Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mere dil pe,dastaq deta hai,koi baar baar...
Old
  (#1)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Sad mere dil pe,dastaq deta hai,koi baar baar... - 28th February 2002, 02:47 AM

Salaam DostoN!Aaj bahut din baad phir kuch likha hai aur aap logoN ke saath share kar rahi hoon isi umeed pe ki hamesha ki tarah apni ray se nawazenge!

mere dil pe,dastaq deta hai,koi baar baar
mere jazbaatoN ko,jhanjhoRta hai,koi baar baar

jitna mai door jaana chaahti hoon
utna hi paas,bulaata hai,koi baar baar

raaton mein merii yaadoN mein aa aakar
merii neendein,churaata hai,koi baar baar

kaan khade ho jaate hain zara si aahat par
aisa lagta hai,mujhko pukaarta hai,koi baar baar

raah chalte chalte kadam thahar jaate hain
Wallah!har shai mein,nazar aata hai,koi baar baar

aata rahta hai mere khayaloN mein bin bulaaye
rah rah kar,mere ehsaas ko,jagata hai,koi baar baar

mustaqbil mein bhala kaise rakhooN kadam
jab maazi ki yaad,dilaata hai,koi baar baar

haye ree! kismat ki maari 'Shumaila' ko
aaj phir,apnaa banana chaahta hai,koi baar baar !!!

Aapki ray ki muntazir...
K'hafiz,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
tanhadil
Registered User
tanhadil is on a distinguished road
 
tanhadil's Avatar
 
Offline
Posts: 106
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 23
hi - 5th March 2002, 11:19 AM

aadaab shumailaji,

aaaj fir aapki ghazal hame pasand aayi...bahot hi accha likha hai aapne....likhti rahiyega....

jitna mai door jaana chaahti hoon
utna hi paas,bulaata hai,koi baar baar

raaton mein merii yaadoN mein aa aakar
merii neendein,churaata hai,koi baar baar .......

bahot hi khoobsurat andaaaz mai likha hai.....

khuda hafiz...take care


Yeh Gham Nahi ke Andhere Se Sulah Ki Maine

Malal Yeh Hai Ke ab Subh Ki Talb Bhi Nahi
  Send a message via Yahoo to tanhadil  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
5th March 2002, 01:40 PM

Wah!!!!

Bahot fine likha hai, Beti- Khush Raho!!


raah chalte chalte kadam thahar jaate hain
Wallah!har shai mein,nazar aata hai,koi baar baar

aata rahta hai mere khayaloN mein bin bulaaye
rah rah kar,mere ehsaas ko,jagata hai,koi baar baar

Umeed hai aap hameha likhti rahengi.

Rajan


cool
   
Reply With Quote
Hi tanhadil..
Old
  (#4)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Hi tanhadil.. - 6th March 2002, 02:00 AM

Kaise haiN?Aapne aaj bhi hamari ghazal pasand farmaayi..shukriya!!

bahut hausla afzaai hoti hai merii...har baar sochti hoon ki ab nahi likhungi lekin lagta aap logoN ki duaayeiN hain jo phir kuch na kuch likh leti hoon

Thanx again,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Adaab Rajanji!!
Old
  (#5)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Adaab Rajanji!! - 6th March 2002, 02:04 AM

kaise hain aap?Aap hamesha merii hausla afzaii karne aa jaate hain jiske liye mai aapki bahut shukrguzar hoon!!

Aapki duaa rahi to inshallah likhti rahungi...

Shukriya.......

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
maryam
eik dard bhara dil!
maryam is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 87
Join Date: Feb 2002
Location: abudhabi,uae
Rep Power: 23
7th March 2002, 01:18 AM

bohat hi accha laga

especially yeh waali line...

mustaqbil mein bhala kaise rakhooN kadam
jab maazi ki yaad,dilaata hai,koi baar baar ...

likhti raheyga
   
Reply With Quote
Shukriya...
Old
  (#7)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Exclamation Shukriya... - 7th March 2002, 01:37 AM

Thanx maryam for liking my ghazal aur mujhe bhi apna wahin sher sabse zyaada pasand hai!!

Bye,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
bahut khoob!
Old
  (#8)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
Thumbs up bahut khoob! - 13th May 2002, 10:58 PM

adaab shumaila ji - humari tareef kubool kijiye - bahut achcha likha hain aapne - khaaskar hume yeh sher pasand aaye -

mere dil pe,dastaq deta hai,koi baar baar
mere jazbaatoN ko,jhanjhoRta hai,koi baar baar

jitna mai door jaana chaahti hoon
utna hi paas,bulaata hai,koi baar baar

haye ree! kismat ki maari 'Shumaila' ko
aaj phir,apnaa banana chaahta hai,koi baar baar !!!

- hume yeh aapki ghazal itni achchi lagi ki ab to aapki baaki ghazal par ghour farmaane ka bhi mann aa gaya hain - likhte rahiyega!


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Thanx again!!
Old
  (#9)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx again!! - 14th May 2002, 05:49 PM

Ek baar phir teh-e-dil se shukriya kabool farmayeiN Mahek!!:-)

Regards,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
salam shumaila ji ...
Old
  (#10)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
salam shumaila ji ... - 25th May 2002, 07:42 PM

salam shumaila ji ....

aapka be had shukriya ke aapne meri ghazal ( muhabbat or doree ) pasand farmaee .......

or mazirat chata hon ke jawab der se de raha hon ........

aapki ghazal pari .........behad pasand i ...... aap buhut peyare andaz men sochti hen .......kabi kabi buhut gehraee men chali jati hen .............aapne kaha :

mustaqbil men bhala kese rakkhon qadam
jab mazi ki yad dilata he koi ......... bar bar

or phir is se peh le .........aapki peyri shaksiyyat kisi ko majboor kar ti he ...chunanche ...aap kehti hen :

jitna men door jana .................... chahti hon
otna he pas bulata he koi ............... bar bar

aata rehta he mere khayalon men bin bulaae
reh reh ke mere ehsaan ko jatata he bar bar

or aakhri bet to kamal ka he ......:

haae re qismat ki mari ........... ( shumaila ) ko
aaj phir apna banana chahta he koi .. bar bar

aapki sit par bi aapke kuch ashaar pare .....buhut ache lage ...ab men aap doston se sikha karonga ..........

meri duaen aapke sath hen .....
sagar kashmiri


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
w'salam Sagar!!!
Old
  (#11)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile w'salam Sagar!!! - 26th May 2002, 05:13 PM

Sab se pehle aapko khushamadeed kehna chahti hooN is shayri ki duniya meiN

Jis khuloos aur khule dil se aapne meri ghazal ki taareef ki hai...uske liye dil se shukriya kabool farmaayeiN Yakeen maane hume bilkul likhna wikhna nahi aata hai....bas haal hi meiN shuru kiya hai likhna aur kuch tukbandi kar lete haiN...lekin jab logoN ko ye hi koshish pasand aati hai to bahut hausla baDhta hai aur phir kuch naya likhne ko jee chahta hai!!

Shukriya ek baar phir!!

Adaab,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
anjali
Guest
 
Posts: n/a
Thumbs up 1st June 2002, 06:58 PM

dear shumaila ji
aapki shayari mujhe bahut pasand aaye.
mein bhi kuch urg karna chahti hun.

aisa nahin hai par aisa na ho kahin
usne mujhe dekhkar dekha na ho kahin

kadmon ki chaap der se aati hai kaan main
koi mere khyloon mein phirta na ho kahin

ye kon zhaank raha hai gali ki oat se
batti bujha ke dekh savera na ho kahin.........
   
Reply With Quote
Thanx!!
Old
  (#13)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx!! - 5th June 2002, 04:50 PM

Thanx a lot anjali for liking my ghazal!!Aapne bhi bahut accha likha hai..parhke wah nikalti hai Why don't u also trying writing ghazals..I'm sure bahut accha likh sakti ho

aisa nahin hai par aisa na ho kahin
usne mujhe dekhkar dekha na ho kahin

kadmon ki chaap der se aati hai kaan main
koi mere khyloon mein phirta na ho kahin

ye kon zhaank raha hai gali ki oat se
batti bujha ke dekh savera na ho kahin.........

Wah Wah!!

Bye,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
too good
Old
  (#14)
dreamzhigh
Registered User
dreamzhigh is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Jul 2002
Location: karachi
Rep Power: 0
Thumbs up too good - 20th July 2002, 03:14 AM

hey realy nice i must say lagta hi beign a girl really u have wrtien it from the core of ur heart .keep it up


jab dil totey ga to faryad karoge ..... jab hum na hongey to yad karoge.
   
Reply With Quote
Re: beautifully written!
Old
  (#15)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Re: beautifully written! - 20th July 2002, 05:44 PM

Quote:
Originally posted by Sakhee
hi shumaila ji,

nice ghazal! bahut pasand aayi!!



wah wah!! bahut khoob!!
Take care!
Thanx a lot sakhee!!

Aapse pehli dafa baat ho rahi hai....I want to welcome u to shayri.com

ye to thori purani ghazal thi....maine kuch nayi ghazals bhi post ki haiN..waqt mile to paRh lijiyega!!!

Shukriya

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Re: too good
Old
  (#16)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Re: too good - 20th July 2002, 06:00 PM

Quote:
Originally posted by dreamzhigh
hey realy nice i must say lagta hi beign a girl really u have wrtien it from the core of ur heart .keep it up
Thanx a lot for ur beautiful words..It really encourages me to write more and more!!

Thanx...do keep visiting!!

Bye,
SHumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
bahot khoob.....
Old
  (#17)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
bahot khoob..... - 25th September 2003, 08:24 PM

bahot accha lagaa aapki ghazal padhke..
shayri ke rules aur kuch gair shaayraanaa words ko agar nazar andaaz kiyaa jaaye to ... jo khayaal aapne pesh kiye hain... hame bahot apne se lage. aaj arse baad bazm me aaya aur puraane doston ki ghazlein dekhne lagaa to .. aapki ye ghazal bahot acchi lagi.. khaas kar.. ye lines.

raah chalte chalte kadam thahar jaate hain
Wallah!har shai mein,nazar aata hai,koi baar baar

aata rahta hai mere khayaloN mein bin bulaaye
rah rah kar,mere ehsaas ko,jagata hai,koi baar baar

mustaqbil mein bhala kaise rakhooN kadam
jab maazi ki yaad,dilaata hai,koi baar baar

bahot khoob khayal hai..
jab khayal apne se hon.. zindagi ki kuch haqiqat se mel khaate hon to... woh sher dil ko chhoo jaate hain

ummeed hai.. ki aapko hum yaad honge. bahot dino baad aaye hain isliye. jyada waqt to nahi hai.. fir bhi kuch sher yahin aapke hawaale kiye jaa rahe hain.

na fizaa me namii hai naa aasmaaN me taare
ye kiski shaksiyat .... gumnaam ho gayi.

ye pyaasi laher aakhir kidhar jaati hai
saahil ko chhoo ke aksar jo laut jaati hai.

tera jor mujhse jyadaa is dil pe chal gaya.
dekho khuda ke saamne kaise badal gaya.

ek aakhiri..

khushi ki ik lau tak nahii... har taraf andheraa-e-gham hai
dil jaloN.....dil jalaaO..... ke raushnii kam hai.

muaaf kijiyegaa.. hamare sab sher ik aapko hi sunaaye jaa rahe hain.. waqt kam hai.

izaazat chaahta hun
khush rahiyegaa
rab rakha

yours.
rahULi


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
Thanx a lot...
Old
  (#18)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx a lot... - 26th September 2003, 12:40 AM

Arey wah Rahul jee aap...maine khud arse se yahan aana choRh diya hai lekin aaj jab mujhe inbox mein message aaya ke some1 has replied to my post.. i was shocked ke kisne meri itni purani ghazal pe comments diye hain then I saw u...very nice to see u after such a long time...ye kaafi puraana kalaam hai mera FEb 2002 ka...jab mujhe ghazal beher mein likhni nahi aati thi..ab to ghazal kaafi hadh tak beher mein likhne lagi hoon Technical ghalti ke bawajood aapne mere kalaam ko pasand farmaaya uske liye main aapki mamnoon hoon ke waqiai ye maine dil se likhi thi ghazal.

Aapke liye apni haal ki ghazloN mein se ek ghazal post kar rhai hoon new thread mein...dekhiyega zaroor!!

Duaoon mein yada rkahiyega,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
27th September 2003, 05:03 AM

Wah, bohot khub likhha hein aapne. Keya ahsaash hein.
Ha koi toh zaroor hote hein jo aise hi bulate rahte hein!!
Sukriya. Likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega.
Khuda Hafiz.
Shimul.

Kuch aise toh nehi?

Koi nehi hein fhir bhi awaz arahi hein
shayed meri mohabbat mujhko bula rahi hein?


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Ritu
Ritu Roy
Ritu will become famous soon enoughRitu will become famous soon enough
 
Ritu's Avatar
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Sep 2003
Location: Jamnagar, Gujarat
Rep Power: 0
28th September 2003, 03:15 PM

Shummu ???? Hum yahaan bhi mill gaye


Too good ! i loved it!

Last edited by Ritu; 28th September 2003 at 03:17 PM..
  Send a message via Yahoo to Ritu Send a message via MSN to Ritu Send a message via Skype™ to Ritu 
Reply With Quote
Old
  (#21)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
30th September 2003, 05:01 PM

Thanx a lot Shimul and Ritu


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii -. 0aayush Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 15th June 2010 10:56 AM
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 9th August 2008 11:23 AM
tumhe baar baar dekta hoon nandan Shayri-e-Ishq 0 17th April 2005 04:27 PM
KHAT US KO BAAR BAAR LIKHO, ILTEJA KARO - by Qateel Rajasthani Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 18th December 2003 05:07 PM
saw baar chaha tumhey ek baar bhi nibha na sakey husn_haya Shayri-e-Dard 4 26th May 2003 01:09 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com