Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
najaney kyun
Old
  (#1)
kaif_sk
Registered User
kaif_sk is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Jun 2006
Location: mumbai
Rep Power: 18
najaney kyun - 5th June 2006, 04:26 AM

Najaney Kyun

Najaney Kyun Dil Laga Letey Hain Laug
Khud ko yuun hi saza detey hain laug .
.
Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..

Jabb mill jaey safar main naya hum-safar koi
Per kyun purani rafaqat ko bhula detey hain laug

Gham bhi detey hain or kehtey hain bhool jao
Humari chahat ka yeh sila detey hain log ..


kaif_sk
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
5th June 2006, 08:18 AM

wah!! kya baat hai ...bahut khub Kaif ji..............sach aur sundar likha aapne...........


Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..

Jabb mill jaey safar main naya hum-safar koi
Per kyun purani rafaqat ko bhula detey hain laug

beautiful ...........

ranju


ranjana
   
Reply With Quote
reply:-najaney kyun
Old
  (#3)
kaif_sk
Registered User
kaif_sk is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Jun 2006
Location: mumbai
Rep Power: 18
reply:-najaney kyun - 6th June 2006, 02:07 AM

Tariif k liye shukriya ranju jii

arz hai


Ab Na Hogi Wo Subah Na Us Sham Ka Aana Hoga,
Ab Na In Rahon Pe Woh Dost purana hoga.

Ab na Mehkegi Hawa na Chalegi Ghata,
Ab Na Sawan Ki Us Barish main Nahana Hoga.

Shamm Hote Hi Sitare Jo TimTimate The,
Ab Na Unka Koi falak pe Thikana Hoga.

Ab Na Aayegi bahar Aur na Mehkegi kali,
Na kisi Phool ka Kanto se yarana Hoga.

Ab Na Ruthega koi Na ManayeGa use,
na kisi baat pe koi Bahana Hoga.


kaif_sk
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
6th June 2006, 09:05 AM

bahut khub Kaif ji..................


hum unhi raho per karnge sadke
jahan se teri raha gujar hogi ...........

wahi rangeen hogi meri subhe
jahan shaam teri basar hogi..............

palake meri wahi tham ke re jayangi sanam
jahan per thahri hui teri bas ek jhalak hogi

ruth jaaye toh humko mana lena sanam
teri aarzu hi ab meri justju hogi...........................

yeh hai kuch lines ranju ki kalam se ...kaisi lagi aapko batana .......


ranjana
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
kaif_sk
Registered User
kaif_sk is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Jun 2006
Location: mumbai
Rep Power: 18
7th June 2006, 01:12 AM

bahoot khub ranju jii aap bhi kamal ka likhte hai

palake meri wahi tham ke re jayangi sanam
jahan per thahri hui teri bas ek jhalak hogi

ruth jaaye toh humko mana lena sanam
teri aarzu hi ab meri justju hogi

bahoot khub ranju jii

arz hai

Apna dil paish karoon, apni wafa paish karoon
Kuch samajh main nahi ata , tujhe kya paish karoon

Terey milney ki khoshi main koi naghma chairoon
Ya terey dard-e-judai ka gilla paish karoon

Merey khwaboon main bhi tu, merey khayaloon main bhi tu
Konsi cheez tujhe, tujh se juda paish karoon

Jo terey dil ko lubha lay, woh adaa mujh main nahi
Kyun na tujh ko koi teri hii adaa paish karoon


kaif_sk
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
tabassumshakeel
Registered User
tabassumshakeel is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 126
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 18
7th June 2006, 11:49 AM

bahut khoob kaif

main bhi is soch me hun tujhko main kya pesh karun
dil o jaan tere hain pehle se ki khyalon me tu hai
mere ujde hue veerane ki ek bahar hai tu
soch hai tujh se judi sari khushi tujh se hai
dhoondati hun koi ek cheez jo teri na ho
dil se chahti hun ki main tujhko bhi kuchh pesh karun


TITALI KE TAAQQUB ME KOI PHOOL SA BACHCHA
AISA HI KOI KHWAB HAMARA BHI KOI THA
   
Reply With Quote
gud one !
Old
  (#7)
love4ever
Registered User
love4ever is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 0
gud one ! - 7th June 2006, 04:58 PM

very nice & lovely words. keep it up
   
Reply With Quote
reply :-kya pesh karoo
Old
  (#8)
kaif_sk
Registered User
kaif_sk is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Jun 2006
Location: mumbai
Rep Power: 18
reply :-kya pesh karoo - 7th June 2006, 07:07 PM

bahoot khub tabassum jii

main bhi is soch me hun tujhko main kya pesh karun
dil o jaan tere hain pehle se ki khyalon me tu hai

tabassum jii hum chahte hai k aap sirf aapni ghazaley pesh karein,bahoot hi achcha jawab likha hai aap ne

arz hai

teray hontoon pay saj jaon dua honay ko ji chahey
mere duniya bhula ker bas tera honay ko ji chahey

yun sab kay saamney athkaylian kerti hai yeh mujh say
ke mera be-irada hi hawa honay ko ji chahey

tu merey roothney per is tarah mujh ko manati hai
kabhi to bay wajah tujh say khafa honey ko ji chahey

kabhi tujh say milay bin zindagi be-kaar lagti hai
kabhi tujh say bicharnay ko juda honay ko ji chahay


kaif_sk
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
8th June 2006, 08:22 AM

bahut khub Kaif ji.........

kuch toh hai tere liye mere dil mein abhi bhi
ek aag hai yeh ishaqe ki jo bujhi nahi hai abhi bhi

mujhe yaad hai ek ek lafaj tere hontho se nikla hua
kya tere dil main bhi hai mere liye daba hua payar abhi bhi

woh ruthana mera woh manana tera
fir mera maan jaana aur khud se ruth jaana tera
mujhe yaad hai abhi bhi..............

jo rishta tujhe thaa joda usko kaise bhule
woh chalakata hua teri aankho ka khumar
mujhe yaad hai abhi bhi.................

ranju koshish.........


ranjana

Last edited by ranju bhatia; 8th June 2006 at 08:30 AM..
   
Reply With Quote
WAH
Old
  (#10)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
WAH - 8th June 2006, 09:57 AM

Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..


kaif jane kyon ye ek sachhayee see lagee

jab kabhee khud ko tanha sa pata hoon
aise alafz mujeh ajamate hain
aisee baton ko main ajamata hoon

jinhe kabhee mere siwa kcuh soojhta nahee tha
mere siwa unhe ab fursat hee fursat hai
dekhiye un ke dil se ab aur kahan jata hoon
aise alafz mujeh ajamate hain
aisee baton ko main ajamata hoon

Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#11)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
9th June 2006, 05:11 PM

bahut khoob kaif ji,bahut acha likha aapne.likhte rahiye yunhin.

Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..

bahut acha laga yeh sher.
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#12)
kaif_sk
Registered User
kaif_sk is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Jun 2006
Location: mumbai
Rep Power: 18
10th June 2006, 03:02 AM

ranju jii , Anil sahab & akeli jaan bahoot bahoot shukriya aap sabo ka joh aap ne humari bheji hue najm ko pasand kiya hai

Anil sahab aap ne bhi bahoot khub likha hai , aap k likhe hue kalam ko padne k baad aisa lagta hai jaise koi dil per gaira jakam hoo

jinhe kabhee mere siwa kcuh soojhta nahee tha
mere siwa unhe ab fursat hee fursat hai
dekhiye un ke dil se ab aur kahan jata hoon
aise alafz mujeh ajamate hain
aisee baton ko main ajamata hoon

ranju ji aap ne bhi bahoot khub likha hai ,aur aap k likhe hue ghazal se bas pyaar hi pyaar jalakta hai

kuch toh hai tere liye mere dil mein abhi bhi
ek aag hai yeh ishaqe ki jo bujhi nahi hai abhi bhi

arz hai

chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi
aankhon mein neend baaki hai bhi aur nahi bhi

yeh jo ishq k jaam tu mujhe de rahe hai
ismein tera pyar saaqi hai bhi aur nahi bhi

jab se maine tumhe apnana socha hai
mere ander bebaari hai bhi aur nahi bhi

dunyia mein pyaar karne wale hai bahoot
zindagi bar saat nibane wale hai bhi aur nahi bhi


kaif_sk
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
10th June 2006, 09:21 AM

Quote:
ranju ji aap ne bhi bahoot khub likha hai ,aur aap k likhe hue ghazal se bas pyaar hi pyaar jalakta hai

kuch toh hai tere liye mere dil mein abhi bhi
ek aag hai yeh ishaqe ki jo bujhi nahi hai abhi bhi

arz hai

chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi
aankhon mein neend baaki hai bhi aur nahi bhi

yeh jo ishq k jaam tu mujhe de rahe hai
ismein tera pyar saaqi hai bhi aur nahi bhi

jab se maine tumhe apnana socha hai
mere ander bebaari hai bhi aur nahi bhi

dunyia mein pyaar karne wale hai bahoot
zindagi bar saat nibane wale hai bhi aur nahi bhi [/B]
bahut sundar Kaif ji............................shukriya aapko meri koshish pasand aayi..........


ranjana
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
#<IS Do Pal Ki Zindgi Me Tanhai Kyun Hai, Logo Ko Humse shikayat Kyun hai> Tanha_Sahil Shayri-e-Dard 0 6th November 2008 09:12 PM
aakhir..kyun..kyun yaadein Shayri-e-Ishq 1 5th January 2007 12:45 PM
kyun barbaad hue, kyun barbaad kiya, samir4u_in Shayri-e-Dard 10 8th August 2005 06:24 PM
ladki kyun na jaane kyun!!!!!!! jaindharkan Humourous Shayri 3 9th April 2005 01:54 PM
Kyun..... manu_agrawal Shayri-e-Ishq 3 21st October 2003 09:25 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com