........main wafa karu....! -
14th March 2006, 09:00 PM
hi this is a new venture of us, babli wrote this....
hope u`l like it..........
hai isi mein pyar ki aabru,wo jafa kare main wafa karu.....
wo jafa bhi kaam na aa sake to,wohi kahe ke main kya karu?
mujhe gham bhi unka aziz hai,unhi ki di hui cheez hai..
yehi gham hai meri zindagi,ise kaise dil se juda karu...?
jo na ban sake main wo baat hu,jo na khatm ho main wo raat hu,
yeh likha hai mere naseeb mein,yuhi shamma ban ke jala karu....
-BABLI
|