Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Insaan KaheeN Kho Gaye..
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Insaan KaheeN Kho Gaye.. - 7th March 2003, 05:10 PM

Pyaare dostoN, ek baar phir kuchh likh raha hooN bina kisi ko koi chot pahunchane ke iraade se, ummeed hai meri ye post kisi ko hurt nahi karegi.

Insaan KaheeN Kho Gaye..

In aainoN se najaane kyoN
Humlog nazreiN churane lage haiN,
Shayad hame inme hamaare
Asli chehre nazar aane lage haiN,

Aalim to ho gaye hum lekin
Insaaniyat kaheeN jaati rahi,
Apni mak.kariyaaN nazarandaz kar gaye
Jamaane ki khataeiN nazar aati rahi,

MandiroN or MasjidoN ke siva
Kuchh or fikr na kar sake,
Ghar jalaane ko mashaaleiN bahut mil gai
Ek umr se thande pade chulhe or pathraai aankheiN
Hum phir se roshan na kar sake,

Koi Kashmeer me ladta hai
Koi Irak par nahaq hi garajta hai,
Shayad khabar nahi kisi ko 
Sudan me har roj ek Insaan
Bhookh se ladte huwe marta hai.

Chaand

YooN to har hunar se maahir tabka
Is jamaane ne bana diya,
Afsos Insaan banaane ka saancha na mil saka
Suna hai ik umr huve isne
Us sanche ko guma diya.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
romana
Registered User
romana will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 754
Join Date: Sep 2002
Location: uk
Rep Power: 22
hi - 7th March 2003, 08:00 PM

rakeshji

kasie hein aap

vow hamesha ki tarah is baar bi bhut acha likha hein aapne. topics bi bhut ache hein aapke. kaash har koi aise hi khiyaalat rakhta

umeed hein aap ainda bi aisa hi likhte rahenge

take care
bye


~,ROMANA,~
   
Reply With Quote
hi!
Old
  (#3)
husn_haya
Registered User
husn_haya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Mar 2003
Location: s.a.
Rep Power: 22
Thumbs up hi! - 8th March 2003, 01:04 AM

aap ka sheir bahut hi umdaa tha... i hope i read more of ur wonderful sheirs in the future....

bahut bahut duaon key saath,
Haya...


Karti Nahi Shairee... aur qalam utha rakha hai.....

Ay zindagi terey har modr ko kagaz pe saja rakha hai....
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya DostoN - 8th March 2003, 03:39 PM

Hi Romana, mai achha hooN or aap ki salamati ki dua karta hooN,


Ek baar phir shukriya aapne meri is post ko itni tawazoo di, or mera hausla barhaya.

husn_hayaji,

Aapka bhi bahut bahut shukriya ke aapne ise pasand kiya or mera hausla barhaya.

Regards

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
>> har insaan ko insaan ka pyar nahi milata.. heart_killer Shayri-e-Dard 9 26th June 2009 11:54 PM
*Insaan Kee Aulad Hain-Insaan Banegaa** Shimul Sahir Ludhianvi 0 12th June 2008 07:30 PM
woh hai kaheen ke kaheen bhee nahee main kabhee jan nahee paya masoomshayer Shayri-e-Dard 6 20th April 2006 02:15 PM
.....(woh phir waise ho gaye insaan jaise pehle the)..... damal Shayri-e-Dard 6 2nd April 2003 11:05 AM
dil fatt hi na jai kaheen gham say RICKY_DIL_SE Shayri-e-Dard 0 18th January 2002 12:58 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com