Quote:
Originally Posted by mdkamran
Ek dard - e - mustaqil ki humein bhi talaash thi
Achchha hua jo ab aapse mulaqaat ho gayi
-----------------------------------------------------------------------------
Ek do zakham he nahi sara jism he chhalni hai
Dard becharaa paresha'n hai kahan kahan se uthu'n
-----------------------------------------------------------------------------
Dard kya hai
Dard dua hai
Dard dawa hai
Dard maza hai
Dard saza hai
Dard sada hai
Dard wafa hai
Dard jafa hai
Dard pyar hai
Dard intezar hai
Dard inkar hai
Dard sukun hai
Dard junoon hai
Dard inteha hai
Dard mera karobar hai
Dard mera qaraar hai
|
Kamran miya ko AnjAAn ka aadab.
Bhai jaisa ki aapne humse islah ki baat kahi thi so banda aapki mehfil mein haazir hai. Jitni meri samajh hai or ek naye shayar ko kaha se shuru karna chahiye, usi hisab se aapke aashaar o khayal par gaur farmana chahunga
Bhai 'qabil e mustaqil' ye lafz hum par khul nahi saka. Jara bataane ki zahmat uthayenge.
Aapka doosre sheyr ke liye kya kahu? Behad umda khayaalat pesh kiye hain. Aashar bhi utne hi masoom chune hain. Daad qabool kijiyega.
Nice keep it up