Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: GHAZAL OF THE MONTH FEB'09 IS
Waqt ke Imtihaan se bada hota koi Imtihaan Nahi"BY EK GHAZAL(PURVI) 20 46.51%
kyon dhundhte rehte ho pure gaihaan main"BY NIHAR 12 27.91%
Dard bhari ik muskaan hun"BY PRANEETA 11 25.58%
Is haqeeqat se main anjaan nahin"BY FEZAN 11 25.58%
Kitne jazbai mehfooz hain insaa.n mai"BY REDTEARS_OCEAN (ALI) 17 39.53%
Tujhse milne ka kahin koi imkaan nahi miltaa"BY RASHID RAHIL 11 25.58%
Aye dil bata tu itna pareshaan kyun hai"BY LAMHA 14 32.56%
Multiple Choice Poll. Voters: 43. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal Of The Month Feb '09
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Ghazal Of The Month Feb '09 - 1st March 2009, 01:38 PM

Doston..ek baar phir main kuch bohat hi khoobsurat ghazalon ke saath hazir hoon,is mahine ke contest ke liye,mujhe ummid hai aap sabko ye saari ghazalein behad pasand aayengi...
is baar hamare doston ne khoob mehnat ki hai, in sab ki mehnat saaf nazar aa rahi hai..aayiye in ghazalon ko padhiye, aur inki hausla afzai kijiye.....ab aap in ghazalon ka maza lijiye..aur polling kijiye...




zainy




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 01:46 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted By:ek Ghazal (purvi)
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted By:ek Ghazal (purvi) - 1st March 2009, 01:47 PM

Waqt ke Imtihaan se bada hota koi Imtihaan Nahi
Jab jee chahe use rok sake aisa koi InsaaN nahi

Banti hai har marz ki dawa yun.H to zamane meiN
Milti ho dard-e-dil ki dawa aisi koi DukaaN nahi

Beithe hai har taraf Lu.Ntere kayi heejaboN meiN
Jahan main kuda se badhkar mera koi NighbaaN nahi

Har taraf sunayi deti bas mazhab kee hi baateiN
Sirf Insaaniyat ki baat kare aisi koi ZabaaN nahi

Nahi karte hum zaKhmo.n kii numaa_ish sare aam
Bin aansoon ke bayaaN ho aisi meri koi DaastaN nahi

Samajhaa hai zamaane ko ba.Dii muddat.oN ke baad
Sabr-e-gham sabhi bhoolade aisa koi PaimaaN nahi

Guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa
kahne ko to Zinda hai "Ghazal" baki koi Armaan nahi

EK GHAZAL(PURVI)




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:03 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted By:nihar
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted By:nihar - 1st March 2009, 01:49 PM

kyon dhundhte rehte ho pure gaihaan main
jab rehta hain khuda har dil-e- insaan main

nadan hai woh jo thukrate hai hasti e kudrat
kaun hai bhala biin khuda ka is jahaan main

hoon mai tere paas sada teri parchai banke
aaisa hi kuch likha hai pak -e-quraan main

maayus naa kar mujko tu yuh ruth ruth kar
khushi meri chiipi hain teri muskaan main

kami to nahi rakhi kisi chiiz ki zamane me
fiir kyon rehta hain har pal tu aHzaan main

Chamkege taqdeer ke sitare gardisho main
rakh thoda bharosa tu aapne yazdaan main

na ho ghum to khushiya kis kaam ki “Nihar”
khilta nahi koi gul bin kantak gulistaan main

meaning: gaihaan : - world / aHzaan :- sorrow , dukh / yazdaan : - god / gulistaan:- rose garden.


NIHAR




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:04 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted :by Praneeta
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted :by Praneeta - 1st March 2009, 01:50 PM

Dard bhari ik muskaan hun
Bebasi ki ik pahechaan hun

Khwaishen tooti kuch iss kadar
Aadhi adhuri ik armaan hun

Gile shikwen na kisi se
Khud se hi pareshaan hun

Kismat mein likhi sirf tanhaai
Mahefil-e-ishq se anjaan hun

Nibhata jaha rishte rasmon jaisi
Aur kaheta main baimaan hun

Wafa kar baithe bewafa se
Rabba main kitni nadaan hun

Na samjha yaha mujhe koi
Main ansuni ik dastaan hun

Lagti hai har shaey ajnaabi
Apne hi ghar mahemaan hun

Saasen leti hun aaj bhi
Jasbaaton se par bejaan hun

Mayusi se bikhar na jau
Main aakhir ik INSAAN hun


PRANEETA




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:07 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted: By Fezan
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted: By Fezan - 1st March 2009, 01:51 PM

Is haqeeqat se main anjaan nahin
Zinda rehna koi aasaan nahin

Inse tumko koi nuqsaan nahin
Sher lekin mere bejaan nahin

Haal-e-dil kisliye chhupate ho
Kaun duniya mein pareshaan nahin

Aaye jismei.n na kabhi daur-e-khiza.n
Aisa to koi gulistaan nahin

Ghairiyat usse na barto itni
Woh mera bhai hai mehmaan nahin

Tune bhukhe ko jo de di roti
Yeh tera farz tha ehsaan nahin

Dil mein armaan to baaqi hai.n magar
Jism mein khoon ka dauraan nahin

Khidmate khalq kare jo "Fezan"
Usse behtar koi insaan nahin


FEZAN




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:08 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted :by Redtears_ocean (ali)
Old
  (#6)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted :by Redtears_ocean (ali) - 1st March 2009, 01:52 PM

Kitne jazbai mehfooz hain insaa.n mai
Daikho is rang badalte jaahaa.n mai

roto.n ko hasa deta hai do pal ki rafaqat se
Misri si mithaas hai uski zubaa.n mai

khuddariyon ka paikar seh jaye har sitam
dhondo koi dusra humsa janha.n mai

Dosti ka hunar ise bahot khoob aaaye
Ban ke khoon dor.h jaye rag o jaa.n mai

Hazaron khwahishain mohtaaj-e-muqaddar
Is masoom chote se, dil ke makaa.n mai

khizaan,bahar ranj o hasi ya koi bhi mousam
tujhe akele ladna hai saare maidaa.n mai

Bijliyaan girti rahei.n aur giraie aur giraie
masroof hai woh bas tamer-e- ashiyaa.n mai

Iski fitrat mai hai ishq e mijaazi yaaro
Baste hain majnoo.n,farhaad ishq ki daasta.n mai

'ali' gunahgar sahi magar yeh baat samajh lo
kis qadar farq hai aadmi aur insaa.n mai


REDTEARS_OCEAN (ALI)




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:09 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted:by Rashid_rahil
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted:by Rashid_rahil - 1st March 2009, 01:53 PM

Tujhse milne ka kahin koi imkaan nahi miltaa
Teri aankhon mein pahle-sa wo armaan nahi miltaa

Bheed hi bheed hai jidhar bhi dekhtaa huN magar
Mujhe meraa khoyaa huaa karwaan nahi miltaa

HathoN mein jaimaalaa ho yaa gale mein ho taweez
YuN dhong karne se kabhi Bhagwaan nahi miltaa

Ye teraa shahar kyaa bas khudaaoN ka shahar hai
Main kab se dhundtaa huN koi insaan nahi miltaa

Chhup wo gayaa hai insaano ki haiwaniyat se darkar
Ab in gharoN mein koi shaitaan nahi miltaa


RASHID_RAHIL




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:09 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Ghazal Submitted : By Lamha
Old
  (#8)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Ghazal Submitted : By Lamha - 1st March 2009, 01:54 PM

Aye dil bata tu itna pareshaan kyun hai
Isi uljhan mai ghira har ek insaan kyun hai

Sach bolne ka tujhko bohat shokh hai jab
Aaina bana hai tau phir pareshaan kyun hai

Jab dost hai tau khanjar se bhi waar karega
Is baat pai tu itna hairaan kyun hai

Dekhega koi raah teri us paar bohat door
Is baat se waqif hai magar anjaan kyu hai

Wo mujh me kahi dhoond raha hai nakhuda
Kashti dubo raha hai tau pashemaan kyu hai

Behte hain samandar ki tarah sukoon se lekin
Phir dil mai utha har pal yeh toofaan kyu hai

Gale laga lo kisi dushman ko aur phir dekho
Mohabbat mai jeena is qadar aasaan kyu hai

Gar marasim kisi raah guzarte tooth bhi jaaye
Himmat na haar tu pareshaan meri jaan kyu hai

Yeh bhool-bhulayyo ki kahani hai zindagi
Itna tau samajh na samajh, nadaan kyu hai

Kyu phool ko khilne se woh shaqs rok raha hai
"Lamha"wo insaan hai tau bana haiwaan kyu hai


LAMHA




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st March 2009 at 02:10 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
3rd March 2009, 06:30 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Dard bhari ik muskaan hun
Bebasi ki ik pahechaan hun

Khwaishen tooti kuch iss kadar
Aadhi adhuri ik armaan hun

Gile shikwen na kisi se
Khud se hi pareshaan hun

Kismat mein likhi sirf tanhaai
Mahefil-e-ishq se anjaan hun

Nibhata jaha rishte rasmon jaisi
Aur kaheta main baimaan hun

Wafa kar baithe bewafa se
Rabba main kitni nadaan hun

Na samjha yaha mujhe koi
Main ansuni ik dastaan hun

Lagti hai har shaey ajnaabi
Apne hi ghar mahemaan hun

Saasen leti hun aaj bhi
Jasbaaton se par bejaan hun

Mayusi se bikhar na jau
Main aakhir ik INSAAN hun


PRANEETA
superb wording.........!!!!

kash main sabko vote kar pata


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
3rd March 2009, 06:32 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Aye dil bata tu itna pareshaan kyun hai
Isi uljhan mai ghira har ek insaan kyun hai

Sach bolne ka tujhko bohat shokh hai jab
Aaina bana hai tau phir pareshaan kyun hai

Jab dost hai tau khanjar se bhi waar karega
Is baat pai tu itna hairaan kyun hai

Dekhega koi raah teri us paar bohat door
Is baat se waqif hai magar anjaan kyu hai

Wo mujh me kahi dhoond raha hai nakhuda
Kashti dubo raha hai tau pashemaan kyu hai

Behte hain samandar ki tarah sukoon se lekin
Phir dil mai utha har pal yeh toofaan kyu hai

Gale laga lo kisi dushman ko aur phir dekho
Mohabbat mai jeena is qadar aasaan kyu hai

Gar marasim kisi raah guzarte tooth bhi jaaye
Himmat na haar tu pareshaan meri jaan kyu hai

Yeh bhool-bhulayyo ki kahani hai zindagi
Itna tau samajh na samajh, nadaan kyu hai

Kyu phool ko khilne se woh shaqs rok raha hai
"Lamha"wo insaan hai tau bana haiwaan kyu hai


LAMHA
mindblowing....................!


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
3rd March 2009, 06:33 PM

Yaar abhi mujhe samajh nai aa raha hai ki main kiski tareef karoon,

everybody is ek se badhkar ek ..... mindblowing

Yaar mujhe bhi sikhna hai ..... koi mujhe bhi sikhao gazal likhna


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
3rd March 2009, 07:01 PM

Quote:
Originally Posted by Fathomless View Post
superb wording.........!!!!

kash main sabko vote kar pata

shaan saheb.....is thread per multiple voting allowed hai , matlab you can give your vote to more than one member, infact you can even give your vote all the participants of this contest................

zainy




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
All the best
Old
  (#13)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up All the best - 4th March 2009, 11:40 AM

hmmmm.............kya baat hai, sabhi ne bahut umda likha hai....kisi ek ko perfect kahna bahut hiiiiiiii mushkil hai......

Chaliye phele sabhi apne apne GURU JI ka naam batao....mujhe bhi aap logo.n ke guru ji se bahut kuch seekhna hai....

sach jaaniye hamari SDC aaap jaise......Heero.n (umda shayro.n) ki khaan hai....mujhe es baat ka maan hai ki main bhi es pariwaar ki ek adna si member hoon....!

hamari subh-kaamnaye aap sabke saath haiN.....bhagwaan ji aap sab ko aur accha likhne ka housla deN.

duao.n ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#14)
stillalive
Guest
 
Posts: n/a
4th March 2009, 04:58 PM

all r superb... no doubt... god bless u..and best of luck to all....
ye sher aap sabke ke liye..mujhe poori tarah yaad nahi...koi galti ho to maaf karna..plzzzz
girte hain sipaahi aksar jung e maidaan mein
wo girega kya jo ghutno ke bal chaley

nm
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
4th March 2009, 05:25 PM

Quote:
Originally Posted by stillalive View Post
all r superb... no doubt... god bless u..and best of luck to all....
ye sher aap sabke ke liye..mujhe poori tarah yaad nahi...koi galti ho to maaf karna..plzzzz
girte hain sipaahi aksar jung e maidaan mein
wo girega kya jo ghutno ke bal chaley

nm


girte haiN sheh sawar hi maidaan-e-jung meiN
woh t^ifl kiya gire jo ghuTnooN ke bal chale
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#16)
stillalive
Guest
 
Posts: n/a
4th March 2009, 05:27 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post

girte haiN sheh sawar hi maidaan-e-jung meiN
woh t^ifl kiya gire jo ghuTnooN ke bal chale
thanks mujeeb ji mujhe thi karne ke liye..thanks a lot..
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Tahir kkkhan
A SOUL OF LOVE
Tahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to beholdTahir kkkhan is a splendid one to behold
 
Tahir kkkhan's Avatar
 
Offline
Posts: 698
Join Date: Aug 2008
Location: jaipur
Rep Power: 23
5th March 2009, 02:25 PM

Quote:
Originally Posted by stillalive View Post
all r superb... no doubt... god bless u..and best of luck to all....
ye sher aap sabke ke liye..mujhe poori tarah yaad nahi...koi galti ho to maaf karna..plzzzz
girte hain sipaahi aksar jung e maidaan mein
wo girega kya jo ghutno ke bal chaley



nm

bade bhai agar apko bura na lage toh mein aapke is sher ko theek ker deta hai

Seh savaar hi girte hai maidaan-e-jung mein,
woh tifl kya ladenge jo ghutno k bal chle...................nm

beshak sabhie na yaha bahut achcha qalaam paish kiya,mein ummeed kerta hu ki aap sab log isi tarah se mil ker aur apni umda ghazal'o ko yaha post ker ker ZAINY saheba ki hosla afzaai karein,k unhone yaha is compition ki shuraat ker k aap sabko humse rubaru hone ka mauka ferhaam kiya................fe amaan allah, k
khuda haafiz
kkkhantahir


shayer mit jaate hain jahaa se magar unka qall fanaah nahi hota,
Tanhaai bhie tanha hoti hain magar,TAHIR tanha nahi hota................./
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Ritu18525
Registered User
Ritu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud of
 
Ritu18525's Avatar
 
Offline
Posts: 839
Join Date: Sep 2008
Location: India
Rep Power: 30
5th March 2009, 03:53 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Is haqeeqat se main anjaan nahin
Zinda rehna koi aasaan nahin

Inse tumko koi nuqsaan nahin
Sher lekin mere bejaan nahin

Haal-e-dil kisliye chhupate ho
Kaun duniya mein pareshaan nahin

Aaye jismei.n na kabhi daur-e-khiza.n
Aisa to koi gulistaan nahin

Ghairiyat usse na barto itni
Woh mera bhai hai mehmaan nahin

Tune bhukhe ko jo de di roti
Yeh tera farz tha ehsaan nahin

Dil mein armaan to baaqi hai.n magar
Jism mein khoon ka dauraan nahin

Khidmate khalq kare jo "Fezan"
Usse behtar koi insaan nahin


FEZAN
fezan ji,
bahut umda likha hai aapne,
aapke puri gazal ka ek ek alfaaz mujhe bahut pasand aaya.
bahut bahut duao.n ke sath
tc
ritu


"Life laughs at you when you are unhappy...
Life smiles at you when you are happy..
But,
Life salutes you when you make others happy!!"
# Feel The Difference #
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Ritu18525
Registered User
Ritu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud of
 
Ritu18525's Avatar
 
Offline
Posts: 839
Join Date: Sep 2008
Location: India
Rep Power: 30
5th March 2009, 04:01 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Aye dil bata tu itna pareshaan kyun hai
Isi uljhan mai ghira har ek insaan kyun hai

Sach bolne ka tujhko bohat shokh hai jab
Aaina bana hai tau phir pareshaan kyun hai

Jab dost hai tau khanjar se bhi waar karega
Is baat pai tu itna hairaan kyun hai

Dekhega koi raah teri us paar bohat door
Is baat se waqif hai magar anjaan kyu hai

Wo mujh me kahi dhoond raha hai nakhuda
Kashti dubo raha hai tau pashemaan kyu hai

Behte hain samandar ki tarah sukoon se lekin
Phir dil mai utha har pal yeh toofaan kyu hai

Gale laga lo kisi dushman ko aur phir dekho
Mohabbat mai jeena is qadar aasaan kyu hai

Gar marasim kisi raah guzarte tooth bhi jaaye
Himmat na haar tu pareshaan meri jaan kyu hai

Yeh bhool-bhulayyo ki kahani hai zindagi
Itna tau samajh na samajh, nadaan kyu hai

Kyu phool ko khilne se woh shaqs rok raha hai
"Lamha"wo insaan hai tau bana haiwaan kyu hai


LAMHA
hi lamha...
kaisi ho?
main taareef karne me.n bahut kanjusi karti hoon,
sab jaante hain.............par aaj tumhari gazal ne alfaazo.n ko khamosh kar diya.
bahut umda likha hai tumne.....
aur tumhare liye aur sabhi ke liye jinhone apni gazal yaha post ki hain,
ek chota sa she'r kehna chahungi aap sabhi se,

"na ho pareshan ke teri duao.n ka sila nahi milta
Dil se maango to vo khuda kya na dega"

bahut bahut duao.n ke saath
ritu


"Life laughs at you when you are unhappy...
Life smiles at you when you are happy..
But,
Life salutes you when you make others happy!!"
# Feel The Difference #
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
5th March 2009, 08:27 PM

Quote:
Originally Posted by Ritu18525 View Post
hi lamha...
kaisi ho?
main taareef karne me.n bahut kanjusi karti hoon,
sab jaante hain.............par aaj tumhari gazal ne alfaazo.n ko khamosh kar diya.
bahut umda likha hai tumne.....
aur tumhare liye aur sabhi ke liye jinhone apni gazal yaha post ki hain,
ek chota sa she'r kehna chahungi aap sabhi se,

"na ho pareshan ke teri duao.n ka sila nahi milta
Dil se maango to vo khuda kya na dega"

bahut bahut duao.n ke saath
ritu

hiiiiiiii RITU.....kaise ho aap??...bahut dino baad dikhayi diye ho....i hope everything is fine....
meri is koshish ko pasand karne ke liye shukriya....aapne itni taarif kar di ,mai to jeet hi gayi.....bas yuhi apna saath banaye rakhiyega......


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#21)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
6th March 2009, 10:32 PM

sabhee dostoN ne bahot hi achchaa liKhaa haii.. aur sab ki mehnat saaf-saaf naZar aa rahiiN haii .. sabhee dostoN ko merii aur se daad-o-mubaaraQbaad!


duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
fezan
Registered User
fezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud of
 
fezan's Avatar
 
Offline
Posts: 835
Join Date: Jul 2008
Location: Shehr-e-Adab
Rep Power: 26
9th March 2009, 09:57 AM

Quote:
Originally Posted by Ritu18525 View Post
fezan ji,
bahut umda likha hai aapne,
aapke puri gazal ka ek ek alfaaz mujhe bahut pasand aaya.
bahut bahut duao.n ke sath
tc
ritu
Ritu ji,

Qadrdani ke liye bahot bahot shukriya
Kaisi hain aap
Apna khayal rakhhen
Duaon ke saath,

apka dost
Fezan


.
.
.
Koi Aisa Kamaal Ho Jaye
Zindigi Be-Misaal Ho Jaye
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th March 2009, 10:29 AM

last day of voting friends.....maine apna vote de diya.......kya aapne diya?????..




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#24)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
15th March 2009, 01:01 AM

........................................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#25)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
18th March 2009, 12:58 PM

Subhan allah ..

koi bhi kam hai hi nahi ........ ise kehte hai muqabla... jeetne waale ko mubarak keh chuka hun.. bas itna zaroor hai ki mujhe to sab bohat acche lage

Kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal of the Month Mayank Shayri-e-Dard 25 19th June 2007 11:32 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com