HELLO TO EVERYONE.....
I Like shayri & want to be a part of shayri.com
hope shayri ka yeh safar aap dosto k sath acha guzrega
aap sab dosto k liyeh is nacheez ki taraf se...!
Aaye hai teri mehfil mai chahe jo ilzaam do
kaho ajnabee ya phir isai dosti ka naam do
waqif nahi hu main tere ilm-o-hunr se lekin
apna azeez samajhkar kuch tau kaam do
aankho mai khwaab liyeh teri aur chala aaya
na de yu,n saza ab kuch tau iska anjaam do
mana k tu safar-e-zindagi mai hai mashghool
ho sake tau udhar apni ek shaam do
rahengai teri ik haa k muntazir ai 'ALI
meri is masoom chahat ka kuch tau inaam do