Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~aansoo~
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
~aansoo~ - 20th November 2016, 02:15 AM



khushk aankhon me kho gaye aansoo
ek apne naa ho sake aansoo

jab chalee baat bewafaai kii
ham ne chupke se pee liye aansoo

aadmii kii yahii tamanna hai
haale dil bhii kabhii kahe aansoo

meraa hansnaa to usne dekhaa hai
is dafaa us ko bhii dikhe aansoo

mere qaatil ki ye tamanna hai
phool bankar girenN mere aansoo

jo agar paDh sako to paDh lenaa
Khat me bheje hain kuch mere aansoo

ye mere dil kii beimaanii haii
ab bhi aate hain yaad me aansoo

Shaad aise na yaad kar us ko
chal paDenge ruke ruke aansoo....

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
20th November 2016, 01:29 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post


khushk aankhon me kho gaye aansoo
ek apne naa ho sake aansoo

jab chalee baat bewafaai kii
ham ne chupke se pee liye aansoo

aadmii kii yahii tamanna hai
haale dil bhii kabhii kahe aansoo

meraa hansnaa to usne dekhaa hai
is dafaa us ko bhii dikhe aansoo

mere qaatil ki ye tamanna hai
phool bankar girenN mere aansoo

jo agar paDh sako to paDh lenaa
Khat me bheje hain kuch mere aansoo

ye mere dil kii beimaanii haii
ab bhi aate hain yaad me aansoo

Shaad aise na yaad kar us ko
chal paDenge ruke ruke aansoo....

Shaad...


Kya baat hai shaad sahab
Kya rawaa ghazal likha hai aapne

Waqayee tehseen ke qabil hai ye ghazal
Maqte ne jaan nikaal diya

Bohat umda la-jawaab
Dua ke saath ijaazat


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
redtears_ocean
Registered User
redtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the rough
 
redtears_ocean's Avatar
 
Offline
Posts: 1,502
Join Date: Jan 2009
Location: In YoUr HeArT
Rep Power: 19
21st November 2016, 12:54 PM

behtreen ashaar, khoob jaanaab ����



Mera daman jalega tau jalogai tum bhi
yeh samajhte ho,phir aag lagate kyu ho
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
21st November 2016, 04:37 PM

mere qaatil ki ye tamanna hai
phool bankar girenN mere aansoo


Kya baat hai janaab..100 daad pesh hain is ek sher par....
Waah!!!!!

Matla behad asar daar to maqta seedhe dil ko chhoota hua....kamaal ashaar huye hain sabhi manikhej aur purasar..
Hamari daad ko bhi jagah dijiyega apni bazm me.....likhte rahiye aur bhi behtar..
.....bada intzaar karaya mahfil ko is baar par chaliye ghazal aisi pesh ki hai ki mafi di ja sakti hai....

Khush rahein..

Madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
21st November 2016, 08:57 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post


khushk aankhon me kho gaye aansoo
ek apne naa ho sake aansoo

jab chalee baat bewafaai kii
ham ne chupke se pee liye aansoo

aadmii kii yahii tamanna hai
haale dil bhii kabhii kahe aansoo

meraa hansnaa to usne dekhaa hai
is dafaa us ko bhii dikhe aansoo

mere qaatil ki ye tamanna hai
phool bankar girenN mere aansoo

jo agar paDh sako to paDh lenaa
Khat me bheje hain kuch mere aansoo

ye mere dil kii beimaanii haii
ab bhi aate hain yaad me aansoo

Shaad aise na yaad kar us ko
chal paDenge ruke ruke aansoo....

Shaad...
Khoob ehsaas hue hai mere bhai mukhtasar si baat ko itni gehraayi mein bayaan kiya hai ki bas kya kahein.......yunhi bazm mein humhe nayaab nagme dete rahiye



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
22nd November 2016, 01:51 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Kya baat hai shaad sahab
Kya rawaa ghazal likha hai aapne

Waqayee tehseen ke qabil hai ye ghazal
Maqte ne jaan nikaal diya

Bohat umda la-jawaab
Dua ke saath ijaazat

aapki inaayaton aur muhabbaton ke liye tahe dil se mashkoor hoon aapka janaab Mujahid Ali saahab......

Tashreef laate rahiyegaa

Shukriyaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd November 2016, 11:01 PM

Quote:
Originally Posted by redtears_ocean View Post
behtreen ashaar, khoob jaanaab ����
behad shukriyaa janaab......... arse baad aapka khat dekhaa behad sukoon o masarrat ka sabab huaa hai....... tashreef laate rahiyegaa

Shukriyaa

Shaad......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
shakir ali 01
Registered User
shakir ali 01 has a spectacular aura aboutshakir ali 01 has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 297
Join Date: Oct 2013
Rep Power: 12
26th November 2016, 08:53 AM

shad sahab bahut hi zabardast kalam se
sajaya he aapne bazm ko
yuhi Dillon ko khilate rahiye
super .,......peshkash

SHAKIR ALI
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th November 2016, 12:08 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
mere qaatil ki ye tamanna hai
phool bankar girenN mere aansoo


Kya baat hai janaab..100 daad pesh hain is ek sher par....
Waah!!!!!

Matla behad asar daar to maqta seedhe dil ko chhoota hua....kamaal ashaar huye hain sabhi manikhej aur purasar..
Hamari daad ko bhi jagah dijiyega apni bazm me.....likhte rahiye aur bhi behtar..
.....bada intzaar karaya mahfil ko is baar par chaliye ghazal aisi pesh ki hai ki mafi di ja sakti hai....

Khush rahein..

Madhu..


bahut bahut shukrguzaar hoon aapki is darjaa muhabbat, khuloos aur pazeeraai ke liye mohtarmaa...

aap jaise aala shoraa ki nazar gar khaaksaar ko naseeb ho jaae to kalaam me sone chaandi ke wark chaDh jaate hain.....

dil ki garaaiyon se mashkoor o mamnoon hooon aapkaa... aamad banae rakhiyegaa


Shaad..........


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
16th December 2016, 04:30 PM

Bohot khoob shaad bhai.....ye lehza bhi bahot khoob raha...
Waaah

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
21st December 2016, 12:28 PM

Shaad bhai....hamesha se aap khoob hi likhte ho, so kya tareef karu aapki shayri ki, haa yeh baat alag hai ki kuch ehsaas aise hote hai jo seedhe dil par asar karte hai, lagta hai ki yeh mere dil ki baat hi kahi hai....aisa hi ek ehsaas...!!

jo agar paDh sako to paDh lenaa
Khat me bheje hain kuch mere aansoo




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th December 2016, 10:27 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Shaad bhai....hamesha se aap khoob hi likhte ho, so kya tareef karu aapki shayri ki, haa yeh baat alag hai ki kuch ehsaas aise hote hai jo seedhe dil par asar karte hai, lagta hai ki yeh mere dil ki baat hi kahi hai....aisa hi ek ehsaas...!!

jo agar paDh sako to paDh lenaa
Khat me bheje hain kuch mere aansoo


tahe dil se aapka shukr guzaar hoon Sunita dee.... aapne jo alfaazon ki gahraai me chupe hue ehsaason ko pakad liyaa hai, aur pasand kiyaa hai....

aage bhi aapke pyaar aur duaaon ka talabgaar rahungaa......... aati rahiyegaa

Shaad........


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th December 2016, 10:32 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Bohot khoob shaad bhai.....ye lehza bhi bahot khoob raha...
Waaah

Aapka apna
Bhushan
bahot bahot shukriyaa aapka Bhushan saahab.................

nacheez ke kalaam ko pasand karne ke liye shukriyaa

Shaad..........


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
8th March 2017, 10:31 PM

Samandar sa baną dete hain Ansoon
Na gava inhein Anmol hain Ansoon

Kuch Shaakh tufanon mein hilte hain jab
Baraste hain fir kuch Ansoon

Aaya jo toofan chala bhi jayega
Ek Indradhanush bhi layainge ye Ansoon

Beautiful poetry Shaad.Remember that Tears are really precious.Kčep Smiling

Last edited by sukanya; 8th March 2017 at 10:34 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
17th March 2017, 08:07 PM

Quote:
Originally Posted by shakir ali 01 View Post
shad sahab bahut hi zabardast kalam se
sajaya he aapne bazm ko
yuhi Dillon ko khilate rahiye
super .,......peshkash

SHAKIR ALI
derii se jawaab dene ke liye muaafii ka arzmand hoon.....
aur shukrguzaar hoon jo aapne mujhe is laayaq samjha , is kalaam ko pasand karne ke liye tahe dil se shukriyaa aapka... aate rahiyegaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
17th March 2017, 08:09 PM

Quote:
Originally Posted by sukanya View Post
Samandar sa baną dete hain Ansoon
Na gava inhein Anmol hain Ansoon

Kuch Shaakh tufanon mein hilte hain jab
Baraste hain fir kuch Ansoon

Aaya jo toofan chala bhi jayega
Ek Indradhanush bhi layainge ye Ansoon

Beautiful poetry Shaad.Remember that Tears are really precious.Kčep Smiling

kyaa baat hai Sukanya dee... aapne bahot hi khoobsurat kalaam ke andaaz me jawaab diyaa hai, mujhe aapke ehsaas behad pasand aaye.... aur bahut shukriyaa aapka jo aapne is kalaam ko pasand kiyaa hai...

aate rahiyegaa , duaaon ka talabgaar

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
17th March 2017, 08:11 PM

Quote:
Originally Posted by Qasid View Post
Khoob ehsaas hue hai mere bhai mukhtasar si baat ko itni gehraayi mein bayaan kiya hai ki bas kya kahein.......yunhi bazm mein humhe nayaab nagme dete rahiye
aapki daad aur duaaon ke liye tahe dil se shukrguzaar hoon mere bhai...
aate rahiyegaa , aapka saath banae rakkhen..

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com