Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Duaa
Old
  (#1)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Duaa - 2nd November 2011, 09:07 PM



Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
2nd November 2011, 11:02 PM

Shayri.Com MeN Tahe Dil Se SwaagaT Hai

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi
Waah ! Ahmad Sahab !! Bahut Hii KhoobSurti Duaa Hai ... !

Behad RawaaN DawaaN ... Umdaa Ghazal Hui ... Janaab !!

Laajawaab Andaaz ... BehteeN Peshkash ... !!!

Dilee Daad O Mubaaraqbaad ... !!!




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
3rd November 2011, 02:55 PM

Tasleemaat Janaab Mehra Sahab,
Aapke isteqbaal ka ye nacheez behad mashkoor o mamnoon hai. Itnee ta'reef shayad ye khaaksaar bardaasht na kar paaye. Buhat buhat mamnoon hain aapki nawazish o inayat kay! Pehli baar humari kawish per kisine daad ataa fermayee aur wo bhi itnay aalatareen Shayar ne. Dil baagh baagh ho gaya! Behad shukrguzaar hain aapkay!

Thanks
Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
4th November 2011, 03:54 PM

Bahut khoobsurat duaa hai, Ahmad Ji...!

Khudaa Ji aap ko duaa ko qabuul kareiN, Unn se hamari prarthna hai...!

Daad aap qabuul kareiN

DuaaoN ke saath



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
4th November 2011, 06:54 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

yeh khyaal acha hai...magar bayaani nahin

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

hmm...adaavat jo karte hai woh shareef bhi ho sakte hai bhai..shareef kyun adaavat nahi kar sakte???

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

??? samjh nahi aayaa

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

kaantoeN ko nazaakat ki kyaa zaroorat hai bhalaa?

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!

yeh bhi soch achi hai..bayaani nahi

.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi
Ahmad bhai..

achi koshish hai...aapka radeef acha hai..aur aapke vichaar bhi (matlab jo kehnaa chaah rahe ho..magar saaf nahi).ek baat bataana chaahta hun..jitna mujhe ilm hai..waise zyaada kuch hai nahi kehne ko bas itna ki..

aapka radeef hai "aise tu hum ko day maulaa" to aapne matle meiN "ko lay maulaa" likha hai jo technically galat hai..ek aur jagah bhi galti ki hai.."aisi na hum ko..."

bhai meri koi baat ka buraa mat lagaana..mera maqsad aapse aur achi ghazal likhwaana hai..god bless u..aage bhi aapko padhna chahunga..

gar kuch na pasand aaya ho to mauf kar dijiyega

aapka dost,
Pradhyuman


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th November 2011, 07:39 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi

Waah Ahmed saahab... Kamaal ki hamd likhii hai aapne.. Dil ke saare Gham reza reza hokar bas khudaae paaaq ki parastish me bich gaye.... behad Roohani taseer liye hue tahreer hai... Subhan Allah... Daad aur Mubaarakbaad aaapkee Nazar karta hooN... Qabool Farmaaaiyega..

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
4th November 2011, 10:49 PM

Ahmad Bhaa'ii:

salaam !!

Shayri Parivaar meiN swaagat haii... dil-kaSh koShiSh aur umdaah andaaz-e-bayaan !! yuuNhi bazm ki raunaq baDhaate raheN aage bhee!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
5th November 2011, 01:47 AM

AAMEEN..........Subhan_Allah mere bhai.


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#9)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
5th November 2011, 12:57 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi

achy duayeN hai.. ahmad sahab. aur duaoN mai kabhi koe kami ho hi nahi sakti hai

aapki duaayeN kabool ho... ye meri duaa hai
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
7th November 2011, 05:24 PM

Salaam Alaikom Dosto,
Main aap sab ki maazrat ka taalib hoon ghayr haazree kay liyay aur takheer kay liyay. Maiyn aap sab ko INSHAALLAH anqareeb shukriya kahungaa ek ek kar. Filhaal is khaaksaar ki jaanib se jama' Shukriyaa qabool farmaayn!

Thanks
Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
18th November 2011, 06:00 AM

Quote:
Originally Posted by Pradhyuman View Post
Ahmad bhai..

achi koshish hai...aapka radeef acha hai..aur aapke vichaar bhi (matlab jo kehnaa chaah rahe ho..magar saaf nahi).ek baat bataana chaahta hun..jitna mujhe ilm hai..waise zyaada kuch hai nahi kehne ko bas itna ki..

aapka radeef hai "aise tu hum ko day maulaa" to aapne matle meiN "ko lay maulaa" likha hai jo technically galat hai..ek aur jagah bhi galti ki hai.."aisi na hum ko..."

bhai meri koi baat ka buraa mat lagaana..mera maqsad aapse aur achi ghazal likhwaana hai..god bless u..aage bhi aapko padhna chahunga..

gar kuch na pasand aaya ho to mauf kar dijiyega

aapka dost,
Pradhyuman
Tasleemaat Janaab Pradhyuman Sahab!
Bhaee sabsay pahlay aapka dilee shukriaa. Wujoohaat kaee hayn iski(yaani shukriya kee).
Pahlee kee aap nay is nacheez kay kalaam par nazr_e_inayat farmaayi, doojee kay aap nay 'waqt' jo aajkal kay zamanay mayn anmol shaey hai, usay ataa kiya mayree is adna see koshish par. Phir sonay per suhaaga aapnay apni raaye ataa kee aur chamchamatee huee roshnee_e_ilm hamaray kalaam per daali jissay saaray andhayray koanay saaf numayan hogayay hayn.

Do teen cheezayn apni mayn aapkay saamnay rakhna chahoonga.....

Nuqta numbar ek.
Ye meri pahli kavish hay aur haqeeqatan yay koi ghazal nahee hay bas ek duaa ba_shakl ghazal hai.
NuqtaNumbar Do.
Hidaayat amal kee tu hamko day Maula,
Nazdeek apnay tu hamko lay Maula!

Mujhay nishaandayhee kejay pahlay shayr mayn bayaani kahaan saaf nahee hai.
Mera matlab is shayr mayn yahi hai kee
Ya rab hamayn amal (nayk a'maal) kee hidaayat day..(amal is liyay kee baatein to nayki kee sab_hee kartay hayn laykin jab uspar amal ki baat aatee hai tab aksar loag peechay hath jaatay hayn).
Nazdeek apnay tu hamko lay Maula say muraad yay kee Ya Rab apnay qareeb lay taa kee ham mahfooz rahayn aur terii rahmatoan kay saayay mayn aajaaen.

Nuqta numbar teen.
Adaavat kisee say na ham karnay paayaen,
Sharaafat AYSEE tu hamko day Maula!

Qibla hamnay aysa hargiz nahee kahaa kay shareef loag adavat nahee kar saktay...bas Rabb_e_Kareem say 'aysee' sharaafat kee iltejaa kee hai jisskay fazl say ham kisee say bhee adaavat na karnay paaen.

Nuqta numbar Chaar.
Himaaqat mayn joothi jo khudko mitaaye,
Halaakat aysee na hamko day Maulaa!

Yahaan bas itnee duaa hai Rab say kee hamayn aysee halaakat say mahfooz rakh jismay ham joothi himaaqat mayn aakar khudko fanaa karlayn. Yaani hamayn ana, mayn, takabbur wa gharoor in cheezon say mahfooz rakh. Yahaan mayn maanta hoon shayad mera yay shayr saaf bayaani se bohat door raha ho. Par har shaqs ka nazariya mukhtalif hota hai aur yay hargiz zaroori nahee kay jo mayn ya koee aur daykh raha ho wahi sab_hee ko nazar aata ho.

Nuqta numbar Paanch.
Salaamat rahayn hamsay phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu hamko day Maulaa!

Yahaan aap nay bajaa farmaaya..bayshak kaantaon ko nazaakat ki koee zaroorat nahee..

Ham aapki raay ko tasleem kartay huay apnay shayr kay kantaon ko kaliyon mayn tabdeel kar daytay hayn.

Salaamat rahayn hamsay phool aur kaliyaan,
Nazaakat aysee tu hamko day Maulaa!

Nuqta numbar Chaye.

Jahaalat hamaree sabhee doo karday,
Bashaarat aysee tou hamko day Maulaa!

Yahan Rab say yahee duaa hai kee hamayn aysee bashaarat( Vision, it also means Glad tiding or good news) say nawaaz jo hamaaree tmamaam jahaalat( laa ilmi) ko door karday. Shaayad ham nakaam rahay yay baat safayee say bayaan karnay mayn.

Bahr haal Janaab Pradhyuman Sahab, ham aap kay mamnoon hayn. Behad khushee huee jo aap nay bilaa jhijak hamayn apni rahnumaai say nawaaza. Aap hamayn apni friend list mayn add karlayn agar munaasib samjhayn tou, khaaksaar ko buhat khushee hogee.

Mujhe pataa thaa mera jawaab kafee wasee hoga aur iskay liyay mujhay sahee waqt nahee mil sakaa, yahee wajeh hai takheer_e_jawaab kee. Duaa hai Rab say kee aap nay is takheer ka bura nahee maana ho.
Khuda_e_paak say duaa hai aapkay ilm mayn aur bhi barkat ataa farmaayay aur wo aapko khush o abaad rakhay!

Thanks
Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
18th November 2011, 09:43 AM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi
aadaab ahmad saheb,

mashallah! kya baat hai....bahut khoobsurat duaa hai, mujhe behad pasaNd aaya aapka ye qalaam....
meri janib se daad haazir hai qubuul farmaaiyega...

mukhlis,
vikram 'mast'


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#13)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
18th November 2011, 12:15 PM

Janab AHMAD Ji..........! Boht Achi Koshish Lagi Aap Ki....... Dua Ke Alfaaz Bhi Khoob Hain...... ALLAH PAAK Ye Dua Qabool Farmaye...... Yunhi Likhtay Rahen Or Mehnat Kartay Rahen......... ALLAH PAAK Aap ko Sada KHush Rakhay




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
18th November 2011, 03:23 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post


Hidaayat amal kee tu ham ko day Maulaa,
Nazdeek apnay tu ham ko lay Maulaa!

Adaavat kisee say na ham karne paayain,
Sharaafat aysee tu ham ko day Maulaa!

Himaaqat mayn joothi jo khud ko mitaaye,
Halaakat aysee na ham ko day Maulaa!

Salaamat rahayn ham say phool aur kaantay,
Nazaakat aysee tu ham ko day Maulaa!

Jahaalat hamaari sabhee duur kar day,
Bashaarat aysee tu ham ko day Maulaa!


.................................................. ...................
Ahmad Hyderabadi
ahmad bhai ,aadab .bahut khoob.bahut accha likha hai.mubaraqbad
   
Reply With Quote
Shukriya!
Old
  (#15)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Shukriya! - 23rd November 2011, 01:27 AM

Quote:
Originally Posted by Amanush... View Post
Bahut khoobsurat duaa hai, Ahmad Ji...!

Khudaa Ji aap ko duaa ko qabuul kareiN, Unn se hamari prarthna hai...!

Daad aap qabuul kareiN

DuaaoN ke saath


Tasleemaat Janaab Amaanush Sahab,
sabsay pahlay khaaksaar aapko is bazm mayn khushaamdeed kehta hai!

Aap ki nawazish_e_daad aur khuloos hamaray qalb ko choo gayaa! Buhat inaayat aapkee! Darkhwast hay aapsay aagay bhee yoonhee nazray inaayat ataa kartay rahayn!



Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Waah Ahmed saahab... Kamaal ki hamd likhii hai aapne.. Dil ke saare Gham reza reza hokar bas khudaae paaaq ki parastish me bich gaye.... behad Roohani taseer liye hue tahreer hai... Subhan Allah... Daad aur Mubaarakbaad aaapkee Nazar karta hooN... Qabool Farmaaaiyega..

Shaad...
As Salaam Alaikom Sameer Saahab. Khushaamdeed.

Tashreefawaari kay saath saath duaaon wa mubarakbaad kay liye shukarguzaar hoon aapka! Umeed hai aapse yunhi bazm_eKhaaksaar ki izzatafzai kartay rahayngay!

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Ahmad Bhaa'ii:

salaam !!

Shayri Parivaar meiN swaagat haii... dil-kaSh koShiSh aur umdaah andaaz-e-bayaan !! yuuNhi bazm ki raunaq baDhaate raheN aage bhee!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval
Walakim Salam Dhaval Bhaee!Khushaamdeed!

Aaap kee aamad per dil ko jo masarrat aur khushee hasil huyee wo alfaaz mayn bayaan karna mushkil hai. Aapkee aamad aur isteqbaal ka bayhad shukarguzaar hoon. Darkhwast hai aapsay yoonhi tashreef laatay rahayn. Duagoh hoon aapki khair wa aafiyat kay liyay.


Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel View Post
AAMEEN..........Subhan_Allah mere bhai.
As Salaam Alaykom Sajid Bhaee! Khushaamdeed!
Aapko yahaan dekh dil baagh baagh hogaya! Allah Pak aapko Jaza_e_khayr day! Ameen! Meherbani kar yunhi aatay rahyega!


Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
achy duayeN hai.. ahmad sahab. aur duaoN mai kabhi koe kami ho hi nahi sakti hai

aapki duaayeN kabool ho... ye meri duaa hai
Aadaab Janumanu Bhaee! khushaamdeed.

Aaapki bareekbeeni kay ham qayal hogayay! Bay_inteha shukrguzaar hoon aapkay tashreef laanay aur duaon par. Masarrat huyee aapko yahaan daykh.

Quote:
Originally Posted by vikramjethi View Post
aadaab ahmad saheb,

mashallah! kya baat hai....bahut khoobsurat duaa hai, mujhe behad pasaNd aaya aapka ye qalaam....
meri janib se daad haazir hai qubuul farmaaiyega...

mukhlis,
vikram 'mast'
Aadaab Vikram Jethi Sahab! Khushaamdeed!

Aapki pur khuloos pazirai aur tahreef awari ka banda bayhad shukarguzaar hai. Nawaazishay daad sar aankhon par janaab. Ilteja hay aapsay yoon hee saath banaye rakhayn!



Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post
Janab AHMAD Ji..........! Boht Achi Koshish Lagi Aap Ki....... Dua Ke Alfaaz Bhi Khoob Hain...... ALLAH PAAK Ye Dua Qabool Farmaye...... Yunhi Likhtay Rahen Or Mehnat Kartay Rahen......... ALLAH PAAK Aap ko Sada KHush Rakhay

As Salam Alykom Ahmad Shakil Sahab! Khushaamdeed!

Koshish ko sarahnay aur duaon ka bandaa bayhad mashkoor wa mamnoon hay. Aapko apni bazm mayn daykh badee masarrat huyee. Aainda bhi is bazm_e_khaaksaar mayn tashreef laatay rahayn!


Quote:
Originally Posted by uff ak View Post
ahmad bhai ,aadab .bahut khoob.bahut accha likha hai.mubaraqbad
Aadaab Uff Ak Sahab! Khushaamdeed!

Tashreef lanay aur nawazishay daad kay liye mayn aapka bayhad mashkoor hoon. Darkhwast hay aapsay Yoonhi saath banayay rakhayn.


Ek baar phir say mayn aap sab ko dili shukriya kahta hoon aur duagoh hoon Allah paak say aap sab ko khush o khurram rakhay!


Thanks
Ahmad

Last edited by Ahmad Hyderabadi; 23rd November 2011 at 01:32 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
kabhi kabhi
Registered User
kabhi kabhi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Oct 2011
Location: hyderabad, india
Rep Power: 0
23rd November 2011, 09:10 PM

ahmed bhai subhanallah!!!
behtereen dua hai, ALLAH TAA'LA ye dua aapke aur hum sab ke haq me qabool kare ameen....
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
jat_in_mood
eK Dost !!
jat_in_mood is just really nicejat_in_mood is just really nicejat_in_mood is just really nicejat_in_mood is just really nicejat_in_mood is just really nice
 
jat_in_mood's Avatar
 
Offline
Posts: 278
Join Date: Mar 2004
Location: Muscat, Oman
Rep Power: 25
24th November 2011, 12:45 AM

salam ahmad bhai !!
humne aapki ye dua padhi jo waqai bahot khoobsoorat lagi , aur daad dene ke liye scroll down kiya to aapne jo usko jo explain kiya hai wo bhi padha ...
Mai sach kahu to aapki wo baat bilkul sahi lagi ki har kisi ki apni soch ho sakti hai, hum kuch aur soch kar likhte hain aur padhne wala kisi aur soch se usko le leta hai ...
Aur bhaijaan Kaanto ko kaliyo mein badalne ki jaroorat hi nahi ... Agar meri hi soch se kahu to maine usko aise liya tha ki, duniya mein har tarah ke log hai , achhe log (phool) aur kuch tedhe log (kaante), Un sabhi ko humse koi shikayat na ho bas yehi dua hai ...

Aapka likha mujhe behadh pasand aaya to daad qubool kijiye :-)
Khuda haafij !!


♪~!*DeeP*!~♪
------------------------------------
Men may come , Men may go .. But i will go on forever ... :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
30th November 2011, 12:04 AM

Quote:
Originally Posted by kabhi kabhi View Post
ahmed bhai subhanallah!!!
behtereen dua hai, ALLAH TAA'LA ye dua aapke aur hum sab ke haq me qabool kare ameen....
As Salamalykom Kabhie Kabhie Bhaee!
Khushaamdeed! ThummaAmeen!
Tashreef laanay aur dua mayn saath daynay ka bayhad shukria mere bhaee! Yoon hee saath daytay rahayn ilteja hay aap say! Aap Hyderabad mayn kahan par muqeem hayn?

Duagoh
Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
30th November 2011, 12:10 AM

Quote:
Originally Posted by jat_in_mood View Post
salam ahmad bhai !!
humne aapki ye dua padhi jo waqai bahot khoobsoorat lagi , aur daad dene ke liye scroll down kiya to aapne jo usko jo explain kiya hai wo bhi padha ...
Mai sach kahu to aapki wo baat bilkul sahi lagi ki har kisi ki apni soch ho sakti hai, hum kuch aur soch kar likhte hain aur padhne wala kisi aur soch se usko le leta hai ...
Aur bhaijaan Kaanto ko kaliyo mein badalne ki jaroorat hi nahi ... Agar meri hi soch se kahu to maine usko aise liya tha ki, duniya mein har tarah ke log hai , achhe log (phool) aur kuch tedhe log (kaante), Un sabhi ko humse koi shikayat na ho bas yehi dua hai ...

Aapka likha mujhe behadh pasand aaya to daad qubool kijiye :-)
Khuda haafij !!
Tasleemaat Deep Saaab!
Khushaamdeed!
Aapki raay say mayn sau feesad muttafiq hoon. Dar asal liktay waqt mayray zahan mayn yahee qayaal aaya aur yahee wajah thee kay phool aur kaliyon ki jagah originally phool aur kaantay likha tha. Par janab Pradhyumaan bhaee ka bhee nuqta ghalat nahee bayaani say mutalliq. SUBHANALLAH aapki feraasat par!
Aamad,pasandeedgee aur nawazish kay liyay mamnoon wa mashkoor hoon!

ilteja hay aapsay yoon hee saath daytay rahayn!

Duagoh
Ahmad
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com