zindagi mein kuch manzar bahut yadgaar hote hai jaise ki.....
* kidaki mein bedakar bahar hoti barish mein kahi se katra katra girti bundon ko dekhna ..........kitna kuch tassavur kiya ja sakta hai na yun bedakar.
*juda hote waqt , kuch door jakar kisi ka yaklakhat palatkar dekhna.....goya uski aankhein kah rahi ho 'tum aaoge na?'
*yun hi kabhi jab duniya se khafa ho ,apne pyar dost ki aankhon mein dekhna......mano kaha rahi hon...waqt hai gujar jayega ..main jo hoon tumhare saath.
*lambe intazaar ke baad jab baarish na ho to kisan ka su-e-aasma dekhna....mano kah rah hoo' kab maharbani hogi?'
*sa-e-rah kisi din bacchon ko unche sur mein "jan-gan-man" gate sunana.....usi lmha khud ke hindustani hone par kitna fakr hota hai.
*kisi hindu ka kisi mazar par matha tikana ya kisi musalma ka kisi mandir mein sar navate dekhna ....kitni shiddat se ahsas hota hai ki majhab agar koi hai to bus insaniyat.
*kahi se gujarate waqt kisi se yun hi takara jane par use afsos ke sath muskurakar dekhna.....ab bhi to firk hai humein ki kisi ko taklif na paunche.
*is gaflat-o-beazmi ke daur mein kisi oa riswat ke liye mana karte dekhna .....yahi jazba nazr hota hai'kahin ek insan zinda hai'.
*sote hue kisi bacche ko nind mein muskutare dekhna .....Kash!!!!!!!!! is jazbe ko lafzon mein bayan kar sakta koi......
muhabbat se---amaan
usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
Amazing....What a great quotes......... that inspires a lot...... in lafzon ki taarif ke liye shabd kam hai......... loved it... thanks for sharing............ take care!