Duswari....by javed akhtar -
30th June 2007, 02:40 PM
Main bhul jau tumhe
Ab yahi munaseeb hain
magar bhulna bhi chahu to kis tarah bhulu
ki tum to fir bhi haqeeqat ho
koi khwab nahin
yaha to dil ka yeh alam hain kya kahu
kambakht!
bhula na paya yeh woh silsila
Jo tha hi nahin
Vo ek khyal
Jo awaaz tak gaya hi nahin
Voh ek baat
Jo main keh nahin saka tumse
voh ek rabt
Jo hum mein kabhi raha hi nahin
mujhe hain yaad woh sab
Jo kabhi hua hi nahin............................
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|