aarti ka diyaa jala jaati ho Jab bhi main kuch likh ne baithtaa hu tum yaad aa jaati ho... haule se bichhake tum apna aanchal mere kagaz pe kiyo ek nayi ghazal ban jaati ho... kholte hi subha mere khidki tum thandi hawa ban kamre mai aa jaati ho... mere mann mandir mai kab aa ke tum shaam ki aarti ka diyaa jala jaati ho... ---naresh mehra---
Sameer ji aapne meri Rachna ko pada sarhaa aur pasand kiya.....isske liye aapka bahut-bahut shukriyaa..... --naresh mehra-- ---------------------------- socho toh kitni jaldi ye waqt Guzar jaata hai aaina wahi rehta hai chehra badal jaata hai !!
Rashid bhai aapne Meri rachna ko padha aur pasand kiya....isske liye aapka bahut bahut shukriyaa........ ------------------------- aur kitna main apne aap se mukhaatib rehta saamne wale ko sab kuch pata chal jaata hai... ----naresh mehra---
mere dil ke safon mai koi shikayat nahi likhi hai jab bhi mulaakat hoti hai apno se saafgoi ki baat hoti hai.......
Sunita Virender ji bahut bahut shukriya..... ------------------- pata nahi tujh pe meri kis baat ka asar hone wala hai koi raaz aaj teri zubaa se phir khulne wala hai..... ---naresh mehra--