Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
देता है दस्तक कौन इस दिल पर
वो वस्ल-ओ-हिज्र था किधर गया
kya baat hai Anu bhai...... jitni tareef karun kam hai.. kyaa peshkash hai, kya andaaz hai aur kyaa lafzon ka taana baana hai.... bahot khoob mere bhai..... ek guzaarish hai ke is ghazal me ek matlaa add kijiye.... main is khoobsurat ghazal me rattii bhar bhii aeb nahi dekhnaa chahtaa.... ummeed hai aap mujhe mayoos nahi karenge.....
Dil se duaa hai ke aap salaamat rahen, khush rahen, aur accha accha likhte rahen.....
Shaad...
|
Janaab aapki baat sar aankhon par nacheez ne koshish ki hai batayeigaa ki munaasib hai ki nahiN, matlaa aur maqtaa dono jode hai, aapki salaah ka hameshaa talabgaar..
justjuu mere yaar ki khwaabida sa jo guzar gaya
adaa teri masoom thi be sabab tha main bikhar gaya
kya haseen woh mod tha
woh guzar gayi mein thehar gaya
deta hai dastak kaun is dil par
woh wasl-o-hijr* tha kidhar gaya
rok lo aaj na jaane do unko
woh saahilon se tha darr gaya
mukhtalif sa nazar aata hai sab kuch
main hujoom* mein tha mar gaya
muntazir aankhen tajassus* bhari hai
main jo poochta tha woh kidhar gaya
'mast' dil mein ab to sukoon hai
kisi ka naseeb to sanwar gaya