mai nahi yeh deh hoon... -
29th January 2015, 12:01 PM
tune- ae mere pyaare vatan.
mai nahi yeh deh hoon,
mai sadaa se videh hoon,
shuddha chetanvaan.
siddha shri parmaatma,
jaisi meri aatma,
ananta darshan gyaan.
gyata hu mai drashta hu mai,
sakshi roop chaitanya hu,
saadhna ka maarg hu mai,
saadhna ka lakshya hu.
araadhak aaraadhya bhi,
mai hu saadhak saadhya bhi,
bhakt bhi bhagwan.
siddha shri parmaatma,
jaisi meri aatma,
ananta darshan gyaan.
wo kamal khilta hua jyon
daldalon se bhinna hai,
aatma ye meri waise
pudgalon se bhinna hai.
mamta se mai mukta hu,
samta se mai yukta hun,
attha gunon ki khaan..
siddha shri parmaatma,
jaisi meri aatma,
ananta darshan gyaan.
niraabadh sukhon ka swami,
mai ananta anand dhaam.
aho yeh swaroop mera,
mujhko mera hi pranaam.
par dukhon se heen hoon,
'sheel' sukh me leen hoon,
aatma pragyavaan.
siddha shri parmaatma,
jaisi meri aatma,
ananta darshan gyaan.
gul ko zamane mein, gul-e-nayaab kehte hai,
kuchh likhne ke pehle aapko aadaab kehte hai.
|