Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
saaqii pilaa de sharaab
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
saaqii pilaa de sharaab - 28th November 2013, 02:00 PM

saaqii pilaa de sharaab dekhe.N hai khumaar kitna
aarzoo nahi.N lekin gham hai beshumaar kitna

aate hai.N mehfil me.N jo bhii pinewaale
rang* ajeeb sabke par i.nme hai qaraar kitna

jaa.n kii naa puchh zaalim jab de diyaa dil
rahaa terii ulfat pe meraa aitbaar kitna

parwaane pe shammaa kii kashish dekh kaisee
jalnaa use par shab kaa hai intezaar kitna

saath pewand ke zakhm is dil pe jo ginoo.N
aage tere zulm ke mei.N gunehgaar kitna

paane kii chaah me ek manzil ko chaloo.N
kyaa dekhoo.N us paar ki hai gubaar* kitna

aa.Nkhe.N agar hai khushk to ye lazmii nahi.N
ashq naa sahii i.nme hai deedar kitna

rakhtaa hai jinse tu taskee.n*-e-mohabbat
wo hi rakhe.Nge dekh tujhe bekaraar kitna

aaj to josh-e-jaa.n hai “Safeer” tu jii le
kal dekh lenaa, hotaa hai musht-e-gubaar* kitna


(rang: andaaz, gubaar: dhul ke gote, taskee.n: tasalli, musht-e-gubaar = mutthibhar dhul)

~ Safeer "Adil"



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by aadeil; 28th November 2013 at 02:25 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
shakir ali 01
Registered User
shakir ali 01 has a spectacular aura aboutshakir ali 01 has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 297
Join Date: Oct 2013
Rep Power: 12
9th December 2013, 11:47 AM

saaqii pilaa de sharaab dekhe.N hai khumaar kitna
aarzoo nahi.N lekin gham hai beshumaar kitna

aate hai.N mehfil me.N jo bhii pinewaale
rang* ajeeb sabke par i.nme hai qaraar kitna

jaa.n kii naa puchh zaalim jab de diyaa dil
rahaa terii ulfat pe meraa aitbaar kitna

parwaane pe shammaa kii kashish dekh kaisee
jalnaa use par shab kaa hai intezaar kitna

saath pewand ke zakhm is dil pe jo ginoo.N
aage tere zulm ke mei.N gunehgaar kitna

paane kii chaah me ek manzil ko chaloo.N
kyaa dekhoo.N us paar ki hai gubaar* kitna

aa.Nkhe.N agar hai khushk to ye lazmii nahi.N
ashq naa sahii i.nme hai deedar kitna

rakhtaa hai jinse tu taskee.n*-e-mohabbat
wo hi rakhe.Nge dekh tujhe bekaraar kitna

aaj to josh-e-jaa.n hai “Safeer” tu jii le
kal dekh lenaa, hotaa hai musht-e-gubaar* kitna


(rang: andaaz, gubaar: dhul ke gote, taskee.n: tasalli, musht-e-gubaar = mutthibhar dhul)

~ Safeer "Adil"




SUPER PESHKESH AADIEL BHAI
PAD KAR LUTF AA GAYA
DAAAAAAAAAAAAAD KUBUL FARMAIEYE
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
9th December 2013, 01:07 PM

Quote:
Originally Posted by shakir ali 01 View Post




SUPER PESHKESH AADIEL BHAI
PAD KAR LUTF AA GAYA
DAAAAAAAAAAAAAD KUBUL FARMAIEYE
[/B]
Thank you Shakir bhai. aap ki daad ke liye bahot bahot dhanyavaad

~Safeer



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
TheDemonPrince
The Demon Prince
TheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to beholdTheDemonPrince is a splendid one to behold
 
TheDemonPrince's Avatar
 
Offline
Posts: 295
Join Date: Nov 2008
Location: Germany
Rep Power: 25
30th December 2013, 05:15 PM

Amazing Awesome Super..
:-)
Meri urdu acchi nahin hai itni ki main urdu mein tareefen bayaan karun..
Jo bhi likha hai, bahut hi khoob ehsaas hain..
:-)


Main toh kab ka marr chuka hoon,
Zinda hai ye Jism mera,
Ki koi phir apni Mohabbat se,
Jeene ki nayi wajah de dein...
The Demon Prince...

   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
30th December 2013, 05:58 PM

Quote:
Originally Posted by TheDemonPrince View Post
Amazing Awesome Super..
:-)
Meri urdu acchi nahin hai itni ki main urdu mein tareefen bayaan karun..
Jo bhi likha hai, bahut hi khoob ehsaas hain..
:-)
DP ji,
tareef kisee bhee zubaan me ho, wo hamesha hausla detee hai
Shukriya aapka....
Adil



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com