Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Yeh Na Thi Hamari Qismat
Old
  (#1)
zishan107
Registered User
zishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 449
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 25
Yeh Na Thi Hamari Qismat - 24th April 2008, 09:52 PM

Yeh na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jite rehte yahi intezaar hota


Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhuuTh jaana
ke Khushi se mar na jate agar aitabaar hota


Teri nazuki se janaa ki bandha tha ahd_boda
kabhi tu na tod sakta agar ustavaar hota


Koi mere dil se poochhe tere tir-e-nimakash ko
ye Khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hotaa


Yeh kahaan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
koi chaaraasaaz hotaa koi Gam_gusaar hota


Rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota



Gham agarche jaan_gusil hai pe kahaan bache ke dil hai
gham-e-ishq agar na hota, gham-e-rozagaar hota


Kahun kis se main ke kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kyaa bura tha marana agar ek baar hotaa


Huye mar ke ham jo rusavaa, hue kyun na garq-e-dariya
na kabhii janaza uthta, na kahi mazar hota


Use kaun dekh sakta ki yagana hai wo yakta
jo duii kii buu bhii hotii to kahii.n do chaar hotaa

Yeh masaail-e-tasavvuf ye teraa bayaan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhate jo na baadaa_Khvaar hota


Mirza Ghalib






Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
Kajal
Registered User
Kajal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Jul 2008
Location: ENGLAND
Rep Power: 0
hi - 10th July 2008, 02:46 PM

i like this one most of it and that song is my favrote as wel


see ya


Aap gairon ki baat karte ho
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko azmaya hai
Log katonse bachke chalte hain
Log katonse bachke chalte hain
Humne phoolon se zakham khaye hain


KZ
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
10th July 2008, 03:34 PM

Aap subhi ko good afternoon
Na jane ye dil kuy itna chahta hai unko,
Her pal her lamha pyar ka ehsaas dilata h unko
Hamare 1 aansu se tadap uthte hai wo,
Phir b hume rulane me maza aata hai unko.....


"MAY AUR MERI TANHAIA "
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
redtears_ocean
Registered User
redtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the rough
 
redtears_ocean's Avatar
 
Offline
Posts: 1,502
Join Date: Jan 2009
Location: In YoUr HeArT
Rep Power: 19
17th February 2009, 10:46 PM


waah...zishaan sahab....once again very good sharing....keep it up...






Mera daman jalega tau jalogai tum bhi
yeh samajhte ho,phir aag lagate kyu ho
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
19th February 2009, 10:08 PM

thanks for nice sharing.......................................


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
qismat gulabjamun_4_u Shayri-e-Ishq 9 31st March 2005 09:01 PM
Qismat ChotaShaikhi Shayri-e-Dard 1 10th February 2004 01:24 AM
Wa Ye Qismat. musharrafhusain Shayri-e-Mashahoor Shayar 6 8th January 2004 02:05 AM
Qismat sharly Shayri-e-Dard 0 11th August 2003 01:48 AM
apni qismat pe kerain naaz hamari aankhain Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 31st March 2003 11:02 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com