Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 22 votes, 5.00 average. Display Modes
Mashoor gazal of Mirza ghalib
Old
  (#1)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
Thumbs up Mashoor gazal of Mirza ghalib - 15th September 2005, 04:48 PM

Arze niyaz ishq ke qabil nahin raha
Jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha
Jata dage hasrate hasti liye huai
Hon shamae kushtah, der khore mahfil nahin rha
Merne ki ai dil ! aur hi tadbeer ker ki main
Shayane dast-o- bazuai qatil nahin raha
Brooe shash jihat dare aiena baz hai
Yan imtiyaze naqis-o-kamil nahin raha
Wa ker diye hain shauq ne bnde neqabe husn
Gair az nigah, ab koi hail nahin raha
Go main raha raheene sitamhaye rozgar
Laikin tere khayal se gafil nahin raha
Dil se hawa ki kishte waea mit gayee wahan
Hasil sewai hasrate hasil nahin raha
Baidade ishq se nahin darta magar Asad!
Jis dil pe naaz tha mujhe who dil nahi raha

*******************************************
Rashk kahta hai ki, uska kagair se akhlas haif!
Aqal kahti hai hai ki, woh be muhre kis ka ashna!
Zarrah zarrah sagar maikhani neerung hai
Gardishe majnon bah chshmak haye lila ashna
Shauq hai saman ter az nazish arbab ajz
Zarrah sahra dast gah-o-qaterah dariya ashna
Mein aur eik afat ka tukda woh dil wahshi kih hai
Aafiyat ka dushman aur awargi ka ashan
Shikwah sanj rashk hum deegar nah rahna chahiye
Mera azano monis aur aienai tera ashan
Kohan naqash yak tamsal sheerin tha, Asad!
Sung se ser mar kar, huai na paida ashna

*******************************************
Zikr us pari wash ka, aur phir bayan apna
Man gaya raqeeb aakhir, tha jo razdan apna
Mai woh kiyon bazm gair mein yarab!
Aaj hi un ko hua manzoor un ko imtehan apna
Manzar ek bulandi par aur hum bna sakte
Arhs se edhar hota, kash ke mkan apna!
De who jis qadar jillat hum hansi mein talenge
Bare ashna nikla, unka pasban apna
Derde likhon kab tak jaon un ko dikhla don
Ungliyan figar apni, khamah khonchkan apna
Ghiste ghiste mit jata, ap ne abas badla
Nanuge sajdah se mere sung aastan apna
Ta kare na gammazi, kar liya hai dushman ko
Dost ki shikyat mein hum ne humzuban apna
Hum khan ke dana the, kis hunar meim yakta they
Be sabbab hua Ghalib dushman asman apna

*******************************************
Surmai mufte nazar hon, meri qismat hai yahi
Ki rahai chashme kharidar pe ahsan mera
Rukhsate nalah mujhe de ki mubada zalim!
Tere chehre se ho zahir game pinhan mera

*******************************************
Gafil, bah wahem naaz khud ara hai warna yan
Be shanai saba nahin turrah giyah ka
Bazme qdah se aish tamanna na rakh ki rung
Said zadam jastah hai is damgah ka
Rahmat agar qabool kare, kaya baeed hai
Sharmindagi se uzr na karna gunah ka
Maqtal ko kis nigah se jata hon mein ki hai
Pur gul khaiale zakham se daman nigah ka
Jaan dar hawai yak nigah garam hai, Asad!
Parwanah hai wakeel tere dad khuah ka

*******************************************
jaur se baz ayeper baz aiem kaya!
Kahte hain, hum tujh ko munh dikhai kaya
Rat din gardish mein hain sat aasma
Ho rahe ga kuch na kuch, ghabraein kaya!
Lag ho, usko hum samjhein ge lagau
Jab na ho kuch bhi, to dhoka khaein kaya
Ho liye kiyon namah bar ke sath sath
Yaa rab! Apne khat ko hum pahonchaein kaya!
Mauje khoon ser se guzer hi kiyon na jaay
Aastane yaar se uth jaein kaya!
Umr bher daikha kiya merne ki raah
Mer gai phir daikhiye dikhlayen kaya!
Poochte hai woh ki, Ghalib kaun hain?
Koi batlawe ki hum batlaein kaya!

*******************************************
Latafat be ksafat jalwah paida ker nhin sakti
Chaman, zangar hai aeinai bade bahari ka
Harrefe joshishe dariya, nahin khuddar-e-sahil
Jo saqi ho to, batil hai dawa hoshiyari ka

*******************************************
Ishrate qatrah hai, dariya mein fana ho jana
Derd ka had se guzarna hai dawa ho jana
Tujh se qismat mein reri soorate qafle abjad
Tha likha, baat ke bante hi juda ho jana
Dil hua kash makash charai zahmat mein tamam
Mit gaya ghisne mein is uqdey ka wa ho jana
Ab jafa se bhi hain mahroom hum allah allah!
Is qader dushmane arbabe wafa ho jana!
Zof se giryah mubaddil bah dam serd hawa
Bawer aaya hamein pani ka hawa ho jana
Dil se mitna teri angusht hinaee ka khayal
Ho gaya gosht se nakhun ka zuda ho jana
Hai mujhe abre bahari ka baras ker khulna
Rote rote game furqat mein fana ho jana
Gar nahin nikhate gul ko tere koche ki hawas
Kiyon hai girde rahe jolane saba ho jana
Bakhshe hain jalwai gul joshe tamasha Ghalib!
Chashm ko chahiye her rang mein wa ho jana
Taki tujh per khule ajaz hawai saiqal
Daikh bersatmein sabz aiene ka ho jana

*******************************************
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab
De bate mai ko dil-o-doste shana, mauj-e-shrab
Pooch mat wajhe seeyah masti arbabe chaman
Sayai taak mein hoti hai mauj-e-shrab
Jo hua gurqai mai, bakhte rasa rakhta hai
Ser se guzre bhi yeh bal huma mauj-e-shrab
Hai yeh barsat woh maosam ki ajab kaya hai agar
Mauje hasti ko, faize hawa mauj-e-shrab
Char mauj uthti hai toofan-e-tarabse her soo
Mauj-e-gul, mauj-e-shafaq, mauj-e-saba, mauj-e-bahar
Jisqadar rooh nabati hai jigar tashanai naaz
De hai taskee'n ba dam aabe baqa mauje shrab
Baski daudey hai rag-e-tak mein khoon hoho ker
Shahpar-e-rung se hai bal kusha mauj-e-shrab
Maujai gul se chiraqgan hai guzar gah-e-khayal
Hai tasauor mein zabis jalwah numa mauj-e-shrab
Nashe ke perde mein hai mahwe tamashai dimag
Baski rakhti hai sere nash-o-hum mauj-e-shrab
Eik alam pe hai toofani kaifiyat fasal
Maujai sanzai hasti hai zahe mausame gul!
Rahbare qatrah badariya hai, khusha mauj-e-shrab!
Hosh udte hain mere jalwai gul daikh Asad!
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab

*******************************************
Afsos ki dedan ka kaya rizq falak ne
Jin logon ki thi der khoore aqde guher angush
Kafi hai nishani tere challe ka daina
Khali mujhe dikhla ke bwaqt-e-safer angusht
Likhta hon Asad! sozish-e-dil se sukhan-e-germ
Ta rakh na sake koie mere herf per angusht

*******************************************
Rha ger koi ta qyamat slamat
Phir ek roz merna hai hazrat slamat!
Jigar ko mere, ishq khonaba mashrab
Likhe hain khudawand namat!slamat
Aler ragm-e-dushman shheed-e-wafa hon
Mubarak mubarak slamat slamat
Nahin ger ser-o-berg edrak mani
Tmashai neerung-e-soorat slamat

*******************************************
mun gaien kholte hi kholte ankhein Ghalib!
Yar laye meri balin pe use phir kis waqt

*******************************************
Amade khat se hua hai serd jo bazare dost
Doode shama kushtah tha, shayed khte rukhsare dost
Ai dile na aqibqt andaish !zabte shauq ker
Kaun la sakta hai tabe jalwai dedare dost
Khanai weran sazi-e-hairat tmasha kijiye
Soorate naqshe qadam, hon raftai raftare dost
Ishq mein badae rashke gair ne mara mujhe
Kushtai dushman hon akhir, ger che tha bemare dost
Chashme ma raushan, ki us baiderd ka dilshad hai
Dedai pur khoon hamara, sagare sershar dost
QAF
Gair yon karta hai meri pursish, us ke hijr mein
Bai takalluf dot ho jaide koi gamkhuare dost
Taki main janon ki uski rasaie wan talak
Mujh ko daita hai payame wadai deedare dost
Jab ki main kerta honapna shikwai zofe dimag
Ser kare hai who hadeese zulf anber bare dost
Chupke chupke mujh ko rote daikh pata hai, ager
Hans ke karta hai bayan shokhiye guftare dost
Mehr bani haye dushma ki shikayt kijiye
Yan byan kijiye sapase lazzate azare dost
Ye gazal apni mujhe ji se pasan ati hai aap
Hai radeefe shair mein, Ghalib!az bas takrare dost

*******************************************
Gulshan mein band-o-bast brunge digger hai aaj
Qumri ka tauq, halqai bairoon der hai aaj
Aata hai ek parai dil her fugan ke sath
Tare nafas, kmnde shikare aser hai aaj
Ai afiyt kinarah ker, ai intezam chel
Sailabe giryah derpai deewr-o-der hai aaj

*******************************************
lo hum mareeze ishq ke beemar dar hain
achcha agar na ho to masseha ka kaya ilaj

*******************************************
Nafs na anjumane arzo se baher kheench
Agar shrab nhin, intezare sagat kheench
Kmal-e-germi saee tlashe deeda na pooch
Barung khar mere aiene se jauher kheench
Tujhe bhanai rahat hai intezar ai dil
Kiya hai kis ne isharah ki naaze bister kheenh
Teri taraf ai ba hasrat nazarai nergis
Bah kori dil-o-chashm raqeebe sagar kheench
Ba neem gamzah ada ker haqe wadeate naaz
Neyam perdai zakhme jigar se khanjer kheench
Mere qdah mein hai sohbai atashe pinhan
Barooye safrah kbabe dil-e-sikender kheench

*******************************************
Husn, gamze ki kshakash se chuta mere bad
Bare aram se hain ahle jafa mere bad
Mansabe saiftagi ke koi qabil na raha
Huie mazolie andaz-o-ada mere bad
Shama bujhti hai to usmein se dhuan uthta hai
Sholai ishqe seeh posh hua mere bad
Khon hai dil ahwale butan per yani
Un ke nakhun huai muhtaj hena mere bad
Der khore arz nhin johare baidad ko ja
Nigahe naaz hai surmein se khafa mere bad
Hai junon ahle juno ke liye agoshe wida
Chak hota hai gariban se juda mere bad
Kaun hota hai hareefe mai murda figane ishq
Hai maker labe saqi pe sela mere bad
Gam se merta hon ki etna nhin duniya mein koi
Ki kare taziyat mahr-o-wafa mere bad
Aaye hai baikasiye ishq pe roona Ghalib!
Kis ke gher jaye ga sailabe bla mere bad

*******************************************
Bla se hain jo ye pashe nazar der-o-deewar
Nigahe shauq kjo hain bal-o-per, der-o-dewar
Wafoore ashk ne kashane kakiya yeh rung
Ki ho gai mere dewa-o-der, der-o-deewar
Nahin hai saya, ki sun ker nawaide maqdme yaar
Gai hain chand qadam badhter der-o-deewar
Huyee hai kis qaderarzani mai jalwah
Ki mast hai tere koche mein der-o-deewar
Jo hai tujhe sare sauday intezar to aa
Ki hai n dokane mtaye nazar der-o-deewar
Hujoome girya ka saman kab kiya mai ne
Ki gir padey na mere paon per der-o-deewar
Who aa raha hai mere sai se to hum sai mein
Huai fida der-o-deewar per der-o-deewar
Nazar mein khatke hai bin tere gher ki abadi
Hamaishah rote hain hum daikh ker der-o-deewar
Na pooch baikhudi aishe muqadme sailab
Ki nachte hai pade ser ba ser der-o-deear
Na kah kisi se ki Ghalib, nahin zamane mein
Haree raze muhbbat, , magar der-o-deewar

*******************************************
Gher jab bana liya tere derb per kahe bagair
Jane ga ab bhi too na mera gher, kahe bagair
Kahte hain, jab rahi na mujhe taqate sukhan
Janon kisi ke dil ki main kiyon ker kahe bagair
Kam uska aa pada hai ki jis ka jhan mein
Laiwey na koi nam sitamger kahe bagair
Ji mein hi kuch nahin hai hamare, wagerna hum
Ser jaei yaar hai, na rahein per kahe bagair
Chodonga main na us bute kafir ka poojna
Chodey na khalq go mujhekafir kahe bagair
Maqsad hai naaz-o-gamzah, wale guftagu mein kam
Chalta nahin, dashnah-o-khanjar kahe bagair
Bahra hon mein mujh ko chahiye dona hua iltefat
Sunta nahin hon bat mukarrer kiye bgair
Ghalib na ker huzoor mein too bar bar arz
Zahir hai tera haal sab un per kahe bagair

*******************************************
Kion jal gaya na, tabe rukhe yar daikh ker
Jalta hon apnni taqate dedar daikh ker
Atash parast kahte hai ahle jahan mujhe
Ser germ nalah haai sharer bar daikh ker
Kaya aabroai ishq, jhan aam ho jafa
Rukta hon, tum ko be sabab azar daikh ker
Ata hai mere qatl ko pur josh rashk se
Merta hon us ke hath mein talwar daikh ker
Sabit hua hai gerdane meena pe. Khoone khalq
Lerze hai mauje mai teri raftar daikh ker
Wahasrata! Ki yar ne kheencha sitam se hath
Hum ko harrese lazzate azar daikh ker
Bik jate hain hum aap mataye sukhan ke sath
Laikin ayare tabe kharidar daikh ker
Zunnar bandh, subhai sad danah tod dal
Rahrao chaley hai rah ko hum war daikh ker
In ablon se paon ke ghbra gaya tha main
Ji khush hua hai rah ko pur khaa daikh ker
Kaya bad guman hai mujh se ki aiene mere
Tooti ka aks samjhe hain zangar daikh ker
Girni thi hum pe berqe tajalli na toor per
Daite hain badah zerf qdah khuwar daikh ker
Ser fodna woh Ghalib shoridah hal ka
Yaad aa gaya mjhe, teri dewar daikh ker

*******************************************
Larazta hai mera dil zahmate mohre darakhshan per
Main hon woh qatrai shabnam ki ho khar biyaban per
Na chodi hazrate usuf ne yan bhi khana arayee
Safaidi deedai yaqoob ki phirti hai zindan per
Fina taleeme terse zindagi hon us zamane se
Ki mjnon lam alif likhta hai deeware dabistan per
Fragat kis qader rahti hai mujhe tashweshe merham se
Bahem ger sulah kerte parah haye dil namakdan per
Nahin aqleeme ulfat mein tomare naaz aisa
Ki pushte chashm se, jis ke na howey Muhre unwan per
Mujhe ab daikh ker abre shfaq alodah, yad aaya
Ki furqat mein teri, atash barasti thi gulisatn per
Bajuz perwaze shauqe naaz, kaya baqi raha hoga!
Qayamat ek hawaye tund hai khake sheesan per
Na lad naseh se Ghalib kaya hua ager us ne shiddat ki
Hamara bhi to akhir zore chalta hai garaiban per
*******************************************


SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Tausif shaikh
Azaad Khayal
Tausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to beholdTausif shaikh is a splendid one to behold
 
Tausif shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 431
Join Date: Feb 2005
Location: Mumbai, Maharashtra
Rep Power: 29
25th October 2010, 09:05 PM

Umeed hai mere chahnewalo ko mera ye collection bhi pasand ayega inshallah.


SamandaroN mieN muaafiq havaa chalaata hai...
Jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa ha...

Tausif I. Shaikh

  Send a message via Yahoo to Tausif shaikh  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mirza Ghalib donlove Shayri-e-Mashahoor Shayar 10 24th September 2011 04:17 PM
Mirza Ghalib ek pal Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 12th July 2010 03:04 PM
again mirza ghalib....................... anil_anna Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 21st December 2005 07:35 PM
mirza ghalib anil_anna Shayri-e-Ishq 1 21st December 2005 01:03 AM
A Gazal By "Mirza Ghalib Ji" friendnidhi Shayri-e-Mashahoor Shayar 6 23rd July 2005 11:05 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com