Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek pal aayee nazar ghoonghaT se soorat aap ki
Old
  (#1)
Bhrung
Registered User
Bhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really nice
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 0
Ek pal aayee nazar ghoonghaT se soorat aap ki - 5th April 2013, 01:01 PM

एक पल आयी नजर घूँघट से सूरत आप की
यह हवा का खेल था या फिर इनायत आप की?
Ek pal aayee nazar ghunghat se soorat aap ki
Ye hawa ka khel tha ya phir inaayat aap ki

चैन छीने, नींद भी छीने मुहब्बत आप की
सोचता हूँ, क्या बला होगी अदावत आप की
Chain chheeney, neend bhi chheeney muhabbat aap ki
Sochta hoon, kya balaa hogi adaavat aap ki

कम न थे पहले ही मसलें दीन-ओ-जान-ओ-माल के
इस पे जाहिर हो गयी दुनिया पे सोहबत आप की
Kam n they pehle hi maslein deen-o-jaan-o-maal ke
Is pe zaahir ho gayee duniya pe sohbat aap ki

जंग खेली थी यह हमने हारने के वास्ते
जी, हमें मंजूर है दिल पे हुकूमत आप की
Jung khelee thi ye humne haarne ke vaasate
Jee, humein manzoor hai dil pe hukoomat aap ki

पहले सोचा, आप का दीदार सुबहोशाम हो
फिर खयाल आया कि लग जाए न आदत आप की
Pehle sochaa, aap ka deedaar subah-o-sham ho
Phir khayal aaya ki lag jaaye n aadat aap ki

इक जरा झोंका हवा का छू गया क्या आप को
इस तरह सिमटी कि हो खतरे में इज़्ज़त आप की
Ik jaraa jho(n)ka hawa ka chhoo gaya kya aap ko
Is tarah simTee ki ho khatre mein izzat aap ki

आप के दर पे खड़े हैं हाथ फैलाए हुए
यह दुवा दे दो, "रहे जोडी सलामत आप की"
Aap ke dar pe khaDe hain haath phailaaye hue
Ye dua de do, "Rahey joDee salaamat aap ki"

लाख दामन को बचाया, फिर भी मैला हो गया
देर से जाना, 'भँवर', खोटी है नीयत आप की
Laakh daaman ko bachaayaa, phir bhi mailaa ho gaya
Der se jaanaa, 'Bhanwar', khoTee hai neeyat aap ki
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
8th April 2013, 03:31 PM

Bhurang Jee Aadaab!



WaaH waaH waaH janab waaH kya baat hai badi hi khoobsurat kalaam kahi hai aapne....
Behad gazab ke ahsaas O khayaal aur umdaa adaygi rahi...

Sabhi ashaar bade hi khoob rahe janab... Is khoobsurat aur umdaa kalaam par meri
HazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...



Likhate rahiye.... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...
  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Bhrung
Registered User
Bhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really nice
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 0
10th April 2013, 09:07 AM

Bahot shukriya, Kwahish sahaab.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th April 2013, 09:11 AM

wwaaahhh janaab bahot khhoob.. kya andaaz hai zaaalim ke ghungaht kaa...

bahot khoobsurti se pehli muhabbat ki jhalak ko aapne lafzon me dhaala hai..

Daad qubool kijiye, likhte rahiye

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sahil Syed
Meesam
Sahil Syed has a spectacular aura aboutSahil Syed has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 0
11th April 2013, 06:59 AM

Bohot khoob janab!

Bhanwar shayad aapka taqallus hoga.
Aapna ta'arruf karwaayenge???


~Iss shayari ki bazm mein Misum yeh dekhenge
ke kitne kheemti gouhar nikalte hai khazaane se~
   
Reply With Quote
@Misum Moosavi : shukriya, ta'arruf
Old
  (#6)
Bhrung
Registered User
Bhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really niceBhrung is just really nice
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 0
@Misum Moosavi : shukriya, ta'arruf - 12th April 2013, 07:51 AM

Quote:
Originally Posted by Misum Moosavi View Post
Bohot khoob janab!

Bhanwar shayad aapka taqallus hoga.
Aapna ta'arruf karwaayenge???
Bahot shukriya, Misum sahab. Haan, 'Bhanwar' ye mera takhallus hai. Rahi baat ta'arruf ki, to shaayri ka shauq rakhnewala ek aam aadmi hoon. Aur jaankari yahaan dekhiye. Lekin jaankari to ta'arruf nahin hoti. Is baare mein mera ek sher arz karta hoon:

Kaun lagta hoon kisi ka, ye mera ta'arruf nahin
Meri hasti ki asal buniyaad mere geet hain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
12th April 2013, 05:09 PM

Waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bahot umda ghazal se nawaaza hai aap ne ...ghazal ka har sher umda aur laajAwaab hai aur andaaz e bayaaN bhi kamaal




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com