Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
AainoN se guftaguu kartey rahe
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Smile AainoN se guftaguu kartey rahe - 4th October 2002, 10:08 AM

Tamaam ahbaab ko mera salaam

Aik muddat ke baad is bazm meiN qadam rkha hai.
YahaN aane ko bechain to bahut tha lekin bande ki tabiyat itnii kharab thii ke chaah kar bhi aap logoN se kalaam na kar saka.
Khair us dauran kahi chand ghazlon meiN se aik aapki pesh-e-nazar hai.
Hamesha ki tarah aapke tassuraat ka muntazir rahuuNga.
---------------------------------------------------------

GHAZAL

AainoN se guftaguu kartey rahe
Jaaney kiskii aarzuu kartey rahe

Aik bemaani khushii kii justajuu
Bewajah hum ku-ba-ku kartey rahe

Wo na haasil ho saka par har ghadii
Hum sukuuN ki aarzuu kartey rahe

Umr bhar usko samajh ker hum khushii
Dard se kyuuN guftaguu kartey rahe

Hum liye dhaage bharam ke kuchh hasiiN
Dil ke zakhmoN ko rafuu kartey rahe

Naaumeedii se umeedoN ke liye
Apney dil ko ru-ba-ru kartey rahe

Aik toofaN meiN ghire the hum magar
SahiloN kii aarzoo karte rahe

Unki raahoN meiN bhatak kar phir Praveen
Hum khud apni justajuu kartey rahe


Aapki rae ka muntazir
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi

Last edited by prasaxena; 14th October 2002 at 07:27 PM..
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#2)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria - 18th October 2002, 07:03 PM

Deepa jii

Aadaab

Ye ghazal jis par aapne apne khayalat rakhe haiN maiN isii kii baat kar rahaa tha. Aapne ghazal pasand farmayee iske liye aapka bohat shukria.

Aur jis tafseel se aapne daad dii hai wo waqaii hausla badhane walii baat hai. Aur behtar se behtar sher kehne mieN merey bohat kaam aayegii.

Aik baar phir shukria ke saath
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#3)
qamar
Registered User
qamar is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 0
20th October 2002, 01:58 PM

saxena sahab

tauba , kya gazal kahi hai mian subhan allah

bada lutf aaya pad kar



qamar iqbal
   
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#4)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria - 22nd October 2002, 08:08 PM

Janab Qamar Saheb

aadaab

Aapko ghazal pasand aayii meri koshish kamyaab huii. Pasand farmane ka shukria. Aainda kalamoN par bhi nigah-e-karam rakhiyega.

shukria

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#5)
figaar-e-ghulab
Registered User
figaar-e-ghulab is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Sep 2002
Location: California
Rep Power: 0
25th October 2002, 03:26 AM

Adaab,
Dil e visal kay iss kushk sehray say aap key nazam laila o nahaar jaisea guzre. aur iss nahar mein hummay Ustadon kay aks bhi nazaar aaye.

ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate

tere jamaal kaa paratau nigaah me.n hotaa
kabhii sabaa se kabhii gul se guftaguu karate

tere Khayaal me.n gum hoke ek Gazal kahate
aur us Gazal ko na rusvaa kuu-ba-kuu karate
(Himayat Ali)


iltafaat samajhuu.N yaa beruKhii kahuu.N is ko
rah gaii Khalish ban kar usakii kamanigaahii bhii
   
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#6)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria - 31st October 2002, 04:56 PM

Mohtarma Figaar-e-gulaab sahab

Adaab,

Sabse pehle to mazrat chahuunga ke aapko waqt par jawab na de saka kyuNke aap jaise chane waloN se hii to hameiN hausla miltaa hai.

Jis andaaz meiN aapne daad dii hai wo bohat pasand aaya. Aapki daad ka bohat shukria. Aur jo sher aapne post kiye haiN tareef ke qabil hain. Sach kaheN to unmeiN bhi ustaadoN ka aks dikhta hai. Baharhaal chand aur kalaam jald hi pesh-e-khidmat karooNga. Umeed hai aapke tassuraat unpar bhi mileNge.

Shukria
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi

Last edited by prasaxena; 1st November 2002 at 01:54 PM..
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up 15th November 2002, 09:14 PM

adaab guruji!....aashaa hai ki ab aapki tabiyat achchi ho gayi hogi....aajkal to humari bhi jung ho rahi hain thand se....aapke is qalaam par itni der se jawaab de rahe hai...uske liye maufi....aur hum jald aapke emial ke saath bhi insaaf karenge.....lekin pehle gaur karte hain aapki is ghazal par.....bahut hi gehre khayaal piroye hain aapne....baar baar padhte rahe hum....to zahir hain ki ghazal hume bahut pasand aayi....aur humesha ki tarah hume jo ashaar pasand aaye unka zikr kiye dete hain...

Umr bhar usko samajh ker hum khushii
Dard se kyuuN guftaguu kartey rahe

Hum liye dhaage bharam ke kuchh hasiiN
Dil ke zakhmoN ko rafuu kartey rahe

Unki raahoN meiN bhatak kar phir Praveen
Hum khud apni justajuu kartey rahe

....wah wah.........aashaa hai ki aapse jald online mulakaat hogi...bahut dinon se baat nahi huwi hain aapse.....apna khayaal rakhiyega....k'hafiz....anamika...
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Shukria Anamikaji
Old
  (#8)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria Anamikaji - 20th November 2002, 06:28 PM

Adaab Anamikajii

Ghazal pasand Farmane ka shukria. Ummeed hai ab aap achchii hoNgi. Parmatama se dua hai ke wo aapko achchii sehat ataa farmaaye aur aap barabar is bazm meiN bina kisi rukawat ke aatii rhaeN. HaaN bahut din hue aapne yahaN apna koi kalaam pesh nahiiN kiya. Ummeed hai jald hii aap aisa kareNgi.

duaoN ke saath
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*ranj kii jab guftaguu hone lagii-DAAG DEHLVI** farhana Shayri-e-Mashahoor Shayar 8 8th July 2009 05:05 PM
Khud Se Chhupa Chhupi Khel Rahe Hain Junior_Ghalib Shayri-e-Dard 0 29th September 2005 12:28 PM
Kartey hai PYAAR shayri12345 Shayri-e-Dard 7 7th May 2005 10:07 PM
koi akho se baat kartey hay rahul_27male Shayri-e-Ishq 0 8th July 2003 11:44 PM
...Intezaar kartey huwe Rutu Shayri-e-Dard 0 2nd April 2003 08:27 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com