa haasil huee.

Haali aur unkay samuuh nay kadi koshish ki ghazal ko saaray zanaanaypan say mukt karnay ki aur mazbooti say mardaangi ko badhaava diya, aur koshish ki isay saamaajik mudday mayn ghulaa daynay kee.

Kuch logaon nay iska virodh kiya.

Asantushtaon ki tadaad kam thee, laykin bada zordaar samooh thaa. Khaaskar Lucknowi samooh.

Unhonay jawaabi karwaaee kee yay kahkay ki nayee boli ayk pashchimi khayalaat ka ayk-say-ayk ka vivran haye, isiliyay jo khayaali nayay badlaav hayn urdu shayri kay liyay wo sirf baahari taur par urdu hayn aur androoni taur par paschimee aur Angrezi, Bartanviyaon kee khaas mazay kay liyay( British yay daykh buhat mazay lay rahay thay)

Bartaanviyaon nay jaldi say Iqbal ko Knight ki upaadhi dee aur wo ban gayay 'Sir Iqbal'

Lucknawee sahityakaaraaon kee hansee aur mazaak udaayaa gayaa kayee ghinaunay tarqeqaon say. Un Lucknawi shayaraon par zanaani khaasiyatayn jodee gayeen theen, Lucknow ' gharaana' is jumlay ko awaaz kay moad say apmaanjanak 'Ghar-aanaa' bana diya gayaa thaa.

Sargarmi/josh aysaa thaa ki aam naagrikaon ko bhi baqsha na gaya. Kadkee baychnay waalay jo ki shaayraana saadhan ka upyog kartay jaysay ki "kakadi

lelo,laila ki ungli lelo, majnu ki pasli lelo", kakdee kay patlaypan ko bayaan kartnay kay liyay( Jitni patli kakdee utna uspar zyaada adhi-shulk), unka tak mazaak udaaya jaata.

Ahl e Lucknow nay ayk baday tareeqay say badla liyaa, wo khamosh rahay. Wo bas apna kaam kartay rahay jaysay ki koee samaajik badlaav huaa hee nahee. Ayk muaaynay mayn yay haqeeqat mayn nahee huaa, kyunkee us tarha ka adabee badlaav oopar say neechay tak laanay ki koshish thee aur wo awaam ka shuruu kiyaa nahee thaa.

Lucknawi shayaraon ka yay mukammal anjaan banay rahnay shayri ki jo payshkarta boli thee, koshish karda adabee inqelaab kay liyay ghaatak saabit huee.

Lacknawi shayar apni zanaaani shayri chalaatay rahay aysay jaysay ki kuch huaa he nahee.

Aakhirkaar dil he raaj karta haye(dil ki he jeet oti haye), awaam Haali aur unkay waaris Iqbal ki shaayraana boli/bhaasha samajh nahee paayee.

Ghazal apni khudi par wapas agayee, halaankay yay zaroor maan-naa padayga, ki apnee asli qadeem/maulik/pracheen halat mayn nahee aayee.

Zanaanee mazmoon laut aayay. Dil tadapta haye qudrat kay nar aur naari kay santulan kay liyay . Aur uskay izhaar ghazal aur iskay saath iskay aspasht arth bhi laut aayay.

Lucknow jeeta kyunkee shayaraon nay nar-naari kay santulan ko nahee chhaydaa. Delhi haaree isliyay naheee ki iska maqsad sahee nahee thaa, aakhir saamaajik uddayshya bhi khud mayn ayk buland maqsad haye, magar isliyay(haaree) kyunkee yay chaahtee thee kee oonth ki jagah bayl raygistaan ka safar taye karay.

Ghazal saraltaa say, itnee pyaar aur kaamukta mayn garhee huee thee itnee lambee prathaa say, ki bas iskay paas saamaajik bhaasha ki vishisht-taa thee he nahee.

Haali aur Iqbal kay baad, koee bhee saamajik sudhaar ka sambandhi saamaan nahee uthaa chal paayaa. Vishayshkar ayk shayayr, Khadim Kashmiri, kaha jaata haye ki Iqbal say kuch hidayat jinko milii thee, koshish ki wasiyat ko aagay layjaanay kee.

Iqbal kay liyay parichaye ki koee zaroorat nahee, laykin misaal kay taur par, mayn Khadim Kashmiri ki kuch panktiyaan paysh karta hoon,

Usne saarangi khariidi shauk se

Maine bhi zidd karke tabla le liya

Qaum par apne kiya sabkuch nisaar

Deke sar Gandhi ne charkha le liya

Bekasi ne di mujhe akhir panaah

Besahara tha akhir sahara le liya...kashmiri

Is tarha ki shayri ka koee laynay waala nahee thaa, khaaskar azaadi kay baad.

Baad azaadi kay mahaul chamchamaataa tha. Ummeed aur aashaavaad phaylay huay thay. Himdu Muslim rishtaaon mayn santulan aachuka thaa bhaydak nar-sanghaar kay baad.

Mood badlaa.

Saamaajik utt-thaan ki baat har jagah thee, isliyay koee bhi apni ghazal mayn utt-thaan nahee chaahta thaa.

Stree-adhikaarvaad ki jeet huee.

Delhi haaree hamayshaa kay liyay.

Aaj bhi Lucknow ko adab aur shayri say joda jaataa haye.

Delhi ka koee zikr nahee milta, hattaa kay Delhi gharaanao kay poorvajaon kay gunaah bhi thak gayay aur peecha karna chhod diyaa.

Kuch nahee baaqi Delhi ka bataur e adabee maqaam jabki Lucknow phal-phool raha haye.

Hamari priya ghazal, apnay tamaam zanaaniyat kay saath, punarsthaapit hoagayee. Ghayr stree-adhikaarwaadi/ ghayr-zanaanee shayaron ko bardaasht kiya jaata haye, aur kuchh ka aadar bhee, jabki shastriya shayaraaon say mohabbat kee jatee haye.

Dil kay muaamlay samajh kay jawaabdayh nahee. Buland samaajik lakshya acha haye ki samaaj sudhaarakaon kay liyay chhod diyay jaayayn, jinkay paas behtar nazariya ho, aur jo drudhmool loag hoan.

Phir bhi samasya baaqi haye- kahaan haye mahila shayar?

Usay aakhir kyaa karna chahiyay?

Usay kis tarha say muqatib hona chahiyay? Kya wo apna ling ghazal mayn bayaan karay?

Bayshak wahaan koee maqsood jawaab nahee.

Ye naazuk se mere andar ki ladki

Ajab tewar ajab jazbe ki ladki

Haveli ke makin to chahte the

Ke ghar hi me rahe ye ghar ki ladki........ishrat afreen (Pakistan)

Yay shayar kis say baat kar rahaa haye?

Bayshak kisi mard mahboob say nahee.

Aur na hee yay ayk lesbian upakkram haye, kee ayk ladkee ayk ladkee say baat kar rahee haye.

Yahaan shayaraa apnay aap say baat kartee haye.

Yay ayk taaqatwar upaaye haye.

Yay ghazal ki bunyaadee taareef/paribhaashaa par vaar kartee haye. Yay ghazal kay khud kay khayaal mayn asangatee payda kartee haye.

Is upaaye ka niyojan mahila shayar ko zanaani nazar kay tamaam ilzaamaat say pratirakshit rakhta haye aur uskay baad honay walay purush vishayayshreet say bhi.

Simin Behbehani nay sampoorn vipreet nazar lee.

Unhonay jaan boojh kar mardaon ko vishayshreet banaya/moortikrut kiya zanaaniaa nazar say.

Unhonay mard ko mahboob banaya aur abhilaasha aur chahat ki ik vastu bhi.

Unhonay khulay aam yay kiyaa ling vishisht vyaakaran kay upyog say.

Parveen Shakir nay bhi yahee kiya , albatta ling a-vishist vyakarn ka upyog kartay huay.

Yahaan jo nahee khoya aur khona bhee nahe chahiyay ki- Farsi zubaan mayn ling avishisht hona buhat asaan haye, uski kriya kay praroop ki wajah say

, khaaskar iskay kriyaa-ant. Laykin Simin nay iskay vipreet kiya.

Urdu mayn ling vishisht kriyaayn hayn, aur ling a-vishist banaanay kay liyay zubaan ki nipurnta ki zaroorat hoti haye, aur ayk jaagruk koshish ki bhi. Parveen chaunki ka ullanghan na kar sakee, samaaj aur namrataa kay khauf ki wajah say, haaye, iska pata kabhi na chal paayaygaa.

Ishrat aafreen kay is tatkaal maamlay mayn, mauzoo kaun haye?

Wahaan koee bhee nazar nahee aataa, naa ki premi aur naa he mahboob.

Mauzoo kavita khud haye. Bayshak yay mard shayaraon par laagoo nahee hota, unkaa seedha mazaak udaaya jaayaygaa, aur samaajik sameekshak kay bhays mayn dhongee qaraar diyay jaayayngay.

Ayk mahila shayar ko behtar chhoot haye kavita ko mauzoo banaanay mayn, kyunkee wahaa bas koee poorv udaahran haye hee nahee!,

Zehr hi maange ,amrit ras ko muh na lagaaye

Baghi , ziddi, vahshi aur haTile honth

Aisi banjar baate, aise kadve bol

Aise komal, sundar ,surkh rasile honth

Itna bolegi to kya sochenge log?

Rasm yaha ki hai ,laDki sii le honth.....ishrat afreen(Pakistan)

Yahaa shayar kaamuk ko uksaatee haye honton kay mukhtalif vivran say, halaankay andaaz yahaan nindaa karta huaa haye, kaamuktaa khoyee nahee hayee.

Mayn nahee soachtaa ki ik behtar maamla mil sakta haye, jahaan mahila shayar saanchay kay andar baythtee haye dunya ko apna zanaanaa muqaam dikhaanay, phir inkaar kartee haye saanchay ko band karnay say taaki wo us saanchay mayn dhal sakay.

Har ayk shayr mard taassub/purush poorvaagrah kay mutaabiq haye, aur radeef aur qaafiya har shayr ka purush sankalp ko chaknachoor kar marnasann gathree mayn badal dayta haye.

Jaysay ki shayar purush ahankaar ko lalsaa rahee aur phulaaa rahee haye, dheemay say sulaa rahee haye purush ko, sar qalam karnay ki kulhadee girnay say pahlay. ( Guillotine ayk sar qalam karnay ka yantr hua krta thaa puraanay zamaanay mayn, yahaan iska hindi lafz na milnay kay kaaran kulhadee likha haye sirf matlab pahunchaanay ki neeyat sa)

Ayk mahila shayar khatarnaak taur paur chatur ho sakti haye, jaysay ki yay alaamaat, " geet kay saath mujhay narmee say qatl karna"

Yay kisee ka maamlaa nahee ki mahila shayar kay paas sthaapit prathaa nahee. Wo khud hee maargnirmaataa haye.

Mahila shayar waqt kay aysay moad par haye ki wo jo kuch bhi karay, bhavishya prathaa ki reedh ki haddee bannay mayn iska yogdaan hoga.

Yay zaahir baat haye ki mahilka shayar ko ab puru-ling ya a-vishisht ling kay peechay chipnay ki zaroorat nahee.

Internet forums nay usay azaad kar diya haye. Ayk mahila shayar mukammal gumnaamee kay saath shayr likh saktee haye agar wo aysa chaahay tou. Wo chaahay tou naari ki nazar ko prabalit kar saktee haye aur purush ko vastu-nishth/ moort roop bnaa saktee haye meethay badlay mayn, aur bahenchaaray mayn pichlay tamaam honay walay shayayro kay liyay jo kabhie ban na sakee.

Wo chaahay tou koee mauzoo naa chunay, ya chaahay tou mard ko mauzoo chunay pichlay tamaam mard shayaraon kay vipreet jinhonay mauzoo ka mahila hona chunaa thaa.

Phir bhi jo bhi pasand/chunaao ho, yay taye haye ki wo bhi itihaas mayn jaayayngay, jaysay Ameer Khusro gaye hayn.

---------

* = this is not a frivolous ,irresponsible statement. this very site is

sittting on the most prime of internet real estate as to its feild and

scope. just think , with such an obvious name as 'shayri.com' where will

the future researcher start his research from? 200-400 years down the

line when a researcher starts his research on female shayars and the

female gaze, most probably they will start from this site. all of us

will be forgotten ,she will live in posterity.

----------------

* = yay koee chichora, ghayr-zimmedaarana bayaan nahee haye. Yay site khud internet ki azeem jaydaad par baythee haye , iskay kshaytr aur gunjaayesh kay liyay. Zara soachiyay, aysay spasht naam, 'shayri.com' kay saath, kis jagah say bhavishya ka researcher apna research shuru karaygaa? 200-400 saal baad, jab koee researcher apna research shuru karta haye mahila shayaraon aur naari nazar par, bayhad mumkin haye wo isii site say shuru karayga. Ham sab ko bhulaa diyaa jaayaygaa, aur wo jeevit rahaygee bhaavi peedhee mayn.

Sankshipkta ki khaatir , kuch kaal-kram mayn samjhauta kiya haye, laykin iska saar par farq nahee parhta.

Sammaan!

AHMAD HYDERABADI.
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#49)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
1st April 2013, 01:57 PM

Author:
Zidd Banarsi Jee

Translated by:

AHMAD HYDERABADI.
Thank You Sis, plz can u edit as highlighted in red.... will come back and post my views soon... in a hurry now...

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#50)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st April 2013, 01:58 PM

Ahmad bhai thanks a lottt for this translation.......

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#51)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st April 2013, 03:03 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Thank You Sis, plz can u edit as highlighted in red.... will come back and post my views soon... in a hurry now...
Really sorry bro. , but you will have to request to the mods of this forum, ...I am not the one......I cannot ...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#52)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
1st April 2013, 03:34 PM

ahmad bhai aadaab, isme koi do raaye nahi ki mujhse ziyada mehnat aapne ki hai..aur kya kamaal work hai.
kindly accept my thanks.
   
Reply With Quote
Old
  (#53)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st April 2013, 04:23 PM

Masha Allaah janaab........................ ise padh kar ek muhaawra yaad aa gaya...

Sone Pe Suhaaga.

shukriyaa aap dono bhaiyon ka... aapne bahot mehnat ki hai pathsahala me.. main SDC ke baaki members ki jaanib se bhi aap sab ka shukrguzaar hoon aur dil se mubaarakbaad deta hoon is nek kaam ke liye....

khush raheN..

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#54)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
1st April 2013, 07:04 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
ahmad bhai aadaab, isme koi do raaye nahi ki mujhse ziyada mehnat aapne ki hai..aur kya kamaal work hai.
kindly accept my thanks.
Aadaab Zidd Bhaee,

Bhaee Thank You aapka jo aap nay is nacheez ki himaqat ko na sirf bardaasht kiya balki isay saraaha bhi, jo kuch bhi , agar che, mehnat lagee, aapkay pasanad karnay sa maynay maanaa ki safal huee. Dar asal mayn is article par comment aur apni vies express karnay waalaa he tha ki I was rewarded the task of translating it. Therefore I restrained myself untill finishing it, coz that way I will have gained more deeper understanding of the gist of the article.

And what an article it is... a true literary time machine...... no doubt iskay compilation mayn aapnay kitnee mehnat kee haye, yay nasirf iski sheer length bataatee haye balki iski depth, coherence aur rendering of the message batateen hayn. Bhaeee in short its a post grad Paper ready to be published, just add the references and submit it for publication sir jee.

Am extremely thankful to you for bringin to us such an educating piece of work. May God reward you for your effort. Please accept my Thanks too Sir.

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#55)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
15th June 2014, 06:54 PM

Please continue this thread. .........

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#56)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
13th January 2015, 07:53 PM

Zidd Saahab, Ahmed Hyderabadi Saahab aur Zainy ji,
Adaab, Namaskar..!

Mere paas ilfaaz nahi aap saahebaan ka Shukriya adaa karne keliye.

I'm speechless.

Bas yehi duaa hai aap log hamesha tandrust, shaad aur aabaad rahein.

Mujh jaise naye logoN keliye toh jaise heeroN ki khaan haath lag gayi ho.

God Bless You, esteemed and revered Usaatza..

Aur ek iltijaa hai ke isko continue rakhein so that we could learn much more from these enlightening pieces of information, which i think, is indispensable for the upcoming shayars.

With profound regards.

Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#57)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
9th June 2015, 03:30 PM

Waaaaahh..kya kamaal ke thread par nazar padi hai...kash ki pahle hee ise padha hota maine..poora to nahi padh payi par jitna padha bas kamaal ki information hain...afsos ki itne hunarmand log sdc se door hain..ham jaison ki badnaseebi bhi hai ye..par un sabhi ki mehrbaniyon ke liye shukraguzar hoon..ki unhone ye thread yahaan post kiya...

Sabhi dost ise itminaan se padhein to bahut kuch seekh sakte hain isse....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com