Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
mila
Old
  (#1)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
mila - 3rd February 2013, 10:04 PM

ek ghazal pesh karta hu aapki khidmat me....
qafiye ki self imposed bandish liye huye hai,,,jo kuch logo ko turunt apparent hoga....
ab aapke hawaale karta hu cheer phad ke liye
ab aap miliye(to meet) to aapki rai mile(to get) , abstract ideas ki milawaT hai ( to mix) is ghazal me......aur bhi bahut saare ...to receive...to want...to discover etc etc etc,....
jyada logic ki baat koi na kare to accha ,halanki koi dabaoo nahi iska...ek puzzle ki tarah is suna jaaye.
aaiye miliye...

Jo raasta mila muhje vo kaun sa mila
Muskil bahut hisaab hai kuch khoya ya mila

Milkar na aaya khwaab mujhe raat bhar koi
Kya gesuoo ka rang andheron me aa mila?

OoDe tamaam chehre vo nikla naqaab se
Mil to gaya par is tarah milkar bhi kya mila

Khud par kiya gumaan laga haath kuch nahi
Jis par tha aitbaar vo auro se jaa mila

Sabka yakeen karke tujhe mil gaya sukoon
Tera yakeen karke bhala mujko kya mila

Dushmam nahi tha taak me so dost par bani
Dushman bhi mera dekhiye kya kaam ka mila

Teri hai gar ye zidd to ye zidd ki hi haar hai
Le abto mere jaam se tu jaam laa mila

Last edited by zidd; 3rd February 2013 at 10:07 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
3rd February 2013, 11:14 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post

MashaAllah bohat khoob zidd sahab......

As always something different.........

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2013, 12:12 PM

Zidd saahab , Aadaab...

Waaahhh kahuNgaa to kahin iski tareef me koi kamii na aa jaae.. asal me sach kahUn tomere paas lafz nahi haiN iski tareef ke liye....

Jaisaake aapne kahaake ise aapne islaah keliye daala hai to bhaijaan aapko batyaa doon ke mujh jaise haqeer ke ye bass me kahaaN ke aapke kalaam ki islaah kar sakuN... har lafz aur khayaal paani ki tarah saaf hai.....

OoDe tamaam chehre vo nikla naqaab se
Mil to gaya par is tarah milkar bhi kya mila

waaahhhh... is sher ki jitni tareef karuN.. kamm hai..

Milkar na aaya khwaab mujhe raat bhar koi
Kya gesuoo ka rang andheron me aa mila?

is shher ki zaraa wazaahat chahungaa gar aapko aetraaz na ho to...
gesuoN ka rang andheroN me mil jaane se (aur andheraa badh jaane se) khwaab ke na aane se kya talluq hai... ya phir main samajh nahi paa raha hoon ke aap jo kehnaa chah rahe hain... Roshni daaliye bhai isme...

And one more thing i want to mention here............

You did a Brilliant job.... Excellent Craftsmanship dekhne mila ............. do keep writing..

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
4th February 2013, 05:21 PM

Zidd sahib ,
adaab..bare seedhe shabdo mein aap ne kuch uljhi baten
bayaan ki is ghazal mein ,ki mujh jaise nasamajh ko bhi samjh mein aa agai.

wake me kabeli tareef hai aap ka andaaz .

Hamare Shad sahib bechare gesuon ke andheron mein kho gaye?
(hope shad bhai mera comment lightly lenge).

regds
sanjay sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 4th February 2013 at 05:23 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2013, 05:28 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Hamare Shad sahib bechare gesuon ke andheron mein kho gaye?
(hope shad bhai mera comment lightly lenge).

regds
sanjay sehgal
Sanjaya saahab..

hahahahahaha.... kyon Zidd bhai ko mera dushman banaa rahe ho..

Zidd bhai ki ghazloN me jo suurat hai, unke GesuoN me main kho jaauN...

na bhai naa... usme knone ka haq bas Zidd bhai ko hai....

Zidd bhai ab jaldi se maslaa saaf kar dijiye, warna bechaare kitne hi bechaare zulfon me ulajhte sulajhte rahenge.... hope u dont mind.

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
4th February 2013, 06:46 PM

bhaiyyo, usko explain to ultimately mai kar hi dunga...magar agar explain hi karna pada to kya sher kaha?.........(ye baat pahle hi maan leta hu)

waise to is tarah ke abstract sher, words me uninterpretable hai kyuki bahut jagah se interconected hote hai ....lafzo ka hawala dusre lafzo par jata hai...jiski wajah se effected lafz ka intended meaning actual meaning se change ho jata hai..aur phir vo naya meaning ideas ko effect karta hai aur unka intended meaning ,actual meaning se change ho jata hai....matlab yu samjha jaaye ki words aur ideas khud me aur apas me is tarah interact karte hai ki khud ka wajood kho baitht'te hai ,aur kuch aur ho jate hai.....ye mera definition hai abstactness ka.....
ab degree ka sawaal hai to koi simple way me abstract hai to koi bahut complex way me.

premise ye hai ke usi ke khwaab aate hai generally , gar khwaab nahi aaya us raat to kya vo ghar ke saamne se guzri thi?..now refer to saani for context. (may be physically or may me actually in a dream!!!)?jab kuch saamne hai ya saamne lag raha(in a dream) hai to =aadmi to jaag raha hai bhale hi vo khwaab me jaag raha ho !!!...aur 'vo' uske pas hai to khwaab kaise ayenge?, jaagna aur sona ,dono state ek saath to possible hai nahi.

par itna kahne par bhi uska pahlu saamne nahi aaya hai...vo sirf mehsuus ho sakta hai....

yu samjhiye ki jaise mai khada hu .ab mera saaya (shadow) aapko dikhaya jaaye ki dekho ye 3 dimensional zidd ka 2 dimensional expression hai. phir kisi aur ka saaya dikaya jaaye aapko aur kaha jaaye ki ab imagine karo ye saaya dekhkar ki ye aadmi kaisa dikhta hoga....
ab aap kitna bhi samjhaoo ki ye saaya dekhkar ye aadmi aisa hoga ya aisa hoga kabhi bhi samjha nahi sakoge...magar saaya dekhkar aap ek mental picture to mann me bana hi loge ki ye aise dikhne waale shaks ka saaya( sahi ya galat is immaterial).....

ab aap mehsuus kijiye ki vo sher ek 2 dimensional shadow hai ek three dimensional figure ki........agar reasonably kar sake to theek ,na kar sake to upar darj saari bakwaasbaazi aapke liye valid

aap logo ne to mera bhi kaan fuse kar diya...

khair 2 ghante baad phir koshish karta hu dusri tarah se explain karne ki.cheers
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
4th February 2013, 07:40 PM

.........................

Honestly mujhe tou kuch bhi samajh nahi aaya.....zidd sahab aap explanation bhi postgraduate level ki dengay tou kaise chalega.....?

Hum tou abhi shayri ki paathshala me kindergarten me hain.....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
4th February 2013, 07:42 PM

Zidd bhai aapne bharpur khoshish ki apna point explain karne me aur yeh malumaat bhi
aap ae hasil hui ki shayri mein lafzon ke expressive meanings ki jagah implied
meaning bhi gaur karne chahiye to get better view of ashars..

sanjay sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
4th February 2013, 07:43 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
.........................

Honestly mujhe tou kuch bhi samajh nahi aaya.....zidd sahab aap explanation bhi postgraduate level ki dengay tou kaise chalega.....?

Hum tou abhi shayri ki paathshala me kindergarten me hain.....
cheer up zainyji...maine kaha to hai 2 ghante baad dusri tarah se explain karta hu
( matlab usi state me jana hoga jab ye sher likha tha...uske liye kuch samay baki hai)
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
4th February 2013, 07:44 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zidd bhai aapne bharpur khoshish ki apna point explain karne me aur yeh malumaat bhi
aap ae hasil hui ki shayri mein lafzon ke expressive meanings ki jagah implied
meaning bhi gaur karne chahiye to get better view of ashars..

sanjay sehgal
ji sir...both letter and spirit
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2013, 08:16 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
bhaiyyo, usko explain to ultimately mai kar hi dunga...magar agar explain hi karna pada to kya sher kaha?.........(ye baat pahle hi maan leta hu)

waise to is tarah ke abstract sher, words me uninterpretable hai kyuki bahut jagah se interconected hote hai ....lafzo ka hawala dusre lafzo par jata hai...jiski wajah se effected lafz ka intended meaning actual meaning se change ho jata hai..aur phir vo naya meaning ideas ko effect karta hai aur unka intended meaning ,actual meaning se change ho jata hai....matlab yu samjha jaaye ki words aur ideas khud me aur apas me is tarah interact karte hai ki khud ka wajood kho baitht'te hai ,aur kuch aur ho jate hai.....ye mera definition hai abstactness ka.....
ab degree ka sawaal hai to koi simple way me abstract hai to koi bahut complex way me.

premise ye hai ke usi ke khwaab aate hai generally , gar khwaab nahi aaya us raat to kya vo ghar ke saamne se guzri thi?..now refer to saani for context. (may be physically or may me actually in a dream!!!)?jab kuch saamne hai ya saamne lag raha(in a dream) hai to =aadmi to jaag raha hai bhale hi vo khwaab me jaag raha ho !!!...aur 'vo' uske pas hai to khwaab kaise ayenge?, jaagna aur sona ,dono state ek saath to possible hai nahi.

par itna kahne par bhi uska pahlu saamne nahi aaya hai...vo sirf mehsuus ho sakta hai....

yu samjhiye ki jaise mai khada hu .ab mera saaya (shadow) aapko dikhaya jaaye ki dekho ye 3 dimensional zidd ka 2 dimensional expression hai. phir kisi aur ka saaya dikaya jaaye aapko aur kaha jaaye ki ab imagine karo ye saaya dekhkar ki ye aadmi kaisa dikhta hoga....
ab aap kitna bhi samjhaoo ki ye saaya dekhkar ye aadmi aisa hoga ya aisa hoga kabhi bhi samjha nahi sakoge...magar saaya dekhkar aap ek mental picture to mann me bana hi loge ki ye aise dikhne waale shaks ka saaya( sahi ya galat is immaterial).....

ab aap mehsuus kijiye ki vo sher ek 2 dimensional shadow hai ek three dimensional figure ki........agar reasonably kar sake to theek ,na kar sake to upar darj saari bakwaasbaazi aapke liye valid

aap logo ne to mera bhi kaan fuse kar diya...

khair 2 ghante baad phir koshish karta hu dusri tarah se explain karne ki.cheers

Hailaaaaaaaaaaa..................

Innaaaaa khatruuuuu Ishtyleeeeeeeeee ..................... Zidd bhai

Hum bacchoN par taras khaao..............................

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 4th February 2013 at 08:57 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th February 2013, 10:41 AM

Zidd bhai................... 2 Ghante hue nahi kya poore ab tak..

Awaiting bro....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th February 2013, 10:46 AM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
cheer up zainyji...maine kaha to hai 2 ghante baad dusri tarah se explain karta hu
( matlab usi state me jana hoga jab ye sher likha tha...uske liye kuch samay baki hai)
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Zidd bhai................... 2 Ghante hue nahi kya poore ab tak..

Awaiting bro....
koi specific state me jaanay ki baat kar rahe thay...may be some kind of meditation..............

lagta hai abhi wahaaN se lautay nahi haiN.....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#14)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th February 2013, 10:50 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
koi specific state me jaanay ki baat kar rahe thay...may be some kind of meditation..............

lagta hai abhi wahaaN se lautay nahi haiN.....
hahahahahha....... Babaji dhyaan magn haiN shaayad..... lolzzzz

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
5th February 2013, 04:17 PM

zidd saaheb kaise haiN ..

achhi ghazal kahii aapne .. bilkal apne mizaaj ke maafik

mera shuruaat se hi ye maan-na raha hai ki har shaayar ki apnii ek fikr hotii hai ..apna alag nazariya hota hai ..

aapka chizoN ko dekhne ka apna nazariya hai aur ye hona bhi chaahiye tabhi to aap khudgo kahlaane ke haqdaar haiN ..

akhiri do ashaar nihaayti aala darze ke haiN ..

meri jaanib se daad haazir hai qubool farmaaeiN

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Masoom Pyar
Registered User
Masoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura aboutMasoom Pyar has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 519
Join Date: Dec 2013
Rep Power: 0
14th February 2014, 03:34 PM

waaaah waaaaaaaaah..............wah waah............................
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com