Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Old
  (#1)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
Love Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai - 27th January 2008, 08:08 PM

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai


Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai


Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai


Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai


Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai


Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai


Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

   
Reply With Quote
Old
  (#2)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
27th January 2008, 11:44 PM

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

well ritten..zabardastt ashaar..bahut achi lagi aapki yeh tehreer likhte rahen


yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??

--akelijaan--
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#3)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
29th January 2008, 11:52 AM

Har raah ki manjil nahi par,
chalna sabhi ko hai.
Har dil ko dildar ka sath na ho,
par dharkana to sabhi ko hai.
Bhale mulakat na ho mehbub se,,
payar to sabhi ko hai,
Koi keh de koi chupa le,
par kisi na kisi ka intzar to sabhi ko hai.

Thank u sir
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
29th January 2008, 03:55 PM

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai


...........bahut hi accha likhte hain aap....yunhi likhte rahe aur dil se daad kubool kare.....


..mausam


Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
30th January 2008, 02:39 PM

4u

Hum Laga baithe the dil pathar se,
tut gaye yeh khuda ki rza hai.
Ungliya dubi hai apne hi khoon se,
Yeh kanch ke tukkre Uthane ki saza hai
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Unn ki yaadooN ka jo palkooN par baseraa hogaa.. Mayank Shayri-e-Dard 16 28th April 2007 06:30 PM
Yaadoon kishor Shayri-e-Dard 0 18th April 2007 10:30 PM
Teri yaadoon ke charagoon b_a_d_s_h_a_h Shayri-e-Dard 0 14th September 2006 04:01 PM
*mujh se mera kya rishta hai har ik rishta bhool gaya.."Mumtaz Rashid jee"* Diggaj_Dave Ghazal Section 1 10th September 2006 05:37 PM
Tumhari yaadoon ki roshni Rani Shayri-e-Dard 2 20th April 2003 02:58 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com