Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ustaad Qamar Jalaalwii
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Ustaad Qamar Jalaalwii - 22nd September 2014, 03:58 PM

Doston aaj aapke saamne wo ghazal pesh arna chahta hoon jo mere dil ke bahot qareeb hai........ aap sab o nazr kar raha hoon quboool kijiyega.....
with meaning taaki samajhne aur luutf lene me koi kami na ho......



kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan me gawaara karte hain,
gunche apni aawaazon me bijjli ko pukaara karte hain.

Nasheman- nest, ghosla
ahle chaman- chaman waale
gunche- flower buds, kaliyaan.
gulshan- garden.




ab nazaa ka aalam hai mujh par tum apni muhabbat waapas lo,
jab kashtii doobne lagtii hai to bojh utaara karte hain.

nazaa- last time, aakhri saans.
aalam- waqt, condition
kashtii- boat.





jaati huii maiyyat dekh ke bhii allah tum uth ke aa na sake,
do chaar qadam to dushman bhi takleef gawaaraa karte hain.

maiyyat- janaaza, funeral.
takleef gawaara karna- pareshani sah lena..





be wajah na jaane kyun zidd hai unko shab-e-furqat waalon se,
vo raat badhaa dene ke liye zulfon ko sanwaara karte hain.

shab-e-furat- night of separation, jo judaai ki raaten sahte hain.
zulf- hair




Poncho na araq rukhsaaron se, rangiini-e-husn ko badhne do,
sunte hain ke shabnam ke katre phoolon ko nikhaara karte hain.

Ponchna- to wipe out, hataana.
araq- sweat, essence
rukhsaar- gaal, cheeks
rangiini-e-husn- husn ki rangat, khoobsurtii
shabnam ke katre- dew drops, oss ki boondeN.




kuch husn o ishq me farq nahi hai bhi to faqat ruswaai kaa,
tum ho ke gawaara kar na sake, ham hain ke gawaara karte hain.

faqat-- sirf.
ruswaai- badnaami.
gawaara- bearable, acceptable.




taaron ki bahaaron me bhi qamar, tum afsurda se rahte ho,
phoolon ko to dekho kaanTon me haNs haNs ke guzaara karte hain..

afsurda- depressed, pareshaan.


-Ustaad Qamar Jalaalwii



Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
23rd September 2014, 10:04 AM

waaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhh!!!!!!

Shoiabbhai,
behad khubsurat ghazal aapne share kii hai............................

aapka bahot bahot shukriya iis gauhar-e-suKHan se rubaruu karvaane ke liye.....

duaaoN ke saath



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd September 2014, 10:41 AM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
waaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhh!!!!!!

Shoiabbhai,
behad khubsurat ghazal aapne share kii hai............................

aapka bahot bahot shukriya iis gauhar-e-suKHan se rubaruu karvaane ke liye.....

duaaoN ke saath
aapki bahot inaayat hai Aadeil bhai........................... shukran

jazaaq Allah...

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com