Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Gazal- Chaand utar kar aa jaye shishe mein aur jaam ho jaye
Old
  (#1)
Arnab
Mauj Jamshedpuri
Arnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Jan 2003
Location: Kolkata, India
Rep Power: 24
Gazal- Chaand utar kar aa jaye shishe mein aur jaam ho jaye - 19th May 2004, 12:37 PM

Ek Gazal pesh hai, aaj likha hoon.
------------------------------------------


Chaand* utar kar aa jaye shishe mein aur jaam ho jaye
Teri surat si har gali mein aaj ek shaam ho jaye

[ Chaand=moon]

Pholeon ke badan pe kantoen ka rahna koi inttifaaq to nahi
Sitam kisi aur ka ho aur kisi aur ka ilzaam ho jaye

Khhair kijiye ki log dil mein baas jate hai
Yeh aur baat hai ki koi haveli fir nilaam ho jaye

Chhupake chehera lage yun koi raaz chhupaya ho
Koi Hizaab* teri isharoen ka bad gumaan* ho jaye

[hizaab=veil
bad gumaan=distrustful]

Hum ne chhor di hai maikhana ek muddat se
Tere ghar mein khuda koi intezaam ho jaye

Koi asar ho hawaoen mein ke jhuka le darakt ko
Shajar aaj aapni shakhoen ka gulaam ho jaye


--Arnab


Arnab Goswami
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
19th May 2004, 02:30 PM

Khhair kijiye ki log dil mein baas jate hai
Yeh aur baat hai ki koi haveli fir nilaam ho jaye

Hum ne chhor di hai maikhana ek muddat se
Tere ghar mein khuda koi intezaam ho jaye


Arnab ji..

Aapki ghazal me humesha ek taazgi rehti hai.. unfortunately, hum apne jawaab me wo taazgi nahi laa paate, humesha wahi baat dohraate rehte hain.. magar tareef karne se baaz nahi aate.. kya karein, aapne likha hi itna achha hai. Aapke har kalaam me sabse khaas aapke khayalaat hote hain.. apne jazbaat jis tarah aap pesh karte hain, wo waqai kabil e tareef hota hai.. is ghazal me ye do sher behad khubsoorat lage.. yunhi likhte rahiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Arnab
Mauj Jamshedpuri
Arnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura aboutArnab has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Jan 2003
Location: Kolkata, India
Rep Power: 24
21st May 2004, 05:37 PM

Thanks Afsan ji....


Arnab Goswami
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
tum bin jiya jaye kaise, kaisejiya jaye tum bin.... aashika Hindi/Urdu Lyrics 3 15th March 2009 05:55 PM
dil humara shishe ki tarah tut jaye musafir ek pal Shayri-e-Ishq 5 7th October 2007 05:22 PM
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye - by Basheer Badr Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 7 12th September 2006 04:35 PM
jaam uthaya jaye gulabjamun_4_u Shayri-e-Ishq 0 12th February 2005 02:44 PM
Jab koi baat bigad jaye...jab koi mushkil pad jaye aashika Hindi/Urdu Lyrics 1 24th November 2004 04:54 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com