Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
....Yaad Aaon Ga
Old
  (#1)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
....Yaad Aaon Ga - 10th September 2009, 10:32 AM

Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
Un Kahi bat ko samjho ge to yad aaon ga

Hum ne khushiyon ki tarah dukh bhi ikkathe dekhe
Safah-e-zeest ko palto ge to yad aaon ga

Isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to yad aaon ga

Sard raton k mahkate hue sannaton mein
Jab kisi phool ko chumo ge to yad aaon ga

Ab tere ashk main honthon se chura leta hon
Hath se khud inhen phoncho gey to yad aaon ga

Shaal pehnayega ab kon Decembar mein tumhe
Barishon mein kabhi bheego ge to yad aaon ga

Aj tum Mehfil-e-yaran pe ho magroor boht
Jab kabhi toot k bikhro ge to yaad aaon ga

Hadse ayenge jewan mein to tum ho k nidhal
Kisi dewaar ko thamo ge to yad aaon ga

Is mein shamil hai meri bakht ki tareeki bhi
Tum siyah rang jo pahnoge to yad aaon ga

Poet: Wassi Shah


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com