Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 4 votes, 5.00 average. Display Modes
Mujhe apne zabt pe naaz tha,
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Mujhe apne zabt pe naaz tha, - 9th January 2012, 07:42 PM

Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kya howa
Meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa

Meri zindagi ke charagh ka ye mizaaj koi naya nahi

Abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

Mujhe jo bhi dushman-e jaaN mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila

Na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

Mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dil sey bhi pocheye

Meri dastaan-e hayaat ka tou warq warq hai khula howa

Jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi

Ye mera hi shehr k log they, merey ghar se ghar hay milaa howa

Humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos ho
Na humare paas naqaab hay, na kuch aastee.n meiN chupa howa

Merey aik gosha-e fik'r meiN, meri zindagi sey aziz tar

Mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

Mujhe ik gali meiN para howa, kisi badnaseeb ka khat mila

kaheeN khoon-e dil se likha howa, kaheeN ansooN se mita howa

Mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha

Kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

Humain apne ghar se chale howe, sar-e raah um'r guzar gaii

Koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa


- BY
Late Iqbal Azeem

http://www.youtube.com/watch?v=hlMeT...eature=related




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
aslam_noor
Registered User
aslam_noor is a jewel in the roughaslam_noor is a jewel in the roughaslam_noor is a jewel in the roughaslam_noor is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 47
Join Date: Sep 2011
Rep Power: 0
12th January 2012, 08:06 PM

Iqbal Azeem sahab ke kaamyaab ghazal thnxxxxx for sharing


aslam
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
14th January 2012, 03:45 PM

Zainy

aapne Professor Iqbal Azeem saheb ki yhe khoobsurat ghazal hem se share ki.
Aap ke zauq ki daad deta hoon.
Mujhe Iqbal Azeem saheb se mulaqaat ka sharf haasil raha hai.
Bohat Azeem aur himmat wale insaan they voh.
Basarat na hote huey baseerat se malaamaal they voh.
behad shukriyaa aap ka.
khush rahein, aabaad rahein
musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th January 2012, 11:53 PM

@ Musharraf sahab...MASHA ALLAH!!..Yeh tou bohat hi fakhr ki baat hai , ke Iqbal sahab aapke professor rahe haiN...zarur bohat kuch seekha hoga aapne unse,waqay behad khoobsurat likhte the woh....unki writings mujhe bhi behad pasand hai..!!...

Ghazal ki pasandegi ke liye shukriyah Musharraf sahab..


@Shukriyah Aslam sahab!!....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com