dil ko kya ho gaya Khuda jane
kyon hai aisa udas kya jane
kah diya main ne hal-e-dil apna
is ko tum jano ya Khuda jane
jante jante hi janega
mujh main kya hai abhi wo kya jane
tum na paoge sada dil mujh sa
jo tagaful ko bhoi haya jane
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
har bar mangti hai naya chashm-e-yar dil
ik dil k kis tarah se banaun hazar dil
pucha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun
nikla meri zaban se be-ikhtiyar dil
karte ho ahad-e-vasl to itna rahe khayal
paiman se zyada hai napayadar dil
us ne kaha hai sabr parega raqib ka
le aur beqarar hua ai beqarar dil
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
darte hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se ham
har dam panah mangte hain har bala se ham
mashuq jaye hur mile, may bajaye ab
mahshar main do saval karenge Khuda se ham
go hal-e-dil chupate hain par is ko kya karen
ate hain khud khud nazar ik mubtala se ham
dekhen to pahle kaun mite uski rah main
baithe hain shart bandh k har naqsh-e-pa se ham
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar hotaa
na mazaa hai dushmanii me.n na hai lutf dostii me.n
koii Gair Gair hotaa koii yaar yaar hotaa
ye mazaa thaa dillagii kaa ke baraabar aag lagatii
na tumhe.n qaraar hotaa na hame.n qaraar hotaa
tere waade par sitamagar abhii aur sabr karate
agar apanii zindagii kaa hame.n aitabaar hotaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
butan-e-mahvash ujri hui manzil main rahte hain
k jis ki jan jati hai usi k dil main rahte hain
hazaron hasraten vo hain k rok se nahin ruktin
bahot arman aise hain k dil k dil main rahte hain
Khuda rakhe muhabbat k liye abad donon ghar
main un k dil main rahta hun vo mere dil main rahte hain
zamin par panv nakhvat se nahin rakhte pari-paikar
ye goya is makan ki dusari manzil main rahte hain
koi nam-o-nishan puche to ai qasid bata dena
takhallus "Dag" hai aur ashiqon k dil main rahte hain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
dil gaya tum ne liya ham kya karen
janevali chiz ka gam kya karen
pure honge apne arman kis tarah
shauq behad waqt hai kam kya karen
baksh den pyar ki gustakhiyan
dil hi qabu main nahin, ham kya karen
tund khu hai kab sune vo dil ki bat
aur bhi baraham ko baraham kya karen
ek sagar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen
kar chuke sab apni-apni hikmaten
dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen
dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise namuharim ko muharim kya karen
mamala hai aj husn-o-ishq ka
dekhiye vo kya karen ham kya karen
kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse "Dag"
teri qismat hai buri ham kya karen
~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~