Kaise katega safar tanha tanha -
12th December 2003, 02:06 PM
Nahin kat-ta ek bhi pal tanha tanha
Kaise katega safar tanha tanha
main tumahara kya tha kya ho gaya hoon
yahi sochta hoon aksar tanha tanha
Bada mayuus hai koi mere dil main jagah kar-ke
pada hua hai arase se ek raaj tanha tanha
Teri aadat si ho gayi hai mere ghar ki har ek sheh ko
na jaane ab kaise hogi guzar tanha tanha
Tere saath khilne ki jid hai saari kaliyoun ko
aaj bhi teri firaak main hai chaman tanha tanha
Nahin kat-ta ek bhi pal tanha tanha
Kaise katega safar tanha tanha
hai agar tu diljala koi, to tera ek dost aala hoon main
tere har gam main saath doonga,ek mai ka pyala hoon main
Shayer By Mistake
|