Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 12 votes, 5.00 average. Display Modes
Kuch mashoor gazalain
Old
  (#1)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
Thumbs up Kuch mashoor gazalain - 15th September 2005, 04:56 PM

Hai baski her ek un ke ishare mein nishan aur
Kerte hain muhabbat to guzarta hai giran aur
Yaarab! woh na samjhe hain na samjhenge meri bat
De aur dil un ko, jo na de mujh ko zaban aur
Abro se hai kaya us nigahe naaz ko paiwand
Hai teer muqarrer magar uski hai kman aur
Tum shaer mein ho to hamein kaya gum, jab uthenge
Le ayenge bazaar se jaker dil-o-jaan aur
Her chand subuk dast huai but shikani mein
Hum hain to abhi rah mein hai sunge geran aur
Hai khoone jigar josh main, dil khol ke rota
Hote jo koi dedai khoon nabah fishan aur
Merta hon is awaz pe, her chand ki ser ud jaai
Jallad ko lakin woh kahe jaien ki "han' aur"
Logon ko hai khurshide jahan tab ka dhoka
Her roz dikhata hon ek dage nihan aur
Laita na agar dil tumhien daita, koi dam chain
Keta jo na merta koi din, aah-o-fugan aur
Pate nahin jab rah, to chud jate hain nale
Rukti hai mei taba to hoti hai rawan aur
Hain aur bhi duniya mein sukhanwer bahut achche
Kahte hain ki Ghalib ka andaze bayan aur

*******************************************
Safaye hairate aiena hai, samane zang akhir
Tagaiur, aab ber ja mandah ka, pata hai rung akhir
Na ki saman aish-o-jaah ne tadbeer-o-wahshatki
Hua jame zamurrad bhi mujhe dage palng akhir

*******************************************
Junon ki dastagiri kis se ho, ger ho na uryani
Garaiban chak ka haq ho gaya haimeri gerdan ka
Barange kagaze atash zdah neerange baitabi
Hazar aiena dil bandhe hai bale yk tapedan per
Falak se hum ko aishe raftah ka kaya kaya taqaza hai
Mataye burdah ko samjhe huia hain qerz rahzen per
Hum aur who be sabab runj ashna dushman, ki rakhta hai
Shuai mohr se tohmat nigah ki chash me rozan per
Fana ko saunp ger mshtaq hai apni haqeeqat ka
Faroge tale khashak hai mauqoof gukhan per
Asad bismil hai kis andaz ka qatil se khta hai
Ki"mashqe naaz ker, khoone dualam meri gerdan per

*******************************************
Sitam kash maslehat se hon ki khooban tujh pe aashiq hain
Takalluf bertraf, mil jayega tujh sa raqeeb akhir

*******************************************
Lazim tha ki daikho mera rasta koi din aur
Tanha gai kiyon, ab raho tanha koi din aur
Mit jaiga ser, ger tera patther na ghise ga
Hoon der pe tere nasiya fersa koi din aur
Aye ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaoon
Mana ki hamaisha nahin, achcha koi din aur
Jate ho kahte ho qyamat ko milein ge
Kaya khoob qayamat ka hai goya koi din aur
Han, ai falake peer!jawan tha abhi arif
Kaya tera bigadta jo na merta koi din aur
Tum mahe shabe char dahum the mere gher ke
Phir kion na rha gher ka naksha koi din aur
Tum kaun se the aise khare da dostad ke!
Kerta malak-ul-maut taqaza ki din aur
Mujh se tumehn nafrat sahi, nayyer se ldayee
Bachchon ka bhi na daikha tha tmasha koi din aur
Guzri na bher hal ye muddat khush-o-nakhush
Kera tha jawan merg! Guzara koi din aur
Nadan ho kiyon kahte ho ki jite hain Ghalib!
Qismat mein hain merne ki tamanna koi din aur

Farigh mujhe na jaan, ki maninde subho maher
Hai daghe ishq zeenate jaibe kafan hunooz
Hai naz mufsilan zare az dast raftah per
Ho gul farosh shokhiye daghe kohan hunooz
Maikhanai jigar mein yahan khak bhi nahin
Khamyazah khinche hai bute bedade fun hunooz

*******************************************
Hareefe matlabe mushkil nahin fusoone niyaz
Dua qabool ho yaarab ! umre khizre draaz
Na ho bah herzah, biyanban naurade waheme wajood
Hunooz tere tasaur mein hai nashaib-o-fraz

*******************************************
Wesale jalwah tamashaye, per dimagh kahan
Ki dejiye aienai intezar ko perwaaz
Her eik zarrai aashiq hai aaftab parast
Gaye na khak huai per hawaye jalwai naaz
Na pooch wosate maikhanai junon Ghalib!
Jahan ye kasai gerdon hai eik khak andaz

*******************************************
Wosate saie karam daikh kih ser ta ser khak
Guzre hai aabla pa abre goher bare hunooz
Yak qalam kaghaze aatash zadah hai safhai dasht
Naqshe pa mein hai tabe germi raftare hunooz
Kiyon ker us butse rakhoon jaan azeez
Kaya nahin hai mujhe ieman azeez!
Dil se nikla, pah na nikla dil se
Hai tere teer ka paikan azeez
Taab laye hi bane gi Ghalib!
Waqia sakht hai aur jaan azeez

*******************************************
Na gule naghmah hon na perdai saaz
Main hon apni shikast ki aawaaz
To, aur araishe khame kakul
Main aur andazhaai door-o-draaz
Laafe tamkeem : faraibe sadah dili
Hum hain, aur razhai seena gudaaz
Hon giraftare ulfate sayyad
Werna baqi hai taqate perwaaz
Woh bhi din ho ki us sitamger se
Nazz khinchon bajai hasarte naaz
Nahin dil mein mere woh qatrai khoon
Jis se masgan huyee ho gulbaz
Ai tera ghamzah ek qalam angaiz
Ai tera zulm, ser baser andaaz
To hua jalwah ger, mubarak ho
Raizishe sajdai jabeene neyaz
Mujh ko pooch to kuch ghazab na hua
Main ghareeb aur to ghareeb nawaaz
Sad-ul-laah khan tamam hua
Ai daraigha, woh rinde shahid baaz!

Masdah, ai zauqe aseeri! Ki nazar aata hai
Dame khali, qafase murghe giratar ke paas
Jigare tashnai azaad, tasalli na hua
Jooai khoon hum ne bahaie bune her khar ke paas
Mund gaien kholte hi aankhine hai hai !
Khub waqt aayie eis aashiqe bimar ke paas
Main bhi ruk ruk ke naa marta' jo zaban ke badle
Dushna ek tez sa hota mere ghamkhuwaar ke paas
Dahane sher mein jaa bathe lekin ayi dil !
Naa khade ho jaiye khubane dil aazar ke paas
Dekh kar tujhko chaman baske namu karta hai
Khud bkhud pahunchein hai gulgoshai dastar ke paas
Mar gaya phod ke sir ghalib wehshi hai hai !
Baithna uska who' aakar teri deewar ke paas

Naa lewe gar khase johar tarawat sabzai khat se
Lagai khanai aaine mein ruiye nigar atish
Faroghe husan se hoti hai halle mushkile aashiq
Naa nikle shama ke pase' nikale gar naa khar atish

Jadai reh khoor ko waqte sham hai tare shaa
Charkh wakarta hai mahe nau se aghoshe wida

*******************************************
Rukhe nigar se hai soze jawedani shama
Huie hai atashe gul aabe zindgani shama
Zubane ahle zuban mein hai merg khmoshi
Ye baat bazam mein raushan huei zabani shama
Kare hai sirf bah iemaai sholai qissa tamam
Bah terse ahle fana hai fasana khuani shama
Gham uski hasrate perwanah ka hai ai shole!
Tere larazne se zahir hai natawani shama
Tere khayal se rooh ehtaraz kerti hai
Bah jalwah raizi bad-o-bah pur fishani shama
Nishate daaghe ghame ishq ki bahar na pooch
Shaguftagi hai shaheede gule khizani shama
Jale hai, daikh ke baleene yaar per mujh ko
Na kiyon ho dil pe mere daghe badgumani shama

Beeme raqeeb se nahin kerte widae hosh
Majboriyan talak huai ai akhtiyare, haif!
Jalta hai dilki kiyon na hum ek bar jal gai
Ai na tamami nafse shoal bare haif!

Zakhm per chidkin kahan tiflane be perwa namak
Kaya maza hota agar patther mein bhi hota namak
Girde rahe yaar hai samane naaze zakhme dil
Wernah hai jahan mein kis qader paida namak
Mujh ko arzani rhai, tujh ko mubarak ho namak
Nalai bulbul ka dard aur khandai gul ka namak
Shore jolan tha kinare baher per kiska ki aaj
Girde sahil hai bah zakhme maujai dariya namak
Daad daita hai mere zakhme jigar ki wah wah!
Yaad kerat hai mujhe daikhe hai woh jis ja namak
Chodker jana tane majroohe aashiq haif hai
Dil talab kerta hai zahkam aur mange hain aaza namak
Gair ki minnat na kheechonga pai taufeer derd
Zakham misle khndai qatil ser ta pa namak
Yaad hain Ghalib !tujhe woh din ki wajde shauq mein
Zakham se girata, to main palkwon se chunta tha namak

*******************************************
Aah ko chahiye ek umr aser hone tak
Kaun jita hai tere zulf ke ser hone tak
Dam her mauj mein hai halqai sad kame nahnag
Dakhein kaya guzrein hain qatre pe guher hone tak
Aashiqi sebr talab, aur tamanna baitab
Dil ka kaya rung karon khoone jiger hone tak
Hum ne mana ki taghaful na karoge laikin
Khak ho jain ge hum tum ko khabar hone tak
Pertawe khoor se, hai shabnam ko fana ki taleem
Main bhi hon eik enayat ki nazar hone tak
Yak nazar baish nahinfursate hasti ghafil!
Germie bazam hai ek raqse sharer hone tak
Ghame hasti ka!kis se ho juz mege ilaaj
Shama her rung mein jalti hai shaher hone tak

Ger tujh ko yaqeen ejabate, dua na maang
Yani bagair yak dile be muddua na maang
Aata hai daaghe hasrate dil ka shumare yaad
Mujh se mere gunah kahisab, ai khuda na maang

Hai kis qader halake faraibe wafaye gul
Bulbul ke karobar pe hain khandhai gul
Azadiye naseem mubarak ki her taraf
Toote padein hain halqai, dame hawai gul
Jo tha, so mauje rung ke dhoke mein mer gay
Ai waye nalai labe khooneim nawai gul!
Khosh haal us hareefe seeyeh must ka ki jo
Rakhta ho misle sayaye, ser bah paye gul
Ijad kerti hai use tere liye bahar
Mera raqeeb hai nafase etre saye gul
Shermindah rakhte hai mujhe bade bahar se
Meenaai be shrab-o-dile be hawaye gul
Satwat se tere jalwai husne ghayoor ki
Khoon hai meri nigah mein runge adai gul
Tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak
Be akhtiyar daude hai gul derqafaye gul
Ghalib ! mujhe hai us se hai hum aaghoshi arzoo
Jiska khaial, haigul jaib qabai gul

Gham nahin hota hai azadon ko baish az yak nafas
Berq se krte hai raushan shamai matam khana hum
Mahfilein berham kere hai ganjafa baze khayal
Hain waraq gerdani neerune yak but khanah hum
Bawajood yak jahan hangamai, paidayee nahin
Hain chiraghane shabistane dile perwanah hum
Zof se hai ne qanaat se ye terke justajo
Hain wabale takiyah gahe himmate merdana hum
Daim-ul-habas is mein hai lakhon tamannaein Asad!
Jante hain seenai pur khoon ko zindan khanah hum

*******************************************
Bah nalah hasile dilbastagi frahum ker
Mataie khanai zanjeer juz sada maloom

*******************************************
Mujh ko dayare gair mein mara watan se door
Rakhli mere khuda ne meri baikasi ki sherm
Woh halqah hai julf kameen mein hain, ai khuda!
Rukh lijio mere dawe warastagi ki sherm

Loon dame bakhte khaftah se yak khuabe khosh wale
Ghalib ! ye khauf hai ki khan se ada karoon

*******************************************
Woh firaq aur woh wisal kahan
Woh shab-o-roz wo maah-o-sal kahan
Fursate karobare shauq kise
Zauqe nazzarai jamal kahan
Dil to dil woh dimagh bhi na raha
Shore saudaye khat-o-khaal kahan
Thi woh ek shakhs ke tasauur se
Ab woh ranaiye khayal khan
Aisa aasan nahin lahoo rona
Dil mein taqatr jiger mein haal kahan
Hum se chota qumar khanai ishq
Wan jo jaein girah mein maal kahan
Fikre duniya mein ser khpata hon
Main kahan aur ye wabaal kahan
Muzmahil ho gai qawa Ghalib !
Woh anasir mein aitedal kahan

*******************************************
Ki wafw hum se, to gair us ko jafa kahte hain
Hoti aayee hai ki achchon ko bura kahte hain
Aaj hum apni parishani khatir un se
Kahne jate to hain, per daikhiye kaya kahte hain
Agle waqton ke hain ye log unhein kuch na kaho
Jo mai-o-naghmah ko andohruba kahte hain
Dilmein aajate hai, hoti hai jo fursat ghash se
Aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain
Hai pere serhade adraak se apna masjood
Qible ko ahle nazar, qiblak numa kahtein hain
Paye afgar pe jab se tujhe rahm aya hai
Khare rah ko tere hum mohre giya kahte hain
Ek sharer dil mein hai, su se koi ghabraye ga
Aag matloob hai hum ko jo hawa kahtein hain
Daikhiye lati hai us shokh ki nakhwat kaya rung
Us ki her bat per hum name khuda kerte hain
Wahshto shaifta ab mersiys kahwein shayad
Mer gaya ghalibe aashaftah nawa kahtein hain

*******************************************
Aabro kaya khak us gul ki gushan mein nahin
Hai gariban nanuge pairahan, jo daman mein nahin
Zof se ai giryah! Kuch baqi mere tan mein nahin
Rung ho ker udgaya, jo khon ke daman mein nahin
Ho gai hain jama ajzaye nigahe aaftab
Zarre uske gher ki deewaron ke rauzan mein nahin
Raunaqe hasti hai ishq khana weeran saz se
Anjuman be shama hai, ger berqe khirman mein nahin
Zakhm silwane se mujh pe charai jooi ka taan
Gair samjha hai ki lazzat zakhme sozan mein nahin
Baski hum hain eik bahare naaz ke mare huai
Jalwai gul ke sewa, gerd apne madfan mein nahin
Qatrah qatrah eh hiyolahai, nai nasoor ka
Khoon bhi, zauqe derd se farigh mere tan mein nahin
Le gaye saqi ki nakhwat, qulzame ashami meri
Mauj mai ki aaj rag, meena ki gerdan mein nahin
Ho fisher zof mein kaya natawani ki ki namood!
Qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin
Thi waten mein shan kaya, ghalib!kih ho gurbat mein qadar
Be takalluf, hon who mushte khaskih gulkhan mein nahin

*******************************************
Ohde se madhe naaz ke baher na aasaka
Ger eik ada ho to use apni qazakahon
Halqe hain, chashm hai kushadah bsooai dil
Her tare zulf ko nigah surma sa kahon
Zalim mere guman se mujhe munfail na chah
Hai hai, khuda nakerdah, tujhe bewafa kahon!

*******************************************
Meherban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
Main gaya waqt bhi nahin ho ki phir aa bhi nasakon
Zof mein tanai aghiyar ka shikwah kaya hai
Bat kuch ser bhi nahin hai ki utha bhi na sakon
Zaher milta hi nahin mujh ko sitam ger werna
Kaya qasam tere milne ki kih kha bhi na sakon

*******************************************
Hum se khul jaao bah waqte mai parasti eik din
Wernah hum chadenge, rakh ker uzre masti eik din
Gharai auje banai aalame imkan na ho
Is bulandi ke naseebon mein hai pasti eik din
Qerz ke peete the mai, samjhte the ki han,
Run g lawey gi hamari faqah masti eik din
Naghmahai gham ko bhi, ai dil ghneemat janeye
Be sada ho jaiga ye saze masti eik din
Dhool dhappa us srapa naaz ka shaiwah nahin
Hum hi ker baithe Ghalib paish dasti eik din

*******************************************
Hum per jafa se, terke wafa ka guman nahin
Ek chaid hai, wo ger nah murade imtehan nahin
Kis munh se shuker kijiye is lutfe khas ka
Pur shis hai aur pai sukhan dermiyan nahin
Hum ko sitam azeez sitam ger ko hum azeez
Na meherban nahin hai ager meherban nahin
Bosa nahin, na dejiye, dashna m hi sahi
Aakhir zuban to rakhte ho tum, girdahan nahin

Her chund jan gudazi qahro atab hai
Her chund pushte germi-o-tawan nahin
Jaa'n mutrabe tranai hulmimmurid hai
Lab, perdai sanje zamzamai alaman nahin
Khanjer se cheer seena age dl na ho doneem
Dil mein churi chibho ezah ker khonchkan nahin
Hai nanage dil ager atash kadah na ho
Hai adil, nafas az rafshan nahin
Nuksa'n nahin, junoon mein bla se ho gher khrab
Sau gaz zamin ke badle biyaban giran nahin
Kahte ho kaya likha hai teri ser nawisht mein!
Goya jabin pe sajdai but ka nishan nahin
Pata hon us se dad kuch apne kalam ki
Roohul qudus agerche mera hum zuban nahin
Jaan hai bahai bosa, wale kiyon kahein abhi
Ghalib ko janata hai ki woh neem jan nahin
*******************************************


SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mashoor gazal of Mirza ghalib Tausif shaikh Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 25th October 2010 09:05 PM
MAshoor mussafir Shayri-e-Dard 0 1st January 2007 07:01 AM
ek mashoor shayar ilyas_surti Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 23rd December 2006 06:23 PM
hum to mashoor hue hai movie dil hai ki manta nahi surbhi_lov1 Hindi/Urdu Lyrics 3 23rd January 2006 06:27 PM
mashoor daalmeinkala Shayri-e-Dard 0 6th September 2003 12:54 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com