Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ye safar jo tanha hai is qadar
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
ye safar jo tanha hai is qadar - 20th September 2014, 12:45 PM

ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN


tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN


jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN


bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN


buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
20th September 2014, 08:29 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN


tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN


jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN


bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN


buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded
Tasleemaat Zarraa Bhaee!! Takheer e haazri kay liyay maazrat!

Sub'hanAllah!!

aapki meyaaree shayari kay is namoonay ki tareef khaaksaar ke ilm-e-alfaaz-e-tahseeni say paray haye! Bas jo kuch fahm kar sakay wo likh rahay hayn,

Takhayyul: Sub'hanAllah, philosophical to the limit!

Taghazzul: Sub'hanAllah!! Misaal e shayar e Maahir-ul-bahr! Misaal e ustaad e maahir e lughat!
Bayshak aapnay itnee taweel bahr ka ist'emaal kiya haye lakin Sub'hanAllah, rawaani jaysay behti ganga ho!!!

Sub'hanAllah! Khaaksaar ki jaanib say bayshumaar daad Qabool karayn!! Reps due rahay, inshaAllah Jald he aap tak pahunch jaayayngay!


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
21st September 2014, 11:39 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Tasleemaat Zarraa Bhaee!! Takheer e haazri kay liyay maazrat!

Sub'hanAllah!!

aapki meyaaree shayari kay is namoonay ki tareef khaaksaar ke ilm-e-alfaaz-e-tahseeni say paray haye! Bas jo kuch fahm kar sakay wo likh rahay hayn,

Takhayyul: Sub'hanAllah, philosophical to the limit!

Taghazzul: Sub'hanAllah!! Misaal e shayar e Maahir-ul-bahr! Misaal e ustaad e maahir e lughat!
Bayshak aapnay itnee taweel bahr ka ist'emaal kiya haye lakin Sub'hanAllah, rawaani jaysay behti ganga ho!!!

Sub'hanAllah! Khaaksaar ki jaanib say bayshumaar daad Qabool karayn!! Reps due rahay, inshaAllah Jald he aap tak pahunch jaayayngay!
Janaab Ahmad sahab ... tah e dil se mashqoor o mamnoon hoon jo aap ne is koshish ko apnaaya, is ke ehsaasaat ko dil mein jagah di, is dariyadilee se pazeeraayee bakshi aur itne pyar se hausla afzaayee karee. bahaut bahaut shukriya aap ka aur dheron duaein aap ko !!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
22nd September 2014, 09:53 AM

Zarra ji namaskaar

aap to behad khoobsurat likhte hai, aur aapki urdu to...kamaal ki hai, agar aap mushkil lafzoN ke hindi meiN matlab na bayate to muj jaise ko samaj hi na aaye, bahut bahut shukriya jo hindi meiN bhi matlab likh detey hai aap.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
22nd September 2014, 12:19 PM

Waaah bhai waahhh dil bahut khush ho gaya ye ghazal padh kar. Bayaan nahi kar sakta apne ehsaas. Behad mubarakbad bhai aapko.


_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
22nd September 2014, 12:42 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN


tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN


jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN


bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN


buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded

aafreen aafreen.......... wallaaah

Zarraa bhai kya likh diyaa yaar.... rooh tak utar raha hai iska ek ek lafz... har aah pe ek waahh nikal rahii hai bhai........ tahe dil sse aapko mubaarakbaad detaa hhoon mere bhai..... hhar sawaal yoon chubh rahaa hai ke mere dil cheer ke nikalnaa chaah raha hai...... hhar kyun par ek tees si nikaltee mahsooos ho rahiii hai bhai...... bahot khoooob.....

Allah kare ho zore qalam aur ziyaada...

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
22nd September 2014, 08:58 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Zarra ji namaskaar

aap to behad khoobsurat likhte hai, aur aapki urdu to...kamaal ki hai, agar aap mushkil lafzoN ke hindi meiN matlab na bayate to muj jaise ko samaj hi na aaye, bahut bahut shukriya jo hindi meiN bhi matlab likh detey hai aap.
Namaste Sunita di...is sneh aur mamta bhari pazeeraayee ka bahaut bahaut shukriya.

Aur aap ko "most welcome" words ke translations ke liye. Asal mein main ne bhi isee tarah Urdu seekhee thee aur shora ke qalaamon mein urdu alfaaz ke translations dekh dekh ke aur aaj bhi wahi silsila jaaree hai. isliye aadatan khaas alfaaz ke translations likh deta hoon.


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
25th October 2014, 08:11 PM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Waaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhh! har ek 'kyooN' ke baad bas waahhh! Zarraji itni khoobsurat ghazal hai ki man karta hai padhtey hi jaun khatam na ho....aur maqtaa to bemisaal hai...behad umdaa qalaam keliye dheron dheron daad zarraji aapki ghazal ek alag hi duniya meiN ley jaati hai
N@zneen ji ... aap ne is ghazal ko itna sneh aur prem diya, ye waaqayee aap ki dariyadili hi hai. Ji bahaut bahaut ehsaanmand hoon aap ka. aap ne is ghazal ke ek sher ko apna signature banaane kar jo izzat afzaayee farmaayee hai, to pair ye ghazal jitni achchee thi naheeen us se kaheen ziyada behtar jaan pad rahi hai aap ki qadr daani pa kar. Aap ka beshumaar shukriya ada karta hoon aur aap ko meri or se dheron duaein!!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
26th October 2014, 09:55 PM

Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!! View Post
Waaah bhai waahhh dil bahut khush ho gaya ye ghazal padh kar. Bayaan nahi kar sakta apne ehsaas. Behad mubarakbad bhai aapko.
Bahaut bahaut shukriya Anjaan sahab is koshish ko tawajjo dene ka ... aap ka tah e dil se mashqoor hoon


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
palulovable
Registered User
palulovable is on a distinguished road
 
palulovable's Avatar
 
Offline
Posts: 178
Join Date: Jan 2005
Location: delhi
Rep Power: 20
26th October 2014, 10:59 PM

Namatey zaara ji

Kya baat hai ....ek se ek badhek kalaam gazal padhne ko milti hai yaha to...aur mai agree karti hu sunita jisse ki aapne urdu ke meaning likh diye warna mushkil ho jati samjhne mai...bahut hi khub likha hai apne aaur asha karti hi jaldi hi mai bi urdu sikh jaungi yaha ap jaise ko padh padh ke..

Apki nayi gazal or kalaam ka intezar rahega..aur naye urdu ke word.sikhne ko milenge

Bye takecare


If you have it [love],
you don't need to have anything else.
If you don't have it,
it doesn't matter much what else you do have.
  Send a message via Yahoo to palulovable  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
27th October 2014, 08:11 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN


tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN


jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN


bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN


buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded
Zarra sahab bahut hi khoobsoorat bayaaN kii hai aapne apne ahsaasoN ko.....dili daad.....sach kahuN to be-shumaar daad aapke is peshash per....
har sher behtareen...........

"jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN"

bahut khoob dost.....


Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#12)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
27th October 2014, 08:11 PM

Zarra jee kya baat hai...ek shandaar ghazal naseeb hui hame aapke karam se.,bahut bahut shukriya aapka....kitni pyari urdu likhi hai aapne...waah..



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
28th October 2014, 12:32 AM

Zarra sahib ..kya likhtein hain app . Bhai mijhe apna shagird bana lo. Aapki sohbat mili
tau kuch maiN bhi likh paunga urdu zaban mein ek din.
Bahut achche , Dil se daad kabool karein.

sanjay sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
28th October 2014, 12:40 PM

Zarraa saab,

aapko jitnii baar paDHtaa hooN bas apne aap ko aapke thread pe aane se rok nahiN paataa kyuN ki har baar ek nayii soch ek naye andaaz kii arzoo rehtii hai....

iis ghazal meN bhii wahi paayaa....

bahot hi khub ghazal hai... dheroN daad aur mubaarakbaad.....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com