Woh janta tha uski hansi mujhe pasand hai Faraz,
usney jab bhi dard diya muskuratey hue diya...
Chalo kuch din ke liye dunya chhor dete hain Faraz,
suna hai log bohat yaad karte hai chale jane ke baad...
Tere baad na aayega meri zindagi ma koi aur Faraz,
ek maut hai ke jiski hum Qasam nahi detay…
Humne muhabtain chord deen Faraz,
tanha raat din ka tadpna hamaray bas ki baat nahi...
Hum zamanay mein yunhi bewafa mashoor ho gaye Faraz,
hazarooN chahnay wale the kis kis se wafa karte...
Apna samaj kar jiske liye ujar gaye hum Faraz...
wo kal ja raha tha kisi ajnabi k saath..
Shiddate dard se sharminda nahi meri wafa Faraz..
dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge..