 |
|
|
|
|
 |
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte -
27th November 2005, 10:46 PM
Ahl-e-mehfil ko mera adaab. Ek taweel arse ke baad iss bazm mein kuch leke haazir hua hoon. Jo hai so aapke saamne hai. Apne taasuraat se zaroor nawaazein.
yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte,
Qaraar-o-chain ko zer-o-zabar nahi karte.
zer-o-zabar = up & Down,
hamaari baat ki manaa ke ehmeeyat kam hai,
to hum bhi paar hadd-e-mukhtasar nahi karte.
hadd-e-mukhtasar = limit of shortness
yeh kiss libaas mein ayee hai kushi ghar mere,
isse qubool kyoN deewar-o-darr nahi karte.
kabhi hai dil ke masaayil to kabhi duniya ke,
khudaaya aap kyon mujh par nazar nahi karte.
masaayil=issues/matters.
woh be-dili se sune hai jo mein kahoon dil ki,
ajab hai baat kya jo dil mein ghar nahi karte.
dil mein tha wahm tere khwaab mein aaoon ya nahi,
aise haalaat mein koi safar nahi karte.
wahm=suspicion/doubt
shaoor khoob hai "Talib" ko magar yeh dekho,
kiya hai aisa jo aashufta-sarr nahi karte.
shaoor=wisdom, Aashufta-sarr = Insane/ sarr phira.
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 53
|
28th November 2005, 03:51 AM
Hamesha ki tarah aap ka yaha kalaam bhi
kabeel e tareef hai... Talib G !
Shukriya jo hamein isse padhne ka mauka diya aapne...!
Apna khayaal rakhiyega

Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 34
|
28th November 2005, 05:39 AM
bahaut hi khoobsurat lafzon ka istemaal kiya hai aapne apne kalaam mein...urdi ki pakeegzi aur jazbaaton ka sailaab, sabhi kuch lajawaab hai....yuhin likhte rahiyega....take care
"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."
**~*FaRhAnA*~**
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 24
|
28th November 2005, 10:26 AM
talib saheb
bohat khoob ghazel kahi hai aap ne.
behad sakoon o inbisaat mehsoos hua aap ka yeh kalam parh ker.
her tarah se ek mukammil shahkaar hai yeh.
her misra aur her shayr bohat sehal aur bermahal hain.
aap ne khoob kaha hai janab.
"shaoor khoob hai "Talib" ko magar yeh dekho"
kiya hai aisa jo aashufta-sarr nahi karte
meri bharpoor daad qabool karein talib saheb.
aap ki sehat aur asoodgi ke liye dua go hoon.
God bless you.
musharrafhusain
|
|
|
|
|
Paagal Pathik
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 25
|
28th November 2005, 10:28 AM
Talib Sir humesha ki tarah lazwaab kalaam hai 
Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 27
|
Re: yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte -
28th November 2005, 10:49 AM
hamaari baat ki manaa ke ehmeeyat kam hai,
to hum bhi paar hadd-e-mukhtasar nahi karte.
yeh kiss libaas mein ayee hai kushi ghar mere,
isse qubool kyoN deewar-o-darr nahi karte.
kabhi hai dil ke masaayil to kabhi duniya ke,
khudaaya aap kyon mujh par nazar nahi karte.
talib bhai
kaise hai huzooor aap??? ek arse baad aapko padh raha hooon...wahi behtreen andaaz,,wahi shayara tabiyat aur wahi dil ko choo lene ka hunar phir paya hai aapke kalaam mein.ek behtreen gazal par apne dil ki kashamkash ko bayaan kiya hai aapne...yun to sari hi gazal shaandaaar hai,,magar yeh kuch sher behad pasand aaye...meri dil se mubaaraqbaad aur daad kuboool kijiye,,is khubsurat rachna par.
-MANOJ kUREEL
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,266
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 36
|
.. -
28th November 2005, 05:38 PM
bahut accha likha hai Talib ji....
accha laga padkar.. likhte rahiye
SHWETA
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 26
|
28th November 2005, 10:28 PM
Talib Sir...
ek paak raag sa kalaam...jiske ashaar aaroh(ascending) aavroh(descending) se karte nazar aate hain...dil pe taal lagataar bajti hai...that is what i felt when i read the whole thing...beautiful! Only a Talib can say...
tha wahm tere khwaab mein aaoon ya nahi,
aise haalaat mein koi safar nahi karte.
stirring lingering sadness is what makes a good shayar they say...
aise umda khayaalon ko pirone pe daad kabuul kijiey
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Humanity
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 41
|
Re: yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte -
28th November 2005, 11:12 PM
yunn baat baat pe aakhoN ko tarr nahi karte,
Qaraar-o-chain ko zer-o-zabar nahi karte.
hamaari baat ki manaa ke ehmeeyat kam hai,
to hum bhi paar hadd-e-mukhtasar nahi karte.
Waaaaah... bahut khoob bhai...!
yeh kiss libaas mein ayee hai kushi ghar mere,
isse qubool kyoN deewar-o-darr nahi karte.
kabhi hai dil ke masaayil to kabhi duniya ke,
khudaaya aap kyon mujh par nazar nahi karte.
Waaaah...Khoobsurat bayaani....!
woh be-dili se sune hai jo mein kahoon dil ki,
ajab hai baat kya jo dil mein ghar nahi karte.
dil mein tha wahm tere khwaab mein aaoon ya nahi,
aise haalaat mein koi safar nahi karte.
Beautiful expressioon once again....!
shaoor khoob hai "Talib" ko magar yeh dekho,
kiya hai aisa jo aashufta-sarr nahi karte.
Well said...!
Dear Talib Bhai,
Kaise hain? Ummeed hai sab acche se hi hoga...!
Bhia.. ek baar fir bahut hi khoobsurati se byaan kiya hai aapne apne ehsaas ko.. padhkar bahut accha lagaa...Meri dil se daad kubool lijiyega is khoobsurat rachna ke liye....!
Yun hi likhte rahiye.. apna khayal rakhiyega 
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
30th November 2005, 08:54 PM
Shukriya Mushkil Sahab,
Khushi huee yeh jaan kar ke aapko yeh kalaam pasand aaya. Aate rahiyega aur apna khayaal rakhiyega.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
30th November 2005, 08:57 PM
Farhana Jee Adaab,
Aapne apne taassuraat iss kalaam ke baare mein zaahir kiye, dil pur kaif ho gaya. Ummed hai mustakbil mein bhi nazr-e-karam qaayam rahega. Aapki taareef se sarr-a-paa shukr guzaar hoon. Filhaal izaazat dijiye, Philr milenge gar Khuda layaa. Allah Hafiz.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
30th November 2005, 09:01 PM
Janaab musharraf sahab,
Harr baar ki tarah aapne phir ek baar iss kism se tareef ki hai maano kaandhe pe haath rakh ke baRa bhai hauslaa afzaaye karr raha ho. Mere aakaa ho sake to koi galati bhi meri nazar kar diya karein.
Aapki tareef aur dua dono se mamnoon-o-mashkoor hoon. Apna khayaal rakhiyega. Dua go.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 23
|
1st December 2005, 12:32 AM
talib jee
behad umda behad khoobsurat kalaam hai ye dil se pasand aaya
kabhi hai dil ke masaayil to kabhi duniya ke,
khudaaya aap kyon mujh par nazar nahi karte.
very well said bahut khub
shaoor khoob hai "Talib" ko magar yeh dekho,
kiya hai aisa jo aashufta-sarr nahi karte.
gajab or kya likhun lafj nahi hain likhte rahiye hame sakoon dete rahiye
anish
tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!
:) anish.paliwal@gmail.com:)
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
1st December 2005, 08:55 PM
Dear Garima,
Shukriya aapki tareef ka. Ummeed hai aap ba-khair hongi. Apna khayaal rakhiyega.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
1st December 2005, 09:04 PM
Manoj Bhai Adaab,
Sarkaar hum to yahiN hai aap kahiye kya haal hai? Shukriya aapki tareef ka. Hazrat kabhi koi nuks bhi nazar kar diya kijiye...Filhaal izaazat dijiye. Dua go.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
1st December 2005, 09:06 PM
Kuhulikha Jee,
Pehli baar humkalaam ho raha hoon aapse. Shukriya iss post-o-reply ke rishte ka silsilaa shuroo karne ke liye aur ek baar phir shukriya meri tareef karne ke liye. Ummeed hai raabtaa qaayam rahega. Aap bhi apnaa aur apnoN ka khayaal rakhiyega. Chaltaa hoon.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
1st December 2005, 09:14 PM
Mohtarma Parastar Sahibaa.... Salaam!!!
Aap ki tareef ka shukriya adaa karne ke liye mujhe koi tarteeb nazar nahi aa rahi... Iss liye saadgi pesh-e-khidmat hai.
Shukria
Jee jiss sher ka aapne intekhaab kiya hai woh aisaa hi kuch soch karr likha tha ,ke hum aksar kahin jaane ke liye jab nikalte hain,ya safar par jaate hai aur agar uss waqt dil mein ek wahm, khaTka, doubt aa jaaye to we prefer ke uss jagah nahi jaanaa chahiye. Kehte hai ke kuch bura hota hai, ya kaam nahi banta.
Well...mehbooba ke khwaab mein jaane hi walaa tha ....aur dil mein wahm aa gayaa iss liye woh safar nahi kiya maine.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 34
|
2nd December 2005, 10:09 AM
mere talib,
kai baar padhi tumhari rachna..
badhaai.....
maasi
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 26
|
2nd December 2005, 05:55 PM
ohhhh...
tau yeh aapke ikhtiyaar mein hai ki aap apni mehbooba ke sapnon jaate hain ya nahin...lol...apke us sher se mujhe apna kuch likha yaad aaya...
kaati tamaam shab aankhon hi aankhon mein
jab tak na laayi neend khwaab unke sajaa ke
yeh zidd ki tab tak neend ke aagosh mein nahin jaayeinge jab tak mehboob sapnon mein nazar na aaye...
dono hi soorat mein ye mumkin nahin...khwaabon par kab ikhtiyaar raha hai kisi ka...lekin shayar ke tassavvur mein sab kuch possible hai...shayri is not always logical...because emotions are not...
nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho
mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho
--Sayyidaa Fatimaa Hasan
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 28
|
5th December 2005, 06:06 PM
Kuhulikha sahiba adaab,
Thank you so very much for the appreciation. Sorry for late resonpse. Aap ki tareef ka tah-e-dil se shukr guzaar hoon. Aate rahiyega aur apna khayaal rakhiyega.
Pulkit mere bhai....
Muaf karna lekin aaj kal kaafi zyaada kaam mein masroof rehta hoon. Kayee baar to site mein login karke phir logout karna paDta hai. Tareef ke liye bohot bohot shukriya. Filhaal chalta hoon. Phir milenge gar KHUDA laaya.
Meena maasi......
Kem cho..? tamaari tabiyat kem che. Saaru laagu tamaaro jawaab vaanchi ne. Pachi maliye....Jai shri krishna.
|
|
|
|
|
*Ishq~Ibadat.......**
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 32
|
:) -
5th January 2006, 07:10 AM
Salaam~Dear Ismail Jee, Hope You Are Well  Dil Ko Achchha Laga...Khoub Likhte Hain Aap~*~Younhi Likhte Rahiyega**Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher-o-Dher Saare Phoul_Shukriya_Daad Quboul Kijiyega  **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care...**God bless You. 
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**
*Pure Love**
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2023, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |