Adaab Praveen sahab!!
Kaise haiN?Is qadar zarra navazi ka shukriya..mujhe to samajh hi nahi aa raha hai ki kis tarah aapka shukriya ADA karooN
Aap ne to itni taareef karke hume to kuch kehne layak hi nahi choRha...jis khuloos se aapne taareef ki hai ke bas dil khush ho gaya...ye sab aap hi logoN ki hausla afzaai ka nateeja hai ki aap ko hamare kalaam meiN nikhar nazar aa raha hai...
Umeed hai aise hi aap logoN ka saath rahega...
Aur aap ne kuch naya likha??
Chalein phir...
Regards,
Shumaila